bedilee .... zarraa

by zarraa on November 04, 2016, 09:09:08 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 594 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
bedilee dilbaree ke baad aaye
maut bhi zindagee ke baad aaye

meri mayyat* pe haiN jamaa sab dost
ye magar bekasee* ke baad aaye
(mayyat = funeral, bekasee = friendlessness)

pehle aayee barahnagee* meri
saare darzee usee ke baad aaye
(barahnagee = nakedness)

yaad aaye bahaane jeene ke
haaN magar khudkushee ke baad aaye

shikwa zulmat* ka kar rahe ho kya
teergee* roshnee ke baad aaye
( zulmat = darkness, teergee = darkness)

tod kar paaNv dene baisaakhee
meri laachaargee ke baad aaye

umr is meiN guzar hi jaatee hai
baahamee* barhamee* ke baad aaye
(baahamee = togetherness, barhamee = anger)

meri aaNkhoN ko aaina kar lo
husn ye saadgee ke baad aaye

yaad ghar ka kivaarh* aataa hai
lekin aavaaragee ke baad aaye
(kivaarh = door shutter)

shayaree seekh kar likhoge sher
ishq to aashiqee ke baad aaye

baat yooN bhi na tum kisee se karo
bazm meiN bhi sabhee ke baad aaye

log "zarraa" ko sun ke hairaaN haiN
ye zabaaN khaam'shee* ke baad aaye
(khaam'shee = silence)

- zarraa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PAANEE ..... ZARRAA by zarraa in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2 3  All »
NAACHAAR LOG ---- ZARRAA by zarraa in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aaj ki raat ..... zarraa by zarraa in Shayri-E-Dard
TALAASH HAI ......ZARRAA by zarraa in Shairi - E - Zindagi
GUZRI ...... ZARRAA by zarraa in Shairi - E - Zindagi
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: November 04, 2016, 09:57:18 PM »
Subhan Allah Bohat Zabardast Ashaar Hai Zarraa Ji
Logged
RAKESH DENGDA
Maqbool Shayar
****

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 13 hours and 49 minutes.
Posts: 528
Member Since: Jun 2016


View Profile
«Reply #2 on: November 05, 2016, 04:28:40 AM »


Wahhhh...Bahot...Khoob...Rau qubool Kare..

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: November 05, 2016, 08:03:50 PM »
bedilee dilbaree ke baad aaye
maut bhi zindagee ke baad aaye

meri mayyat* pe haiN jamaa sab dost
ye magar bekasee* ke baad aaye
(mayyat = funeral, bekasee = friendlessness)

pehle aayee barahnagee* meri
saare darzee usee ke baad aaye
(barahnagee = nakedness)

yaad aaye bahaane jeene ke
haaN magar khudkushee ke baad aaye

shikwa zulmat* ka kar rahe ho kya
teergee* roshnee ke baad aaye
( zulmat = darkness, teergee = darkness)

tod kar paaNv dene baisaakhee
meri laachaargee ke baad aaye

umr is meiN guzar hi jaatee hai
baahamee* barhamee* ke baad aaye
(baahamee = togetherness, barhamee = anger)

meri aaNkhoN ko aaina kar lo
husn ye saadgee ke baad aaye

yaad ghar ka kivaarh* aataa hai
lekin aavaaragee ke baad aaye
(kivaarh = door shutter)

shayaree seekh kar likhoge sher
ishq to aashiqee ke baad aaye

baat yooN bhi na tum kisee se karo
bazm meiN bhi sabhee ke baad aaye

log "zarraa" ko sun ke hairaaN haiN
ye zabaaN khaam'shee* ke baad aaye
(khaam'shee = silence)

- zarraa
waah waah bahut khoob Rau ke saath daad.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Zarron zaroon se yeh awaaz aarahi hai
Rait ke dhair baad samundar hai aaye
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #4 on: November 06, 2016, 04:08:52 AM »
WAAAH WAAH WAAH WAAH WAAH WAAH WAAH
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: November 06, 2016, 01:43:56 PM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaah Applause Applause Applause Applause
Logged
Rustum Rangila
Yoindian Shayar
******

Rau: 128
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 16 hours and 31 minutes.

Posts: 2534
Member Since: Oct 2015


View Profile
«Reply #6 on: November 07, 2016, 05:55:20 AM »
Daad ke liye alfaaz nai hain - Rau khubool kijiye  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:05:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer