be maksad zindagi

by izhaarkeintzaarmein on April 01, 2006, 07:16:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1089 times)
izhaarkeintzaarmein
Guest
how many times have  we felt that our life has no purpose and we are just spending our days on this beautiful planet without any purpose




chalte chalte ab hum chalte ja rahe hain
na manjil ki jhalak na raaston ka sitara
marasim ke diwane hue ja rahe hain
zindagi tamasha ban chuki hain baazigar ka
kartab karke bakhshhesh liye ja rahe hain
nahi maaloom ki hum khush hainn ya hain udaas
kabhi gham mein to kabhi jashn mein piye ja rahe hain
nahi khabar ki jaam-e-sharab hai ki jaam-e-jindagi
bas peete peete madhosh hue ja rahe hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sirf teri hi yad hain jine ka maksad by alone_star13155 in Shairy-E-Watan
be maksad zindagi by izhaarkeintzaarmein in Critics and Review only Forum
***Zindagi Ka Maksad*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
MAKSAD ZINDGEE by surindarn in Shairi - E - Zindagi
Peena mera maksad nhi--- Kumaar by kumaar in Miscellaneous Shayri
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #1 on: April 03, 2006, 04:14:45 PM »
sahare na banao sahare choot jate hain
kismat ko na dekho ki tare toot jate hain
kinare pe khada na samajh ki paar chale jaega
maujo ke josh mein sahil doob jate hain
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: April 03, 2006, 04:35:08 PM »
nice work izhaar ji.

"Bewaqt mausam ne aaj dastak di kyun hai,
      jab chaha ise itna to jhalak bhi na dikhai isne,
      aaj jab chaah hai kisi aur hi mausam ki........,
      kyun ateet aaj phir saamne hai waqt banke."
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 03, 2006, 04:41:16 PM »
Quote from: "izhaarkeintzaarmein"
sahare na banao sahare choot jate hain
kismat ko na dekho ki tare toot jate hain
kinare pe khada na samajh ki paar chale jaega
maujo ke josh mein sahil doob jate hain


bahoot sahi kaha Izhaar!!

her sahara muje, mera sahara leta najar ayya
her kinara muje, apni raah aggy ki banata najar ayya
kin per bharosa kare Pooja, yah kabhi samjh na ayya
jis per bhi kiya bharosa, wo hi hath mai khanjar liye najar ayya!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 03, 2006, 04:41:52 PM »
Quote from: "izhaarkeintzaarmein"

chalte chalte ab hum chalte ja rahe hain
na manjil ki jhalak na raaston ka sitara
marasim ke diwane hue ja rahe hain
zindagi tamasha ban chuki hain baazigar ka
kartab karke bakhshhesh liye ja rahe hain
nahi maaloom ki hum khush hainn ya hain udaas
kabhi gham mein to kabhi jashn mein piye ja rahe hain
nahi khabar ki jaam-e-sharab hai ki jaam-e-jindagi
bas peete peete madhosh hue ja rahe hain



nice try Izhaar!!

Chalaty chalty, zindagi se sawal kar liya
Chal rahi ho mere sung, bara kamal kar diya
Kisi ne kabhi bhi koi sath nibhaya nahi
Jab chaha munh moda, karan bhi bataya nahi
Toote dil ko khud hi sambhalti ajj tak aai hu
Hai bahoot apne, phir bhi akle hi jeeti aai hu
Sukh mai her koi hai sathi, Dukh mai koi najar na ayya
Chalo bahoot acha hua, zindagi ka koi sabka to samjh mai ayya
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #5 on: April 03, 2006, 04:42:28 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
nice work izhaar ji.

"Bewaqt mausam ne aaj dastak di kyun hai,
      jab chaha ise itna to jhalak bhi na dikhai isne,
      aaj jab chaah hai kisi aur hi mausam ki........,
      kyun ateet aaj phir saamne hai waqt banke."


mein woh nahi bulane se chala aaunga
mein woh bhi nahi jo bhagane se chala jaunga
mein koi shama nahi jise yum fana kar sako
mein koi waqt bhi nahi jise tum chabi bhar sako
mein to sirf tera saya hoon jo tujhse juda ho nahi sakta
mein to rooh hoon jo tujhse khafa ho nahi sakta
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: April 03, 2006, 04:42:30 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
nice work izhaar ji.

"Bewaqt mausam ne aaj dastak di kyun hai,
      jab chaha ise itna to jhalak bhi na dikhai isne,
      aaj jab chaah hai kisi aur hi mausam ki........,
      kyun ateet aaj phir saamne hai waqt banke."


wah kaya baat hai nidhi.... nice to see you...app Edd ka chand ho gai hai
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #7 on: April 03, 2006, 04:46:54 PM »
dhanya waad pooja ji
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: April 03, 2006, 05:03:02 PM »
Thanx Pooja ji,bohat acha likha aapne bhi.And once again nice one izhaar ji.

"Bhulaane se na bhoole,mujhe pata hai na bhula paaungi,
      wo lamhe chahat ke kabhi khud se door na kar paaungi,
      zindagi aaj aise daurahe pe hai meri ki jaaun kahan,
     mohabbat me lagi hai thokar,aakhir kaise ubhar paaungi."
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #9 on: April 03, 2006, 06:38:05 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Thanx Pooja ji,bohat acha likha aapne bhi.And once again nice one izhaar ji.

"Bhulaane se na bhoole,mujhe pata hai na bhula paaungi,
      wo lamhe chahat ke kabhi khud se door na kar paaungi,
      zindagi aaj aise daurahe pe hai meri ki jaaun kahan,
     mohabbat me lagi hai thokar,aakhir kaise ubhar paaungi."


thank you nidhi ji

teri jindagi sirf teri hai kisi ki amanat nahi
jb chahe tod de aisi ik imarat nahi
 not mine
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: April 04, 2006, 05:53:05 AM »
"Zindagi to apni hai,par ho chuki hai kisi aur ke naam,
      uske bina ab lagti nahi mujhe koi bhi raah asaan."
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2006, 09:20:08 AM »
mana ki unka kad aur tha
mana ki unka darza aur tha
mana ki unse aapka rishta aur tha
lekin nahi maan sakte ki koi aap ke dil ko tod de
nahi maan sakte ki woh aapko tanha chhod de
nahi maan sakte ki aapko tod de
aur bilkul nahi maan sakte ki aap usko iski ijajat de de
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:56:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer