Bewafa sanam.....

by anu_love91 on December 24, 2006, 12:31:19 PM
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22
Print
Author  (Read 12618 times)
anu_love91
Guest
«Reply #285 on: January 29, 2007, 01:12:31 PM »
Jita hoon shayad
abhi maut aati nai
shyad ji ji kar marna yeah dastoor hai
par mujhe toh sirf teri yaad mein ek ek pal ji kar marna manzoor
hai!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aye mere bewafa sanam ek baar bata de by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
~~~Bewafa Sanam Laut Kar Ayi Hai~~~ by Sammual in Shayeri for Dard -e- Bewafai
BEWAFA SANAM by reyan KHAN in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafa Sanam by Ruhaani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
anu_love91
Guest
«Reply #286 on: February 03, 2007, 11:43:46 AM »
Janaza mera uth raha tha
fir bhi taklif thi unko aaney me
bewafa ghar mey beithe puch rahi thi
aur kitni der hai dafnane mey... sad5...!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #287 on: February 03, 2007, 01:28:52 PM »
Mitana Bhi Agar Chahe Mita Na Payega Hargiz

Main Aisa Naksh Uski Anjuman Mein Chood Aaya Hoon

Bichadte Waqt Mera Jism Mere Saath Tha Lekin

Main Apni Rooh Ko Uske Badan Main Chod Aaya Hoon....!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #288 on: February 03, 2007, 01:34:59 PM »
maut ke baad yaad aa raha hai koi,
meri kabr se mitti utha raha hai koi,
eh khuda do pal ki zindagi aur dede,
meri kabr se udaas ja raha hai koi... sad5 ....!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #289 on: February 03, 2007, 01:38:09 PM »
Sabhi nagme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaye nahi jaate.
Kuch paas rehkar bhi yaad nahi aate,
Kuch door rehkar bhi bulaye nahi jaate....!!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #290 on: February 03, 2007, 01:41:19 PM »
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
   
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
   
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
   
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
   
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
   
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
   
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
   
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
   
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin  Kam Milenge,
   
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
   
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
   
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge....!!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #291 on: February 12, 2007, 04:22:32 PM »
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain~~!!!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #292 on: February 12, 2007, 04:23:41 PM »
kuch lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #293 on: February 12, 2007, 04:24:36 PM »
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di
jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye.........!!!!!!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #294 on: February 12, 2007, 04:28:03 PM »
nice collection Anu_Love ji!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #295 on: February 12, 2007, 04:40:39 PM »
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
          duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
         
         lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
         kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.


dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
        jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
       dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #296 on: February 12, 2007, 04:43:30 PM »
Khush numa zindagi mai na jaane kab raat aa gai
Chal rahe the hum, na jaane kyun raah unse takra  gai

Unki manjil ko apni kyun apni manjil samjha gai
Pahuncha kar unhe manjil per, ajj apna her rasta bhoola gai!!!
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #297 on: February 13, 2007, 01:38:25 PM »
Nice Pooja ji kya likhti hain aap ....!!!!!!!!Awsome
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #298 on: February 20, 2007, 01:47:51 PM »

Tohmatein laga ke rat din yun na katl-e-aam kijiye,
Pehle ishq ki wafaon ka kuch to ahteram kijiye !

Humko aajma rahe hai to aap ek kam kijiye,
Apne naam Kijiye khusi gum hamare nam kijiye !

Chaliye aap bawafa sahi chaliye meri hi khata sahi,
Khatam kijiye yeh dastan kissa yeh tamam kijiye !

Hai agar aziz gairtein paida kijiyega himmatein,
Ab to aye sikayatein sitam yun na subah-o-sham kijiye !

Dosti hamare dam se hai Ishq ki hum hi misaal hain,
Mere zakhm ko na chediye thoda inteezar kijiye !

Aap ko gurur-e-husn hai husna ki ada pe ham fida,
Ab to yakeen kijiye mera ab na imtehaa lijiye !!

Hath zakhmi kar diya mera Dil to aap tod hi chuke,
Sar ki bat chodiye huzur "Kashmeer" ka na nam lijiye!

Logged
anu_love91
Guest
«Reply #299 on: February 20, 2007, 02:04:53 PM »
Hum apna se ziyda logo sai piyaar karte hai
phir kyon wohi log humare piyar ko thukra jate hai
jinhe hum apna dil mein rakhna chahte hai
wohi kyon auro ki khatir humhra dil tod jate hai
jab matlab hota hai
phir hi kyon "tariq" ko saab yaad kya karte hai
jab apna waqt nikal jata hai
wohi log kyon beegane ban jate hai
hum apne se ziyda is duniya kai logo per barosa karte hai
phir kyon duniya wale mera barosa tod jate hai
"Tariq" to Ulfat main apna sab kuch lotta deta hai
Par kyon log "tariq" ki ulfat ko samjh nehi pate hai !!!!!  sad5
Logged
Pages: 1 ... 16 17 18 19 [20] 21 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:59:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer