Bewafa sanam.....

by anu_love91 on December 24, 2006, 12:31:19 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 22
Print
Author  (Read 12376 times)
anu_love91
Guest
«Reply #180 on: January 12, 2007, 10:10:33 AM »
Gam kii baarish ne bhii tere naqsh ko dhoyaa nahiin
tuune mujh ko kho diyaa main ne tujhe khoyaa nahiin!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
~~~Bewafa Sanam Laut Kar Ayi Hai~~~ by Sammual in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BEWAFA SANAM by reyan KHAN in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa Sanam by Ruhaani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
anu_love91
Guest
«Reply #181 on: January 12, 2007, 10:24:27 AM »
Tumhe yaad karne ki fursat nahi hai,
Bhula doon tumhe mujhme himmat nahi hai,
Kaii din se jaane kyon lagta hai mujhko,
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai.

Meri aankhon me pehle jo aate they aansoo,
Tumhe bhi sang apne rulate they aansoo,
Ab tere gham me harwaqt behte hain aansoo,
Teri nazron me ab inki qeemat nahi hai.
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai........

Laakh masroofiyat me bhi tum khat they likhtey,
Har ek harf me bas mujhe tum they dikhtey,
Ab na ubhre koii aks naa khat koii aaye,
Sanam naam iska to chahat nahi hai.
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai........

Tera pyar mujhpar tha ehsaan jana,
Mujhko bhulana hai aasan mana,
Naa karoonga pareshan bas itna tu keh de,
Tumhe ab hamari zaroorat nahi hai.
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai.......

Karo yaad ek din jab naa hoti thi baatein,
Naa dhalte they din naahi katti thi raatein,
Har safar ab hai tanha khamoshi hai qismat,
Teri lafzon se koii shikayat nahi hai.
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai.........

Tere qaabil nahi tha maine ye mana,
Raas aaya na tujhko mera dil lagana,
Bhed tune jo khola raaz mainey ye jana,
Khwab hoon main meri haqeeqat nahi hai,
Tumhe mujhse ab vo muhabbat nahi hai.......
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #182 on: January 12, 2007, 10:52:07 AM »
Koi Achi Si Saza Do Mujh Ko
Chalo Aisa Karo Tum b Bhula Do Mujh Ko
Tum Se Bichroon To Maut Aa Jaye
Dil Ki Gehrayioon Se Dua Do Mujh Ko...!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #183 on: January 12, 2007, 01:19:51 PM »
bhegghi hoi aankhoon ka manzar na milay ga
ghar choor kar mat jao ghar na milay ga
phir yaad buhat aaye gii zulfoon ki ghani sham
jab dhoop main saya koi sar par na milay ga
aansoo ko kabhi oos ka qatra na samajhna
aisa tumhain chahat ka samandar na milay ga
is khuwab kay mahool main be khwab hain aankhen
jab neend buhat aaye gii bistar na milay ga
yeh soch lo ab aakhri saya hay mohabbat
yahan say utho gay to koi or dar na milay ga
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #184 on: January 12, 2007, 02:49:54 PM »
MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA
MERI TOOFAAN ME KASHTI, KINARA KON DEGA

YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI
ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI

HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA

MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI TANHAAYAN HAIN
MERI TAQDEER SE MUJKO MILI RUSWAYIAN HAIN

MERI ANKHON KO KHUSHION KA NAZARA KAUN DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #185 on: January 12, 2007, 02:53:51 PM »
Hum ne pyaar main paaya to kyaa paya

Kabhi khud ro diye kabhi Tum ko Rulaya

Halat-e-ghum main beh gaya jho aansoon

Who Zindagi main phir kabhi na behne paya

Saza mujhe mili aur jaza unhain bi

Aisa bhi kya insaaf me hai sir jhukaya

Himmat nahee thi us main Saath mere dene ki

Ab tak na jaane vo kaise chal paya
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #186 on: January 12, 2007, 02:56:48 PM »
Kisi ajnabi ko mera likha suna raha tha woh
Bikhre hue khawabon ke Purzey udha raha tha woh

Umr bhar pista raha who rishtoon ki chaki mein
Baaqi rahe rishtoon se daaman churra raha tha woh

Apni zidd to woh puri na kar saka
Ruthey huway bachoon ko mana raha tha woh

Sehra me khile phool ko bachane ke liye
Apne ashkoon se uski pyaas mita raha tha woh

Uski yaadoon ko kuch is tarah bhula raha tha
Apne haathoon apna likha mita raha tha woh

Sirf kirdaar hi to badle they usne
Apni hi kahani suna raha tha woh !!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #187 on: January 12, 2007, 02:58:42 PM »
Hum apni deewangi se jaane jaate hain
Wo apni berukhi se pehchaane jaate hain

Roz miltey hai lekin, kuchh kehte sunte nahi
Mere saamne wo meri dhadkan badhaane aate hain

Shab bhar intzaar mein hum taare dekhaa karte hai
Sabera hone se pehle wo chand bujhane aate hain

Bas ek nazar ke liye hum din bhar taraste hain
Wo shaam ko gamalon ko paani pilaane aate hain

Mere is haalaat pe hansanaa nahi MUSAFIR too
Ishq main sabke saame aise zamaane aate hain
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #188 on: January 12, 2007, 03:23:32 PM »
Mere dil mein tha thikana unka;
Do kadam bhi unse Aaya na gaya;
Maine pucha ke kyon toda wada mera?
wo hass kar bole Nibhaya na gaya.
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #189 on: January 12, 2007, 03:25:22 PM »
Najane usper itna yakin kyun hai,
uska khayal bhi itna haseen kyun hai,
suna hai pyar ka dard mitha hota hai,
To ankh se nikla aansu namkeen kyu hai. .
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #190 on: January 12, 2007, 03:26:35 PM »
Suu e maikada na jate to kuch aur baat hoti
Wo nigaah se pilaate to kuch aur baat hoti
Ye baja kali ke khilne se mehka hai gulshan
Magar aap muskurate to kuch aur baat hoti
Ye khule khule gesu inhe lakh tum sanvaro
Mere hath se sanvarte to kuch aur baat hoti
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #191 on: January 12, 2007, 03:27:43 PM »
Zindagi me khushiya tamam aaye..
khilte baharo par apka naam aaye..
koi puchhe jab tumse dosti ki paribhasha..
aapke hotho pe siraf mera naam aaye.
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #192 on: January 12, 2007, 03:28:38 PM »
Hoti Nahin Muhobbat soorat se;
Muhobbat to meri jaan, dil se hoti hai;
Soorat to unki khud hi pyaari lagti hai;
kadar jinki dil may hoti hai.
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #193 on: January 12, 2007, 03:29:42 PM »
Laash ko arthi se pyar tha,
patjhad ko bahar se pyar tha,
humne bhi kisi se pyar kiya tha magar,
hamare us sohne yaar ko kisi aur ka intezar tha.
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #194 on: January 12, 2007, 03:30:45 PM »
Jane se Pehle kusur taw bataya Hota;
itnaHi pyarTha to hum Par haq Jataya hota,
Hum to Fir palat k ruk Jate;
Tumne hath faila kar wapis bulaya toh hota
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:26:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer