Jaate jaate mang li usne sabhi nishaniyaan apni
Maut deni thee yun mujhe toh kishto mein toh di hoti
Thee khabar kya ek din yeh bhi hoga
Hamne toh apni saanse tak unke naam thee kar di
Badal gaye who hawao,n ki rukh ki tarah
Kuch toh apne jaane ki khabar hamko di hoti
Mil jaati hame panaah unki bahaon mein agar
Toh yeh zindagi yun na mushkil hui hoti
Thaa who bebasi ka alam jab hum juda hue
Kash us pal mein yeh dard ki dastaan na hui hoti
Maangana thaa toh maang lete hamse who hamari jaan bhi
Par yun apne beete palo ki nishaaniyaan toh na maangi hoti……….
MEIN KAB TAK SAHOON A DIL TERE DARD KO
AB AAZAD KARDE MERE ISS DARD KO
APNE HI WAJOOD KO TOR DALA
KHUD KO US KI JUDAAI MEIN BIKHAIR DALA
MAIN KAISE KAROON MUKAMMAL ANDER KE ISS INSAAN KO
IS QADAR TOOT KE BIKHRA HOON KE
AB TOOT KAR KISI KO CHAHNA NAHEEN
ISLIYE BANA LIYA TERE NISHANYAN KO APNI SASSE
shukriya Naveen ..........bahut khoob likha hai aapne...
na jaane woh hum se kyu juda ho gaye
zinadgi ke pal aur dard bhare ho gaye
na they woh bewafa na they hum bewafa
fir woh pyaar ek pal kyu faana ho gaye
mujhe mujhse hi juda kar diya ek pal mein
hum bhari duniya mein tanah ho gaye
ek baar bhi fir palat ke na dekha unhone
wahi pyaar ke raste kyu ajnabi se ho gaye
ab hum chaha na sakenge kabhi kisi ko is qader
mere dil ke zakham kuch aur gehare ab ho gaye
Tanhayee ka ehsas hone laga hai.
Judai ka gum jo seene mei pada hai.
Dooriyan badhne jo lag rahi hai
Dhadkan dheere-dheere yun jo thum rahi hai.
Is taqleef mei bhi kuch maza hai.
Na jaane kis khata ki yeh saza hai.
Door tumse rehke jeena, julm hoga.
Yeh toh mere jajbhatho ka har din katal hoga.
Is daur se bhi mujhe gujar jaana hoga,
Is dard ko toh apnana hi hoga.