...Bas na mili to teri chahatein...

by diya786 on October 18, 2008, 09:11:42 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3011 times)
diya786
Guest
Kitne dard hain is dil mein
Na mili to rahatein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein...

Baatein kuch ankahee si reh gayi
Hasratein kuch adoori si reh gayi
Kitne khwab the is dil mein
Na mili to haqeeqatein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein...

Duniya ki bheed mein kho gaye tum
Kyun mujhe tanha chod gaye tum
Kitni khwaishein thi is dil mein
Na mili to manzilien
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahtein...

Mohabbat ka jaise ek dariya tha
Toofaan ek lehar se jaise utha tha
Kitne armaan the is dil mein
Na mili to khushnaseebiyein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein ...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Wafa Mili........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Teri ruswayi hi mili hai... by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
mili zindagi teri vajahse.....jyuthika........ by jyuthika in Miscellaneous Shayri
Per Teri Ulfat Nahi Mili by jeet jainam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: October 18, 2008, 09:15:31 AM »
Bohot bohot Khoob Diya Applause Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: October 18, 2008, 09:21:51 AM »
BAHUT KHOOB BAHUT PYARA,
UMDA AUR LAJAWAAB KALAM PESH
KIYA DIYA SIS...
U HI LIKHTI REHNA...
BY. K.SHAEL

U TO MILA SAB KUCH NA MILI TO MOHABBATEIN
HAI,HASSI KI HAR LEHAR ME CHUPI EK NAYE GAM
KI SIYASTE HAI,

U TO HAR PHOOL KHILA DAALI PAR NA MILE TO
CHAHNE WAALE HAI,PYAR U TO PAK RISHTA KAHIYE
PAR MILI JO SABKO WO BHAGAWTE HAI...
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: October 18, 2008, 09:24:14 AM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA TALAT JI notworthy
SHALLY SIS 
AAPNE BHI BAHUT ACCHA LIKHA HAI
NICE LINES
Logged
JAANA JAANA
Guest
«Reply #4 on: October 18, 2008, 12:56:06 PM »
BAHUT KHOOBSURAT LIKHA HE
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: October 18, 2008, 09:10:27 PM »
Bohot khoob likha he aap ne diya ji, or achha kalam he k.shael ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: October 18, 2008, 09:17:56 PM »
sagar ki ufanti lahro sa tah tera pyar
ajj banjar jameen sa najar atta hai
Insaani fidrat isse kah nahi sakti
bas ab paraya sa tu najar atta hai

jin bahon mai milta tha sakoon
wo he ajj begani se najar atti hai
jiske hote, so sakti thi main besudh
ajj uske gumo se, besudh najar aatti hu

waqat tha wo, waqat hai yah
waqat - waqat per, waqat se uljhati najar atti hu
teri chahto main, teri chahto se ho kar juda
baharo main bhi, veeran najar atti hu
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: October 18, 2008, 09:23:00 PM »
Bohot khoob pooja ji.  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: October 18, 2008, 09:29:52 PM »
Shukaria Sayyid ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 19, 2008, 09:16:09 AM »
Bahoot Hi badiya Diya Ji,.
Pooja Sis,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 19, 2008, 09:22:50 AM »
Kitne dard hain is dil mein
Na mili to rahatein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein...

Baatein kuch ankahee si reh gayi
Hasratein kuch adoori si reh gayi
Kitne khwab the is dil mein
Na mili to haqeeqatein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein...

Duniya ki bheed mein kho gaye tum
Kyun mujhe tanha chod gaye tum
Kitni khwaishein thi is dil mein
Na mili to manzilien
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahtein...

Mohabbat ka jaise ek dariya tha
Toofaan ek lehar se jaise utha tha
Kitne armaan the is dil mein
Na mili to khushnaseebiyein
Yun to mila sab kuch
Bas na mili to teri chahatein ...



Chahat Dil Mein Jitni Thi, Sab Tujhpar Lootaa Diya,.
Tujhse Chahat Paane Ki Khaateer, Apni Hasti Ko Hi Mitaa Diya,.

Ab Gilaa Karte Ho Tum, Meri Chahaton Par Sawaal Karte Ho,.
Rab Hi Jaanta Hai Mera, Ke Maine Tumhe Paane Ke Liye Kya Kya Kiya,.

Tumhaari Chahat Kamzor Thi, Jo Beech Raah Mein Mera Hath Tumne Chord Diya,.
Chahaton Se Bhara Jo Dil tha Mera, use Berehmi Se Tord Diya,.

Wafaa Tum Kar Na Sake, Tumhe Darr Tha Hamesha Zamaane Ki Ruswaai Ka,.
Jo Humne Bekhauf Wafaa Nibhaai, To Ilzaam Lag Gaya "Azeem Par Bewafaai Ka,.

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: October 20, 2008, 08:41:51 AM »
 notworthy
SHUKRIYA SYYID JI,
FOR APPRICIATING MY WORK,
BY. K.SHAEL
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: October 20, 2008, 03:27:40 PM »
Bohot Khoob Pooja, AZeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 21, 2008, 10:39:07 AM »
Shukriya talat Ji,.
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: October 21, 2008, 02:13:36 PM »
sagar ki ufanti lahro sa tah tera pyar
ajj banjar jameen sa najar atta hai
Insaani fidrat isse kah nahi sakti
bas ab paraya sa tu najar atta hai

jin bahon mai milta tha sakoon
wo he ajj begani se najar atti hai
jiske hote, so sakti thi main besudh
ajj uske gumo se, besudh najar aatti hu

waqat tha wo, waqat hai yah
waqat - waqat per, waqat se uljhati najar atti hu
teri chahto main, teri chahto se ho kar juda
baharo main bhi, veeran najar atti hu


BAHUT ACCHA LIKHA HAI POOJA DI
NICE LINES... Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:23:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer