Bas kisi tarah se jiye ja raha hu

by redwhitegang on July 07, 2006, 08:35:13 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3138 times)
redwhitegang
Guest
Bas kisi tarah se jiye ja raha hu
Tere naam ka jam piye ja raha hu
Tune hamesa sath renka wada kiya tha
Jisse tu tod kar ja rahi hai
Mere is jindagii ki nao chala hii nahi ke
Tu to isse majhdhar me chod kar ja rahii hai
Aab to hamme aur koi sahara bh nahi
Malum na chala kya khata hui ,
ke kyun tu muh modd kar ja rahii hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2006, 09:37:12 PM »
mu modh kar chala gaya hai jane wala,.,
dil torh kar chala gaya hai dilwala

mangthi hoon dua rabse
saza-e-maut dede..mujhe dena wala :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2006, 03:04:04 AM »
bahut khoob shahid and Anjani ..............

woh hamse kuch asie khafa ho gaye
jaise tan se koi jaan  juda  ho jaaye

kare they jo vaade unhone zindagi bhar saath nibhaane ke
aaj ek jara si taqarar per woh sab faana ho gaye
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #3 on: July 08, 2006, 04:26:19 AM »
shukriya ranz-na and anjani ji :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #4 on: July 08, 2006, 07:35:28 AM »
Bahoot Khoob RW, Ranjana And Anjani Ji,...

Tu Rehne Waali Mehlon Ki,Main Ek Taswee Gurbat Ki,..
Tere Nazron Mein Kya Hogi,Kadar Meri Mohabbat Ki,..

Rishte Tord Do Tum Sare,Mera Dil Mujhko De Do Tum,..
Mohabbat Aapki Duniya Mein,Hai Mandi Tijaarat Ki,..

Main Tere Sheher Se Bhi Tord Doonga Apna Rishta,..
Ke Maine Dekhli Zaleem,Haddein Teri Sharafat Ki,..

Jahan Phoolon Mein Bhi Milti Hai Khushboo Bewafaai Ki,..
Khadi Dekhi Hai Raahon Mein,Deewaarein Maine Nafrat ki,..

Main Sehraaon Mein Lekar Aagaya Hoon Zindagi apni,..
Suni Hai Dukh Bhari Jabse, Kahaani Maine Mohabbat Ki,...
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #5 on: July 08, 2006, 08:02:29 AM »
Quote from: "Jaanasheen"

kya baat hain Jaanasheen ji.......

Kash jo tune hamme pehchana hota
To aab sirf hamara hi afsana hota,waise bhi
Teri nafrat ko mohabbat me badal ne ka hoonar ham jante hai
Bewafon ko to ham baas ek nazar me ham pehchante hai
Tu nahi hai unme se jo daga de jai
Tujhe to ham khud se bhi behtar pehchante hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #6 on: July 08, 2006, 08:26:46 AM »
Shukriya RW,..

Pehanchaan Gaya Main Tumhe Aur Is Zamaane Ko,..
Is Liye Dil Nahi Karta Ab Kisi Aur Se Dil Lagaane Ko,..

Tumne Samjha Hume Kanta Apni Raah Ka "Jaanasheen",..
Isliye Nahi Aata Ab Main Tumhe Khwaabon Mein Sataane Ko,..

Khuda Khush Rakhe Tumhe,Ke Tumne Di Hai Hume Ruswaai Zamaane Ki,..
Ab Yahi Dua Hai Khuda Se Ki De Wo Himmat Ab Mujhe Gham Sehkar Muskraane Ko,..

__________________________-Azeem_______________________
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2006, 09:16:34 AM »

Too good yaar! :D

Zaroor tum takalluf ko bhii iKhlaas samajhate hoge "Jaanasheen"
dost hotaa nahiin har haath milaane vaala
Tum kis se daman choda na chah rahe ho
Ham jaisa na phir paouge koi chahne wala......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #8 on: July 08, 2006, 09:24:16 AM »
Shukriya Bhai,..
Aur Bahoot Khoob..

Chahne Waalon Par Aitabaar Karke Hi, Humne Ye Chotein Khaai Hai,..
Yaad Karte Hi Dekho Un Zakhmon Ko, Aankh Meri Bhar Aai Hai,..

App Kehte Ho Hume Bewafaa Is Baat Ka Gham Nahi Hume,..
Tum Kya Jaano "Jaanasheen" Humne Kis Kadar Wafaa Nibhaai Hai,..

_____________________________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 09, 2006, 02:10:34 AM »
bahot khoob Azeem and Shahid ..............bahut sunder likha aap dono ne
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #10 on: July 11, 2006, 09:14:05 AM »
Quote from: "ranjana"
bahot khoob Azeem and Shahid ..............bahut sunder likha aap dono ne

Shukriya Ranjana Sis,..
Apne Kuch Likha Nahi,..
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #11 on: July 12, 2006, 07:54:10 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Quote from: "ranjana"
bahot khoob Azeem and Shahid ..............bahut sunder likha aap dono ne

Shukriya Ranjana Sis,..
Apne Kuch Likha Nahi,..

sahii kaha jaanasheen!..ranz-na dear aaj kal faki baaz ho gayii hai.. tongue3
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: July 13, 2006, 02:20:03 AM »
aap dono ne itna accha likha thaa ki likhne ki himmat hi nahi hui... Usual Smile

koshish karti hun..... Usual Smile

yeh dil hai masoom sheeshe  sa
koi darar na ismein na aane dijiye
jo bhi pal mile khushi ke  dosti mein
inhe samet lo mutthi mein ,dil mein
inko haath se yun na bekaar jaane dijiye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #13 on: July 14, 2006, 03:22:30 PM »
Quote from: "ranjana"
aap dono ne itna accha likha thaa ki likhne ki himmat hi nahi hui... Usual Smile

koshish karti hun..... Usual Smile

yeh dil hai masoom sheeshe  sa
koi darar na ismein na aane dijiye
jo bhi pal mile khushi ke  dosti mein
inhe samet lo mutthi mein ,dil mein
inko haath se yun na bekaar jaane dijiye

Bahoot Khoob Ranjana Sis,..

Dil Sheeshe Se Bhi Nazook Hai,..
Par Naaz Nahi Karta,..
Dil Toot Hai Phir Bhi Dekho,..
Ye Awaaz Nahi Karta,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: July 15, 2006, 03:08:45 AM »
dil tutata hai jab toh apne dard ko kuch yun chhipa leta hai
kabhi geeto mein kabhi gazalo mein khud ko dhaal leta hai
jab bhi aati hai yaad unki baate aur mulakaate  toh
yeh dard woh apne ashqo mein bhi baha leta hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:47:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer