bekhudi ke adat

by arunsingh on September 22, 2006, 04:30:19 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1469 times)
arunsingh
Guest
ye mushkurana kahi apki sharat to nahi
bhak jau mai bhekhudi mai kahi ye mari adat to nahi
ye gazal sun kar jamene ka bhar ayi hai akahe
ye khayal hi hai logo ka kahi hiqqut to nahi
sise ki hato ne thame hai patthar kis liye
bhar hona ape ke ye sarafat to nahi
ek muddat ke bad pukara hai apane hume
kahi aj apko hamari jarurat to nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BEKHUDI by masud in Shayri for Khumar -e- Ishq
dastaan e bekhudi... by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bekhudi by Brijinder in Shairi - E - Zindagi
bekhudi ki zindagi by Guest in Shayri-E-Dard
Bekhudi Had Se by dksaxenabsnl in Share: Poetry of Pain
ranjana
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2006, 02:09:42 AM »
dil mein ek dard sa hai mere abhi
kahi yeh aapni inaayat toh nahi
baat keh ke bhi meri rah gayi unkahi si
kahi yeh aapko berukhi toh nahi
dekhe they meri aanhko ne kai khawab naye se
kahi yeh aapki dillagi toh nahi
yun hi baate karna aur fir unse mukar jaana
kahi yeh aapki aadat toh nahi !!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: September 29, 2006, 06:48:38 AM »
adat unki rahi dil jalane ki
humne bhi zidd kar li unhne panne ki
mila kuch nahi,saaye ke sath ke siwa
aor ruswai mili ek anjaane ki ...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 29, 2006, 09:50:43 AM »
saath reh ke  bhi woh cherha kabhi apana sa muhje nahi laga
kisko talash karte rahe hum umar bhar yeh khud hamko pata nahi laga
andhere mein bhi chamakati rahi mere dil ki dhup ujalaa ban kar
kya hadasa thaa yeh zindagi ke vearano ka,
apana  saaya bhi kabhi apna hamdam na laga........
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2006, 11:59:27 AM »
Good one everyone !!
Logged
arunsingh
Guest
«Reply #5 on: October 03, 2006, 04:34:02 AM »
shukriya talat ji , ranju ji

na wo aa sake na hum jaa sake
dard dil ka kisi ko na suna sake
yado ko le kar bathe hai yaad mai unki
na wo hume bhula sake
na hum unehe bhula sake
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: October 03, 2006, 04:39:33 AM »
Quote from: "arunsingh"
shukriya talat ji , ranju ji

na wo aa sake na hum jaa sake
dard dil ka kisi ko na suna sake
yado ko le kar bathe hai yaad mai unki
na wo hume bhula sake
na hum unehe bhula sake



good one arun....

maangi thee dua zindagi bhar saath chalne ki hamne
na jaane rasata kab apni manzil se bichar gaya
sare shaam abhi bhi hai wahi per thahari hui si
jahan mera hamsafar mujh se bichar gaya!!
Logged
arunsingh
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2006, 04:43:58 AM »
bhut khoob ranju ji
 is liye to ek bat kahata hu

is kadar na har bat yaro se puchoo
jo bat raj ki ho wo isharo  se puchoo
lehero se khelna to  samndar ka souk hai
chut lagti hai kase kinaro se puchoo
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: October 03, 2006, 04:51:54 AM »
Quote from: "arunsingh"
bhut khoob ranju ji
 is liye to ek bat kahata hu

is kadar na har bat yaro se puchoo
jo bat raj ki ho wo isharo  se puchoo
lehero se khelna to  samndar ka souk hai
chut lagti hai kase kinaro se puchoo


good one ...arun ji....

poocha jo raaz zindagi ka hamne unse ishaaro mein
aankho mein ek dard kahi se aa ke chip gaya
leharo ne chuma thaa samander ke kinaaro ko
yeh dekh ke zamaane ka dil na jaane kyu jal gaya!!
Logged
arunsingh
Guest
«Reply #9 on: October 03, 2006, 04:59:26 AM »
BHUT KHOOB RANJANA JI

ASHYAR U TO MARE JAMENE KE LIYE HAI
KUCH SHARE HAI FAQUT JO TUMEHE SUNANE KI LIYE HAI
AKHO MAI BHAR LIYA HAI TO KANTE TO CHUBHENGE HI SAHI

MAGAR YE KHWAB HAI JO PALKO PAR SAJANE KE LIYE HAI

YE MOHABBT KA SOUDA HAI KABHI TANHAI HAI TO KABHI KHAMOSHI

BUS USI EK SAQS KI YAAD KO BHULANE KE LIYE HAI
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: October 03, 2006, 05:06:06 AM »
yun hi har waqt hame milna aur bichadaan hai
main hun raat ki parchaai si tu din ke ujaale sa hai
jab kabhi badaaya hai haath hamne ujaalo ke liye
ek tanahaai ka alam hi mere haath laga hai!!
Logged
arunsingh
Guest
«Reply #11 on: October 22, 2006, 04:30:59 PM »
thank u talat and ranju
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: October 22, 2006, 05:44:02 PM »
Bahut achhe ranju di...


ZaliM Tha Wo Aur ZulM Ki Adat Bhi Bahut Thi,
Majboor The HuM Usse Mohabbat Bhi Bahut Thi,

Us Butt Ke SitaM Seh Ke Dikha Hi Diya HuMne,
Jo Apni Tabiyat Mein Bagawat Bhi Bahut Thi,

Wakif Hi Na Tha HaMari Mohabbat Se Wo Warna,
Dilke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bahut Thi,

Yun Hi Nahi Mashhoor-E-ZaMana Mera Qaatil,
Us Shakhs Ko Is Fun Mein Maharat Bhi Bahut Thi,

Kya Wo AalaM Tha Ke Lahoo Dil Mein Bahut Tha,
Aur Dilko Laho Karne Ki Fursat Bhi Bahut Thi!!!
* * * * *
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: January 05, 2010, 11:45:48 AM »
Achhi creation hai Arun Ji. Keep it up. It is also important that  before posting check the spellings. Wrong spelling declines a poem. The following words are spelled wrongly:

sharat- (Shararat)
bhak-(bahak)
mari-(meri)
gazal-(ghazal)
jamene-(Zamane)
hiqqut-(Haqiqat) etc.


Please dont mind.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: January 05, 2010, 11:48:15 AM »
Bahut pyari ghazal hai Angel ji

Bahut achhe ranju di...


ZaliM Tha Wo Aur ZulM Ki Adat Bhi Bahut Thi,
Majboor The HuM Usse Mohabbat Bhi Bahut Thi,

Us Butt Ke SitaM Seh Ke Dikha Hi Diya HuMne,
Jo Apni Tabiyat Mein Bagawat Bhi Bahut Thi,

Wakif Hi Na Tha HaMari Mohabbat Se Wo Warna,
Dilke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bahut Thi,

Yun Hi Nahi Mashhoor-E-ZaMana Mera Qaatil,
Us Shakhs Ko Is Fun Mein Maharat Bhi Bahut Thi,

Kya Wo AalaM Tha Ke Lahoo Dil Mein Bahut Tha,
Aur Dilko Laho Karne Ki Fursat Bhi Bahut Thi!!!
* * * * *

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:13:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer