*..Berukhi..*

by -Pari- on December 27, 2010, 08:18:51 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 4884 times)
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #45 on: December 28, 2010, 06:40:55 PM »
kuch hamare saath bhi jugalbandi kar lo ji
   hame bhi apne khabon sapno ki duniya me bhar lo ji
dekh lo mere liye bhi koi khab sunahara
  uss par na laga koi jaagti aankho ka pahra
..
hume jugalbandi ke ustadon se hai khasa yaarana
    kuch to mizaaz hai apna bhi shayrana
--
ting tong
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere berukhi se... by Only4U in Shayri-E-Dard
Berukhi by younus_syed in Shayri for Dard -e- Judai
Berukhi-e-Sanam by rahul03 in Shayri-E-Dard
Unki Berukhi by pramodg in Shayri for Khumar -e- Ishq
berukhi by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #46 on: December 28, 2010, 06:43:34 PM »

Har Sitam Gawaara Hai, Har Sazaa Manzoor Hai,.
Bas Ek Baar Mujhe Gale Lagaake Zinda Kardo,.

-AS-
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #47 on: December 28, 2010, 06:46:17 PM »
kuch hamare saath bhi jugalbandi kar lo ji
   hame bhi apne khabon sapno ki duniya me bhar lo ji
dekh lo mere liye bhi koi khab sunahara
  uss par na laga koi jaagti aankho ka pahra
..
hume jugalbandi ke ustadon se hai khasa yaarana
    kuch to mizaaz hai apna bhi shayrana
--
ting tong


Hum Har kisi k saath Jugalbandi Nai karte Kill bill ji..
waise B Jugalbandiyan Khud ba Khud Hoti hain Jaan Kar Nahi ki Jaati..
God Bless!!!
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #48 on: December 28, 2010, 06:48:14 PM »

Har Sitam Gawaara Hai, Har Sazaa Manzoor Hai,.
Bas Ek Baar Mujhe Gale Lagaake Zinda Kardo,.

-AS-

Bohot Khoob Azeem ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #49 on: December 28, 2010, 06:49:57 PM »

Kisi Ko Paakar Magroor Hona Achcha Nahi "Azeem,.
Har Log Yahaan Pyaar Nibhaane Waale Nahi Hote,.

-Azeem-
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #50 on: December 28, 2010, 06:52:44 PM »
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De,Meri Zindagi Se Bani Nahi..
Tu Mane Ya Na Mane Mujhe Zindagi Par Yakeen Nahi...

NM
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #51 on: December 28, 2010, 06:54:09 PM »
ok ji ---
aapki marji.
***
jabardasti ka sauda hume bhi gawara nhi--
ek baar hi puchte hai dubara nahi---
***
aapka safar achha ho.
god bless u too my dear bachha.Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #52 on: December 28, 2010, 06:55:14 PM »
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De,Meri Zindagi Se Bani Nahi..
Tu Mane Ya Na Mane Mujhe Zindagi Par Yakeen Nahi...

NM



Kaash Tu Maut Hoti Meri Jaan,.
Ek Na Ek Din To Zaroor Meri Hoti,.

-Azeem-

Missng You Badly Yaar, {S}
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #53 on: December 28, 2010, 07:10:43 PM »
Small small khoshish Ustaad...
Galti Maaf... sad5

-----------------------------------------

Dawa E Mohobbat Hai to Ehsaan Kardo..
Aaj Ki Shaam Bas Mere Naam Kardo..

Gawaara Judai To Tumhe Bhi Naahi..
Himmat Karo Aur Mujhe Badnam Kardo..

Tu Meri Pechaan, Main Anjaam Tera..
Is Raaz E Mohobat Ko Sar.e.Aam Kardo..

Wade Karke Dil Behlana Ab Bohot Hua..
Tabeer Karo Inhe Mujhe Inaam Kardo..



-pari-

Logged
-Pari-
Guest
«Reply #54 on: December 28, 2010, 11:29:31 PM »
Nautanki Ki Kahin Ki
Bina Natak Kiye Nahi Likh Sakti
Dekho Ab Likhti Khud Ustad Jaisa Hai
Aur Mazak Mujh Gareeb Ka Oodati Hai
Bahut Achha Likha Hai Princess Of Paglistan
Jeeti Raho Bachcha...Koshish Galti Maaf.



Apni Bechainiyon Ko  Main It,mam Dun
Tu Hi Bata  Kaise  Is  Dil Ko Aaram Dun.

Sir Chadke Bolne  Lagi  Hain  Hasratein
Kab Tak Bhala Inhe , Sabr Ke Jaam Dun.

Har Aati Jaati Saans  De  Rahi  Hai Sada
Ab Isse Barhkar Aur Kya Paighaam Dun.

Kaash Ki Bharde Tu Ek Baar Haami , To
Kar Sari Zindagi Tujhpey, Inqisam Dun.

Main Khud Muhtaz Hoon Tere Pyaar Ka
Phir Kaise Sanam Tujhe Koi Inaam Dun.

Tere Hi To Kaaran  Uttha  Hai  Sir Mera
Teri Zaat Ko Kaise,Main Koi Ilzam Dun.

Gar De De Tu Izajat To,Aey Dilbar Mere
Abhi Apney Rishtey Ko , Koi Naam Dun.


              ~Shihab~



Lo Dumbo :D kamal Dhamal apka sher
main bhi khoshish ki hai bachi se koi galti hui ho to gustaki maaf



Mohobbat ki aag mein hum jalne ko taiyar baithe the
Intezar Main Najane Kitni Sadiyan guzar baithe the

wo na aye lekin unki yaadon ne saath na choda Khabi
hum unki Ass mein khud ko Bhi bhulaye baithe the

Mohobbat Zalim hai yeh log to Kehte The Hume Aksar
Phir Bhi Is Khel Mein Hum Sab Kuch Lutaye Baithe The

Saans Bhi Lete To Lete The Sirf Unke Hi Naam Ki
Dil or Dadkan Unke Kadmo.n Main Bichaye Baithe the

Mujhe Azmana Chaha Usne Zakhm Lakhon De De Kar
Hum Uske Liye Har Marham Ko Thukraye Baithe The

Jaan Bas Sachi Mohobbat Wale Hi Diya Karte Hain
Aaj Unki Yeh Shart Main Apni Jaan Gawa Baithe The


-PARI-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #55 on: December 31, 2010, 09:43:16 PM »
Waah Kya Khoob Saji Hai Mehfil Ustaadon Ki, Pardhne mein Kaafi Achcha Laga,.

good Going
Majid Bhai, and Pari ji
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #56 on: December 31, 2010, 10:19:49 PM »
Bohot Khoob Ustaad Majid :D Azeem jI Humne Sab Yeh Majid se Sikha Hai :D
ustaad to yeh hain Humare hum to bas chote se student hain Winking

chaliye Ek khoshish Pesh Karahi hu Umeed Hai pasand ayegi


Mohobbat Ko Istarah Azmaya Nahi Jaata
Sharton Pe Ise Koi Nibhaya Nahi Jaata

Kadam Jiske Uthte Hain Chor Jaane ko
Laut Ane Ko Inhe Phir Bulaya Nahi Jaata

Khud Ba Khud Kadar Hojati Hai Yaar Ki
Isse Sikhaya aur Jaataya Nahi Jaata

Tufaan Hi to Pechaan Dete Hai Samundar Ko
Inke Bina Samundar Ko Paaya Nahi Jaata

Ikrar E Mohobbat Addaa Hai Jalwa Hai
Inhe Lafzon Ka Mohtaz Banaya Nahi Jaata

Wo Na Samje To Kya Hua Gila Kyun Karein
Is Bandgi Ko Dil se Mitaya Nahi Jaata

Jinhe Adat ho Bas Kaanton Se Guzarne Ki
Unki Rahon Ko Phoolo Se Sajaya Nahi Jaata

Ek Arse Ke Baad Jinki Ankhein Soyin Hon
Unhe Phir Taa.Umr Uthaaya Nahi Jaata
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #57 on: December 31, 2010, 10:25:18 PM »
Bohot Khoob Ustaad Majid :D Azeem jI Humne Sab Yeh Majid se Sikha Hai :D
ustaad to yeh hain Humare hum to bas chote se student hain Winking

chaliye Ek khoshish Pesh Karahi hu Umeed Hai pasand ayegi


Mohobbat Ko Istarah Azmaya Nahi Jaata
Sharton Pe Ise Koi Nibhaya Nahi Jaata

Kadam Jiske Uthte Hain Chor Jaane ko
Laut Ane Ko Inhe Phir Bulaya Nahi Jaata

Khud Ba Khud Kadar Hojati Hai Yaar Ki
Isse Sikhaya aur Jaataya Nahi Jaata

Tufaan Hi to Pechaan Dete Hai Samundar Ko
Inke Bina Samundar Ko Paaya Nahi Jaata

Ikrar E Mohobbat Addaa Hai Jalwa Hai
Inhe Lafzon Ka Mohtaz Banaya Nahi Jaata

Wo Na Samje To Kya Hua Gila Kyun Karein
Is Bandgi Ko Dil se Mitaya Nahi Jaata

Jinhe Adat ho Bas Kaanton Se Guzarne Ki
Unki Rahon Ko Phoolo Se Sajaya Nahi Jaata

Ek Arse Ke Baad Jinki Ankhein Soyin Hon
Unhe Phir Taa.Umr Uthaaya Nahi Jaata


Mashallah Bohat Achcha Kalaam Hai, Har Har Dard ka Libaaz Pehne hue hain, Bohat khoob,.

Duaa Karta Hoon ke Rabb Aap Ki Kalam ko Aur Roshni Se Bharde,.
Aameen,.
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #58 on: January 10, 2011, 07:38:38 AM »
Aah Haa Kya Baat Hai ,Na Koi Kam Na Jyaada
Humari Nazar Mein To Aap Dono Hi Ustad Ho.
Bohat Hi Khoobsurat Likha Hai Aap Dono Ne
Kamaal Ki Taalmel Hai Aap ono Ke Bich
Bohat Bohat Khoob Maju N Pari Sis.

allah pak aap dono ko khush rakhe
Logged
-Pari-
Guest
«Reply #59 on: January 12, 2011, 01:35:41 PM »
Bohot Khoob Prince Of Duffer Pur tongue3
Chalo Bohot Din bad sahi par pesh e kidmat hai ek khoshish
gaur farmaiyega Winking


Dabaa Hua Tha Jo Raaz Wo Isne Bata Dala..
Kambhakt Ankhon Se Gir Ke Har Dard Baha Dala

Meri Muskan Par Jan-Nisar Karne Wale The..
Waqt-e-Kamal Hai Usne Hi Mujhe rula Dala..

Pal Main Usne Hume Thukra Diya Najane Kaise..
Isi Baat Ne Uski Humein Aj bada Chaunka Daala..

Mohobat Par Ilzaam E Bewafai Lagane Wale..
Teri Is Bat Ne Mujhe Aaj Kasam se Maar Dala..

Har Armaan Mera Ab dil Mein Hai Chubne Laga..
Siskiyon Ne Meri Aaj Inka Jaanaza Hi Utha Dala..



-pari-
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:19:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer