*..Berukhi..*

by -Pari- on December 27, 2010, 08:18:51 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4893 times)
-Pari-
Guest
Duriyon Ki Ab na Aisi Sazaa de Mujhko
Ab to Reham kar Akar Gale Laga le Mujhko

Har Dard Khushi ka Paigaam Gar Hota Hai
Aaj Tere Is Daawe ka Gawa bana de Mujhko

Nakab Mein khudko Bacha Rakha Hai Barso Se
Ab uthale Isse aur Palko mein Chupa le Mujhko

Hoga Na koi Humnasheen Mujh Jaisa Kahin
Na ho Yakeen To Chal Aur Bhi Aazma le Mujhko

Yeh Dil chura kar le gaye Badle mein kuch na diya
Insaaf e Mohobbat Kar ya Isse Laut ta de mujhko

Intezar Main Tere Hum Har Pal Jalte Hi Rahe
Akhri Karam Kar Ab Raakh se Mila De Mujhko


-PARI-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere berukhi se... by Only4U in Shayri-E-Dard
Berukhi by younus_syed in Shayri for Dard -e- Judai
Berukhi-e-Sanam by rahul03 in Shayri-E-Dard
Unki Berukhi by pramodg in Shayri for Khumar -e- Ishq
berukhi by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dead heart
Guest
«Reply #1 on: December 27, 2010, 08:39:23 PM »
Jo ek baar dil de diya, toh lautana kaisa Pari jee?
Kya baat hai jee..
Bahaut acha laga parr kar..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #2 on: December 27, 2010, 08:45:04 PM »
Jo ek baar dil de diya, toh lautana kaisa Pari jee?
Kya baat hai jee..
Bahaut acha laga parr kar..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


KUCH CHISEIN APNE PAS HI RAHEIN TO BEHTAR HOTA HAI JI...

KHAIR HUMARI KHOSHISH KO NAZAR KARNE K LIYE SHUKRIYA
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #3 on: December 27, 2010, 08:45:44 PM »
Wah Re Toto Kya Baat Hai
Aate Hi Loot Liya Ji
Bahut Wadiya Likha Hai

Hum Bhi Koshish Kareneg Kuch Bana tO

Tab Tak Mast Wyast Aur Chust Raho Ji



Ap rehne do..dumbo..2 din main ek reply to diya nahi..sad5
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 27, 2010, 09:15:07 PM »

KUCH CHISEIN APNE PAS HI RAHEIN TO BEHTAR HOTA HAI JI...

KHAIR HUMARI KHOSHISH KO NAZAR KARNE K LIYE SHUKRIYA
Dil diya jata hai..isiliye toh dil hota hai..
Waise sach kaha kuch cheezein dene kay liye nahin hoti..
I agree to that..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: December 27, 2010, 09:22:23 PM »
Bohat Achche Pari, Achchi Mehfil Saji Hai yahaan,.



Pyaar Wafa Sab Matlab Ki Baatein Hain "Azeem,.
Is Chakkar Mein Humne Zindagi Barbaad Karli,

-Azeem-
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #6 on: December 27, 2010, 09:24:48 PM »
Bohot Khoob Azeem Ji..nd Shukriya


Wafa Ka Falsafa Hume Padaya karte The Wo
Mohobbat Hui To Wo Amal Karna Bhulgaye
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 27, 2010, 09:25:38 PM »
Kya baat hai Azeem bhai..
Chaar chand laga diye iss shaer ne..

Ghum mila mohobat main toh bewaffa keh rahe ho usse Rahim,
Khushion kay mausam main tariffein uski humne kayi suni thi..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: December 27, 2010, 09:27:04 PM »
Bohot Khoob Azeem Ji..nd Shukriya


Wafa Ka Falsafa Hume Padaya karte The Wo
Mohobbat Hui To Wo Amal Karna Bhulgaye
Applause Applause


Dosh sara usse na dena Rahim,
Taali ek haath se nahin baja karti..
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #9 on: December 27, 2010, 09:29:12 PM »
Khata Mere Ikrar Ki thi Jo Dil Tutgaya
Na Hum Ikrar Karte Na unka Inkar Hota

bohot khoob Rahim ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 27, 2010, 09:29:37 PM »
Bohot Khoob Azeem Ji..nd Shukriya


Wafa Ka Falsafa Hume Padaya karte The Wo
Mohobbat Hui To Wo Amal Karna Bhulgaye

Waah,.

Mohabbat Us Shay Ka Naam Hai "Azeem,.
Jise Log Zarurat Banaakar, Dena Bhool Jaate Hain,.

-Azeem-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 27, 2010, 09:32:54 PM »
Kya baat hai Azeem bhai..
Chaar chand laga diye iss shaer ne..

Ghum mila mohobat main toh bewaffa keh rahe ho usse Rahim,
Khushion kay mausam main tariffein uski humne kayi suni thi..

Shukriya Bhai And Nice Lines..

Mohabbat Karne Waalon Ko Kahaan Khushiyaan Milti Hain "Rahim,.
Jo Pal Khushi Mein Guzaare Unhi Ki Yaadein To Rulaati Hain,.

-Azeem-
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #12 on: December 27, 2010, 09:33:38 PM »
Waah,.

Mohabbat Us Shay Ka Naam Hai "Azeem,.
Jise Log Zarurat Banaakar, Dena Bhool Jaate Hain,.

-Azeem-

Kitni Asani se Haqeeqat Bayan Kardi..insha allah bohot khoob

Mohobbat Karni Hai To Sitam To Sehne Honge..
Chalna Koi Gire bina Sikha Nahi Karta..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 27, 2010, 09:36:41 PM »
Khata Mere Ikrar Ki thi Jo Dil Tutgaya
Na Hum Ikrar Karte Na unka Inkar Hota

bohot khoob Rahim ji

Har Koi Khush Rehta Teri Duniya Mein Ya Rabb,.
Na Seene Mein Dil Hota, Na Is Jahaan Mein Pyaar Hota,.

-Azeem-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 27, 2010, 09:39:58 PM »
Kitni Asani se Haqeeqat Bayan Kardi..insha allah bohot khoob

Mohobbat Karni Hai To Sitam To Sehne Honge..
Chalna Koi Gire bina Sikha Nahi Karta..

Shukriya, And Nice Lines,.

Chalne Se Zyaada Humne "Pari", Thokaarein Khaai Hai,.
Jise Manzil Hi Na Mili Humne Aisi Kismat Paai Hai,.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:41:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.202 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer