bazm-e-ranj mein tumko nai paaya ........

by HumTum on January 28, 2005, 04:04:01 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1167 times)
HumTum
Guest
kal milenge hum yeh soch ke mein so nahi paaya.
ek pal ko bhi palkoN ka milan ho nahi paaya.

dil mein zehen mein phool hai sare khushi ke bass,
kyun jaan lutaoon usspe ke jo nahi paaya.

kehta hai saqi "humTum, sab khairiyat to hai?"
kal raat bazm-e-ranj mein tumko nai paaya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bazm-e-dushman mein bulaate ho ye kyaa karate ho by ibrahim777 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bazm mein bhi, mujhey chhoo leytey ho? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ab, tujhsey kyaa chhupaa hai bazm mein, meyrey Mahboob! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye
Bazm-e-aatish-bjaan mein aa baithey! by abdbundeli in Ghazals
maine tumko paaya... by shraddha the poetess in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 28, 2005, 04:23:14 PM »
wah!!! bahoot khoob!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: January 28, 2005, 04:39:18 PM »
Quote from: "Pooja"
wah!!! bahoot khoob!!!


thanks a lot pooja ji .....


diloN ko lagana ek khel ban chuka naye jamane mai...
arman-e-"HumTum"shamshano mai kitne roz jalte hai...
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: January 28, 2005, 04:50:12 PM »
Quote from: "HumTum"
kal milenge hum yeh soch ke mein so nahi paaya.
ek pal ko bhi palkoN ka milan ho nahi paaya.

dil mein zehen mein phool hai sare khushi ke bass,
kyun jaan lutaoon usspe ke jo nahi paaya.

kehta hai saqi "humTum, sab khairiyat to hai?"
kal raat bazm-e-ranj mein tumko nai paaya.


wow!

 :D
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: January 28, 2005, 04:52:15 PM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Pooja"
wah!!! bahoot khoob!!!


thanks a lot pooja ji .....


diloN ko lagana ek khel ban chuka naye jamane mai...
arman-e-"HumTum"shamshano mai kitne roz jalte hai...


auron ke khel humare liye ganjar ban gaye,
waqt guzarne ke yeh ajeeb tareeke ban gaye,
dosh humara hai hum khel ko samajh na paye,
aur aise hi unke deewane ban gaye!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: January 28, 2005, 04:54:40 PM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Pooja"
wah!!! bahoot khoob!!!


thanks a lot pooja ji .....


diloN ko lagana ek khel ban chuka naye jamane mai...
arman-e-"HumTum"shamshano mai kitne roz jalte hai...


auron ke khel humare liye ganjar ban gaye,
waqt guzarne ke yeh ajeeb tareeke ban gaye,
dosh humara hai hum khel ko samajh na paye,
aur aise hi unke deewane ban gaye!



nice job meena ji ......
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: January 28, 2005, 04:56:50 PM »
shukriya!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: January 28, 2005, 05:09:00 PM »
Quote from: "Meena"
shukriya!

 :D


your more than welcome Meena ji.....

Humne yadoN ko ek aihsaas bana rakha hai
Dost ki yaad ko sine se laga rakha hai

Tire shahar se bahut door miri aakhoN meiN
DiDaar E yaar ki ummeed saja rakha hai

Dil ki bechain dhadkanoN ne mire sine pe
jal naa jauN kahiN .. ek aag jala rakha hai

Sochta huN maiN ye khalish to udhar bhi hogi
jisne ek DOR meiN hum sab ko fasa rakha hai

Khud se parishan huN lafzoN kaa hunur mujh meiN nahi
Haal E dil iss kadar jahil ne bayaN rakha hai

Ussi KHUDA ke karam se hum milenge fir se ...
Jisne yaroN ko "HumTum" aaj juda rakha hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: January 28, 2005, 05:24:03 PM »
wahhhh!!!!!

Khuda to kisi ko kisi se juda karta nahin,
agar judai ho to uske bandon ki bhalayi hi hoti hai,
waqt rokhne se dukh tam to nahin jate,
arman ke lashon par hi sahi par zindagi aage chalti hai!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: January 28, 2005, 05:27:41 PM »
Quote from: "Meena"
wahhhh!!!!!

Khuda to kisi ko kisi se juda karta nahin,
agar judai ho to uske bandon ki bhalayi hi hoti hai,
waqt rokhne se dukh tam to nahin jate,
arman ke lashon par hi sahi par zindagi aage chalti hai!



well done meena ji.....

Guzar to jayegi tere bgair lekin
Bhut Tanha bhut berang guzregi.....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:59:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer