Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha...(Shihab)

by majid on December 11, 2010, 08:00:39 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 5915 times)
KOYAL46
Guest
«Reply #15 on: December 26, 2010, 04:27:13 PM »
good work ji...daad kabool kijiye....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum Nazuk Nazuk Dil wale... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
{Wo Nazuk Mizaaj Ladki} by angel4u in Shayri-E-Dard
Nazuk e halaat par... by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nazuk Hai Dil Tera by mohd imran in Other Languages
tere baggon ki thi mei nazuk dalee by hameeda in Share: Poetry of Pain
ParwaaZ
Guest
«Reply #16 on: December 26, 2010, 07:27:51 PM »
Shihab Sahab Aadaab!

Janab ke kalaam per deri se nazar padi....
Takheer se aane ke liye mazarrat chahte hai...

Janab kafi dilfareb ahsaas bayaaN kiye hai..
Sab khairiyat to hai naa... ?
Ummid hai khairiyat se hoNgi... Usual Smile

Chaliye aapki kalaam per aate hai...         



           Aasman  Se  Koi  Taara  Chamak  Kar ,  Phir  Toot Gaya
          Nam  Aankhon  Se  Ek  Qatra  Aansu , Aur Chhoot Gaya.

Kafi achcha sher kaha hai janab.. behad shayarana andaaz raha daad ... Usual Smile         


          Dhundle  Se   Lafzo.n  Mein  Likha   Hua  Tha  Jo  Kahin
          Woh Be-matlab  Kaagaz  Sa  Rishta ,  Aakhir  Toot Gaya.
 
Sher ka khayaal behad umdaa hai janab...
Par aur bhi khub sher ban sakta tha yeH...
Jaise pahele misre meiN aapne kaha " dhundle se lafzoN meiN likha tha jo kahiN" means Kagaz per hi likha tha samjh lete hai.. Usual Smile
To duje line meiN aapne bayaani meiN gadbad kar dii..
WOh be-matlab kagaz sa rishta " kahne ke bajaay youN kahte to kaisa lagta dekhiye..


"Woh Be-matlab sa rishta kagaz se aakhir toot gaya"           



          Sochta  Tha  Ki  Zindagi Bas  Tere  Saath Hi Guzar Jaaye
          Magar Pura  Hone Se Pahle Hi Yeh  Khwaab , Toot Gaya.

Achcha sher hai daad.... Aksar yehi hota hai.... sad5         


          Aur Kya  Karta  Mein  Us se Apni Barbaadi ka Gila , Shihab!
          Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha Toot Gaya So Toot Gaya.

Waah janab waah yeH sher behad khoob kaha aapne dil se daad hazir hai...           


                               ~Shihab~


behad achchi kalaam kahi janab ...
Dil ki zameeN phir se gili ho gayi...

Dard se door hokar bhi kahaaN jayeNge
JahaaN jayeNge wahaaN dard hi payeNge

 Likhate rahiye ....
Khush O aabad rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
-Pari-
Guest
«Reply #17 on: December 26, 2010, 11:13:57 PM »
Ek choti si Khoshish..Umeed hai Ap jaise Bade Shayar Ki Nazro Main Kabool Hogi..




Badi Mushkil Ne Usne Mujhe Bhulaya Hoga
Har Ahat Ne Use Meri Yaad Se Milaya Hoga..

Jaga Hoga Wo Bhi Raat Raat Mujhe Sochte
Najane Kaise Usne Apne Dil Ko Behlaya Hoga..

Ranjishein Hazaron Ki Hongi Usne Apne Apse
Jab Bhi Naam mera Labon Pe Uske Aya Hoga..

Kya Beeta Hoga Uske Kaleeje Par, Jab Bhi
Mujhpar Likhi Har Nazm Ko Usne Jalaya Hoga..

Idhar Hum Bhi Tadapte Hain Uski Yaad Main
Isi Khayal Ne To Usse Har Pal Sataya Hoga..

Piyein Honge Ansun Apne Usne Zeher Jaise
Dil ki Aag Ko Usne Kuch Istarh Bhujaya Hoga..

Zikar Mera Hone Par Utha Hoga Tufaan Koi
Pher Kar Chehra Usne Dard Yu Chupaya Hoga..

Di Hogi Mehfil Main Misaal.e.Mohobbat Kisine
Soch Kar Mujhko Wo Halke Se Muskuraya Hoga..


-Pari-
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #18 on: December 27, 2010, 12:14:27 PM »
           Aasman  Se  Koi  Taara  Chamak  Kar ,  Phir  Toot Gaya
          Nam  Aankhon  Se  Ek  Qatra  Aansu , Aur Chhoot Gaya.

          Dhundle  Se   Lafzo.n  Mein  Likha   Hua  Tha  Jo  Kahin
          Woh Be-matlab  Kaagaz  Sa  Rishta ,  Aakhir  Toot Gaya.
 
          Sochta  Tha  Ki  Zindagi Bas  Tere  Saath Hi Guzar Jaaye
          Magar Pura  Hone Se Pahle Hi Yeh  Khwaab , Toot Gaya.

          Aur Kya  Karta  Mein  Us se Apni Barbaadi Gila , Shihab!
          Bas Ek Nazuk Sa Dil Hi To Tha Toot Gaya So Toot Gaya.


                               ~Shihab~


Bahut khoob shihab ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #19 on: December 27, 2010, 12:15:18 PM »
Ek choti si Khoshish..Umeed hai Ap jaise Bade Shayar Ki Nazro Main Kabool Hogi..




Badi Mushkil Ne Usne Mujhe Bhulaya Hoga
Har Ahat Ne Use Meri Yaad Se Milaya Hoga..

Jaga Hoga Wo Bhi Raat Raat Mujhe Sochte
Najane Kaise Usne Apne Dil Ko Behlaya Hoga..

Ranjishein Hazaron Ki Hongi Usne Apne Apse
Jab Bhi Naam mera Labon Pe Uske Aya Hoga..

Kya Beeta Hoga Uske Kaleeje Par, Jab Bhi
Mujhpar Likhi Har Nazm Ko Usne Jalaya Hoga..

Idhar Hum Bhi Tadapte Hain Uski Yaad Main
Isi Khayal Ne To Usse Har Pal Sataya Hoga..

Piyein Honge Ansun Apne Usne Zeher Jaise
Dil ki Aag Ko Usne Kuch Istarh Bhujaya Hoga..

Zikar Mera Hone Par Utha Hoga Tufaan Koi
Pher Kar Chehra Usne Dard Yu Chupaya Hoga..

Di Hogi Mehfil Main Misaal.e.Mohobbat Kisine
Soch Kar Mujhko Wo Halke Se Muskuraya Hoga..


-Pari-

Behetareen koshish rahi apki pari ji..bahut khoob...
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #20 on: December 27, 2010, 03:23:54 PM »
Mohtarma Par Ji Sabse Pahle To Aapka
Bahut Bahut Shukariya Izzat Afzaii Ke Liye.
Par Main Koi Shayaer Nahi Hun Ji Bas Kyon Ki
Shayer Hazraat Ki Soch Ki Koi Bhi Had Nahi Hoti
Aur Jahan Tak Mera Sawaal Hai Meri Soch Ik Had Tak
Bandi Hui Hai Isske Aage Mein Chahkar Bhi Nahi Likh Pata
So Plz Sirf Shihab Bulaaye Yeh Shayer Wayer Nahi Ji
Ab Rahi Baat Aapke Likhne Ki To Kya Kahen Ji Aapki
Yeh Koshish Hume Behad Hi Pasand Aayi Hai Ji
Dil Ke Ehsaasaat Ko Lafzon Ki Shaql Mein Bade Hi
Khoobsurat Andaz Mein Aapne Pesh Kiya Hai.Bahut Khub Ji
Abhi Ke Liye Maafi Chahta Hun Main Jaise Hi Kuch Bana
Jarur Aapki Nazar Karunga Main. Tab TaK Khush Rahiye

Apna Aur Apno Ka Khayal Rakhiye...

~Shihab~


Haye rabba..Inni Vadi Vadi Batein...Ab Dnt think ke main apki aur tareef karne wali hu ok..tongue3

Chalo Ab Ap b kuch Likho..
waise Thank u Dumbo..Winking
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #21 on: December 27, 2010, 03:24:46 PM »
Behetareen koshish rahi apki pari ji..bahut khoob...


Shukriya ji Huzoor
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:59:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer