Beemar-e Gham k Chehre se Chaadar uthhaiiye !

by seraj325 on April 08, 2009, 12:37:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1439 times)
seraj325
Guest
Beemar-e gham ke chehre se Chaadar uthhaaiiye !
Dosto.n ! Aaj mae.n jis Beemaar-e gham ke sar se Chaadar uthha raha hu.n wah Eik bade Shayer hain aur shukr Allah ye mere dost bhi hain. Ye Shohrat nahin chhahte isliye abhi tak apne kalaam Publish nahin karwaye hain..
Hum log koshaa.n hain ke ye publish ho jaye ..take ahle fun inhen samjh sake.n aur lutf-andoz ho sake.n
Yahaan meri muraad hai Janaab " Muqeet Ahmed Azmi Sahab se..
Inki eik ghazl aapke comments ke liye haazir hai..
..

Sheesha uthhaaiiye ga na pat-thar uthhaiiye
Pyasa ho jo Lahoo ka wo khanjar uthhaiiye

Ahbaab-e iqtedaar ka hai mashwara yahi
Hota ho Qatle-aam tu mat Sar uthhaiiye

Amn-o sokoo.n se jeena agar chahte hain aap
Har ei.nt ke jawaab me.n pat-thar uthhaiiye

Khush w khirad ka ghar kahin sooraj na jala de
Gaagar ki tarah sar pe samandar uthhaaiiye

Taqdeer na so jaye kahin aasmaa.n ke beech
Azmo Amal kii zarb se mahshar uthhaaiiye

Paaye.n ge Ferq aap bhi mauto hayaat me.n
Beemar-e gham ke chehre se chaadar uthhaaiiye !!

Maatum kada bane na koi ghar Muqeet ab
Har ek nagar se zulm ka daftar uthhaiiye !!

By ...Muqeet Azmi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chaadar by nishita in Shayri-E-Dard
@#@#@ ISHQ KE BEEMAR @#@#@ by hsaquib in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~ISHQ Ki CHaaDar~*~ by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ishq Ke Beemar by Jaabeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
Beemar log (Tarahi ghazal) by Zaif in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 08, 2009, 01:53:20 PM »
Subhan Allah Subhan Allah, Seraj Bhaiya,.
Bohat Hi Badhiya Sharing Hai Aapne, Muqeet Azmi Ji Ki,.
Pardhkar Mashallah Bohat Achcha Laga, Bas Duaa Karte hain ke Allah Inhe, SHohrat Bhi Dilaaye Mohabbat Bhi Dilaaye,.

hamari beech Aapne ye Shayari Share Ki, Bohat Khushi Hu.
Logged
seraj325
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2009, 02:04:18 PM »
Shukriya Jaanasheen ji.
Rab aapko khush rakhe. !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 08, 2009, 02:21:42 PM »
Shukriya Jaanasheen ji.
Rab aapko khush rakhe. !

Aameen, Aur Aapko Bhi,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2009, 03:35:29 PM »

sach mein bahut hi khoobsurat peshkash hai...
shukriya ise yahan post karne ke liye..

Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2009, 03:58:50 PM »
Beemar-e gham ke chehre se Chaadar uthhaaiiye !
Dosto.n ! Aaj mae.n jis Beemaar-e gham ke sar se Chaadar uthha raha hu.n wah Eik bade Shayer hain aur shukr Allah ye mere dost bhi hain. Ye Shohrat nahin chhahte isliye abhi tak apne kalaam Publish nahin karwaye hain..
Hum log koshaa.n hain ke ye publish ho jaye ..take ahle fun inhen samjh sake.n aur lutf-andoz ho sake.n
Yahaan meri muraad hai Janaab " Muqeet Ahmed Azmi Sahab se..
Inki eik ghazl aapke comments ke liye haazir hai..
..

Sheesha uthhaaiiye ga na pat-thar uthhaiiye
Pyasa ho jo Lahoo ka wo khanjar uthhaiiye

Ahbaab-e iqtedaar ka hai mashwara yahi
Hota ho Qatle-aam tu mat Sar uthhaiiye

Amn-o sokoo.n se jeena agar chahte hain aap
Har ei.nt ke jawaab me.n pat-thar uthhaiiye

Khush w khirad ka ghar kahin sooraj na jala de
Gaagar ki tarah sar pe samandar uthhaaiiye

Taqdeer na so jaye kahin aasmaa.n ke beech
Azmo Amal kii zarb se mahshar uthhaaiiye

Paaye.n ge Ferq aap bhi mauto hayaat me.n
Beemar-e gham ke chehre se chaadar uthhaaiiye !!

Maatum kada bane na koi ghar Muqeet ab
Har ek nagar se zulm ka daftar uthhaiiye !!

By ...Muqeet Azmi

Seraj Ji, Azmi Sahab ko mubarakbad dijiyega is khoobsurat ghazl likhne ke liye....aur aap ka bohot shukriya ise yahan hum logon ke beech laane ke liye...Bohot Khoob !!
Logged
seraj325
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2009, 05:48:29 AM »
Ye ghazal aaplogo.n ko pasand aayee aue aaplogo.n ke HAUSLE BAKHSH cOMMENTS HUM aZMI sAHAB KO BATA DENGE.
Unki aur bhi ghazle.n bhi post karne ki koshish karoonga..agar unho.n ne ejazat di.
Aap logon ne isse waqt dekar dil se padha .. iske liye hum aapke behad mashkoor hain.
jazakallah
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: April 09, 2009, 06:00:33 AM »
Very Nice one Seeraj Ji.

 Thanks for sharing it Usual Smile
Logged
karndhar
Guest
«Reply #8 on: April 09, 2009, 07:42:25 AM »
Good One, Seraj Ji !!
Nice Sharing !!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 09, 2009, 10:42:21 AM »
Hume UIntezaar Rahega, Seraj Bhaiya, Azmi JI, Ki Aur Aapki GHazlein Aur Bhi Pardhne Ka,.
Logged
seraj325
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2009, 09:12:47 AM »
Insha Allah jald Haazir honge Phir ghazlo.n ke saath.
jazakallah
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2009, 10:19:43 AM »
bahut khoob Seeraj ji
aapka tahe dil se shukriya karti hoon ki aapne itni khoobsurat ghazal yahan humare saath share ki humein aapki aur Azmi sahab ki aur ghazlon ka besabri se intezaar rahega
icon_flower
Logged
lovepeace
Guest
«Reply #12 on: April 10, 2009, 06:32:36 PM »


"Sheesha uthhaaiiye ga na pat-thar uthhaiiye
Pyasa ho jo Lahoo ka wo khanjar uthhaiiye..."

wah kya baat hai too good.


Logged
seraj325
Guest
«Reply #13 on: April 11, 2009, 10:41:02 AM »
Shukriya Diya

Shukriya Love Piece..

Haan zaroor post karoonga...
Aap log aese hi hausala afzaaii karti rahiye
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:13:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer