anu_love91
Guest
|
«Reply #15 on: December 27, 2006, 12:42:59 PM » |
|
Halat k haathoon hum kaise majboor huye Bin haqiqat afsane apne mashur huye Chalake teer ek nihathey per............ Woh kamjarf aur bhi magrur huye...!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #16 on: December 27, 2006, 01:02:31 PM » |
|
Teri har baat ko hum raaz hi rakhte hain Gile kuch bhi kare lekindostoon pe naaj hi rakhte hain Gamo ke jehar ko khamoshi se pee jaye,beshak, Duniya ke liye hasne ka andaaz hi rakhte hain!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #17 on: December 27, 2006, 01:13:52 PM » |
|
Khamosh nighaon mein tujhko dhundhta hoon Wajood hai tera par khud ko dhundhta hoon Ishq ki hadh is intehaa par pahunchi.......... Ki Jare-Jare mein ab usko dhundhta hoon..!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #18 on: December 27, 2006, 01:33:10 PM » |
|
Raah ko paane mein waqt lagta hai Chah nibhane mein waqt lagta hai Dil toh har koi laga leta hai..... Ishq parvaan chadhane mein waqt lagta hai!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #19 on: December 27, 2006, 01:36:42 PM » |
|
Dil se unko bhulane mein waqt lagta hai Jage armaan sulane mein waqt lagta hai Hadse toh chot deker gujar jate hain... Zakhmo ko geet banane mein waqt lagta hai!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #20 on: December 27, 2006, 01:48:23 PM » |
|
Teri har nigaah jo mere naam ho jati hai Har shyam behterein shaam ho jati hai Karta kaun tamanna fir umr bhar jeene ki Bas ghadi ,do ghadi mein hi jindigi tamam ho jati!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #21 on: December 27, 2006, 01:57:03 PM » |
|
Sache pyar ki mithas hi reh jati hai Warna zindigi udas hi reh jati hai... Par milti kahan hai yeh niyamtein sabko Tamannayein be-libaas hi reh jati hai...!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #22 on: December 27, 2006, 02:04:26 PM » |
|
Aai jazba-e-dil gar main chahu har cheez mukabil aa jaye.......do kadam manzil ki taraf chalu aur manzil samne aa jaye .....!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #23 on: December 27, 2006, 02:13:59 PM » |
|
Chaha tha humne jise usey bhulaya na gaya .. Zakham dil ka logon se chhupya na gaya Itna pyaar karte hain hum unse ki Bewafai ka ilzam bhi unper lagaya na gaya....!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #24 on: December 27, 2006, 02:19:55 PM » |
|
Bankar aansu teri aankh mein chalkna chahta hoon Bankar jajba tere dil mein machalna chahta hoon Chahta hoon teri chahat ko is kadar chahu......... Khud na rahu, bas teri khudi mein dhalna chahta hoon...!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #25 on: December 27, 2006, 02:23:22 PM » |
|
Tere aane se jindigi mein nikhaar aaya hai Dil jhom utha ek khumaar aaya hai ......... Kami toh kuch na thi jindigi mein meri Tadpte Jism ko,Ruh ko,karar aaya hai..!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #26 on: December 27, 2006, 02:26:24 PM » |
|
Tumne sharatoon pe mujh se pyar kiya Umr fir bhi tera aitbaar kiya................ Fitrat se teri main wakif tha main......... Wafa ka fir bhi tamam umr intejaar kiya!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #27 on: December 27, 2006, 02:30:24 PM » |
|
Mohabbat toh meri bhi rang layegi hi Teri yeh chahat sang banayegi hi Jee bhar k ker lena kitni hi bewafayi tum Wafa meri yeh ulfat ka dhang sikhayegi hi!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #28 on: December 27, 2006, 02:33:14 PM » |
|
Na badh ker maanga maine,na tune hi jaam diya Samjhi na khamoshi meri,ulta iljaam diya....... Maine toh adab-e-mehfil ko nibhaya tha... Sharafat ko tumne toh kamjori ka naam diya!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anu_love91
Guest
|
|
«Reply #29 on: December 27, 2006, 02:39:38 PM » |
|
Main gairon ke saath bhi chal leta hoon Pair tute bhi ho,himmat se sambhal leta hoon Pyar se koi bhi lut le mujhko beshak........... Bewafaa ho garr koi,toh main bhi chal leta hoon!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|