Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha...(Shihab)

by majid on December 11, 2010, 08:00:39 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 5883 times)
majid
Guest
          Aasman  Se  Koi  Taara  Chamak  Kar ,  Phir  Toot Gaya
          Nam  Aankhon  Se  Ek  Qatra  Aansu , Aur Chhoot Gaya.

          Dhundle  Se   Lafzo.n  Mein  Likha   Hua  Tha  Jo  Kahin
          Woh Be-matlab  Kaagaz  Sa  Rishta ,  Aakhir  Toot Gaya.
 
          Sochta  Tha  Ki  Zindagi Bas  Tere  Saath Hi Guzar Jaaye
          Magar Pura  Hone Se Pahle Hi Yeh  Khwaab , Toot Gaya.

          Aur Kya  Karta  Mein  Us se Apni Barbaadi Gila , Shihab!
          Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha Toot Gaya So Toot Gaya.


                               ~Shihab~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum Nazuk Nazuk Dil wale... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
{Wo Nazuk Mizaaj Ladki} by angel4u in Shayri-E-Dard
Nazuk e halaat par... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nazuk Hai Dil Tera by mohd imran in Other Languages
tere baggon ki thi mei nazuk dalee by hameeda in Share: Poetry of Pain
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2010, 08:12:03 PM »
Khwaab, Zindagi, Rishte Ye Sab Toot Hi Jaate Hain,.
Kyun Inpar Ehtemaad Liye, Jeene Ki Aas Lagaate Ho,.

Wo Agar Tumhaara Hai, To Laut Aaayega Zaroor,.
Apni Zindagi In Tanhaaiyon Mein Kyun Bitaate Ho,.

Dekh Liya Maine Koi Kisi Ka Nahi Hota Yahaan "Shihab,.
Jo Chala Gaya Door Tumse, Use Kyun Bulaate Ho,.

{AS}


Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2010, 09:34:30 PM »
           Aasman  Se  Koi  Taara  Chamak  Kar ,  Phir  Toot Gaya
          Nam  Aankhon  Se  Ek  Qatra  Aansu , Aur Chhoot Gaya.

          Dhundle  Se   Lafzo.n  Mein  Likha   Hua  Tha  Jo  Kahin
          Woh Be-matlab  Kaagaz  Sa  Rishta ,  Aakhir  Toot Gaya.
 
          Sochta  Tha  Ki  Zindagi Bas  Tere  Saath Hi Guzar Jaaye
          Magar Pura  Hone Se Pahle Hi Yeh  Khwaab , Toot Gaya.

          Aur Kya  Karta  Mein  Us se Apni Barbaadi Gila , Shihab!
          Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha Toot Gaya So Toot Gaya.


                               ~Shihab~

Mere bhai..
bahaut kam likhte ho yahan mager jab bhi likhte ho, dil choooo jate ho..
Kitni masoomiyat aur sadgi se apne dard bayan kiya hai..
Mere pas lavz nahin tariff kay..
Allah apko khush rakhe..
Yunhi likte rahiye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2010, 09:35:52 PM »
Khwaab, Zindagi, Rishte Ye Sab Toot Hi Jaate Hain,.
Kyun Inpar Ehtemaad Liye, Jeene Ki Aas Lagaate Ho,.

Wo Agar Tumhaara Hai, To Laut Aaayega Zaroor,.
Apni Zindagi In Tanhaaiyon Mein Kyun Bitaate Ho,.

Dekh Liya Maine Koi Kisi Ka Nahi Hota Yahaan "Shihab,.
Jo Chala Gaya Door Tumse, Use Kyun Bulaate Ho,.

{AS}



Wah wah wah wah..
Applause Applause
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2010, 09:48:25 PM »
Wah wah wah wah..
Applause Applause

Thanks Rahim ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: December 12, 2010, 11:21:09 AM »
bahut khoob Shihab Ji
Logged
Yaash
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2010, 12:24:00 PM »
Wah Kya Baat Hai Bohat Achhey Janab
Dil Ko Chhu Lene Waali Peshkash.
Sabhi Ashaar Badiyan Rahen

Aur KT ji Aapne Bhi Bohat chha Rep Diya Hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 12, 2010, 09:23:19 PM »
Mere Khayal Se Aapko
Khudki Baaton Pe Gaur Karna Chahiye
Kyon Ki Mujhse Jyada Aap Aise Haalton Se
Guzar Rahe Hain...Khair Bahut Achha
Rep Kiya Hai Aapne Bhai...Ab Aapke
Saamne Bhala Main Kya Likhun...
Chalo Aapki Sohbat Men Koshish Kar Lete Hain
Shayad Kuch Ban Jaaye....



Zindagi  Hai  Chhoti Si , Aur  Badi  Kahaani Hai
Kya Kahun  Kis  Qadar  Uljhi  Yeh  Jawaani Hai.

Pal  Do  Pal  Main , Dard  Ko  Bhool  Bhi  Jaata
Magar Kya Karun Isse Pahchan Badi Purani Hai.

Wohi To Rehta Hai Har Waqt Mujhme , Azeem
Kuch Aisa Jurha Usse Mera Rishta Ruhaani Hai.

Applause Applause Applause
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #8 on: December 12, 2010, 11:59:44 PM »
Mere Khayal Se Aapko
Khudki Baaton Pe Gaur Karna Chahiye
Kyon Ki Mujhse Jyada Aap Aise Haalton Se
Guzar Rahe Hain...Khair Bahut Achha
Rep Kiya Hai Aapne Bhai...Ab Aapke
Saamne Bhala Main Kya Likhun...
Chalo Aapki Sohbat Men Koshish Kar Lete Hain
Shayad Kuch Ban Jaaye....



Zindagi  Hai  Chhoti Si , Aur  Badi  Kahaani Hai
Kya Kahun  Kis  Qadar  Uljhi  Yeh  Jawaani Hai.

Pal  Do  Pal  Main , Dard  Ko  Bhool  Bhi  Jaata
Magar Kya Karun Isse Pahchan Badi Purani Hai.

Wohi To Rehta Hai Har Waqt Mujhme , Azeem
Kuch Aisa Jurha Usse Mera Rishta Ruhaani Hai.


Shukriya

And nice one
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: December 13, 2010, 12:08:18 PM »
Wah aapke toh likhne ka ek alag andaaz hai Shihab ji,lajawab peshkash hamesha ki tarah.great work.Khwab ji aapne bhi bahut acha saath diya.excellent.hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #10 on: December 13, 2010, 12:42:28 PM »
shihab aapki kalam k to hum hamesha se fanrahe hain par isski bat kuch aur hai
wkai kamaal.....behad khubsurat peshkash of dard....padhte hi kuch likhne ka dil ho jaye aisi peshkash hai ye apaki....
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #11 on: December 14, 2010, 06:27:01 AM »
bahoot hi khubsurat peshkash h aapki
          Akser khawab toot hi jaya krte h
          magar yehi zindgi ka sahara bhi hote h
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #12 on: December 14, 2010, 08:17:23 AM »
           Aasman  Se  Koi  Taara  Chamak  Kar ,  Phir  Toot Gaya
          Nam  Aankhon  Se  Ek  Qatra  Aansu , Aur Chhoot Gaya.

          Dhundle  Se   Lafzo.n  Mein  Likha   Hua  Tha  Jo  Kahin
          Woh Be-matlab  Kaagaz  Sa  Rishta ,  Aakhir  Toot Gaya.
 
          Sochta  Tha  Ki  Zindagi Bas  Tere  Saath Hi Guzar Jaaye
          Magar Pura  Hone Se Pahle Hi Yeh  Khwaab , Toot Gaya.

          Aur Kya  Karta  Mein  Us se Apni Barbaadi Gila , Shihab!
          Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha Toot Gaya So Toot Gaya.


                               ~Shihab~


abhut bahut khoob sihab ji..

der se dkhne ki maafi chahta hu ..

~
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #13 on: December 25, 2010, 07:10:13 AM »
Wah Wah Maju Meri Jaan Kya Kehne
Sach Mein Tera Jawaab Nahi Hai Yaara
Kya Hi Khoob Shabdon Ko Piroya Hai
Behad Hi Umda Peshkash Bohat Khoob Applause Applause Applause

allah pak tujhe khush rakhe ameen
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2010, 04:16:44 PM »
 Applause Applause Applause Bohot Khoob Shihab Ji...


hum b likhenge... Koshish Jaari hai..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:44:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer