Beygunaahoun kaa khoon, fir bahaa hai Bharat mein!

by abdbundeli on September 16, 2008, 11:41:54 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2081 times)
abdbundeli
Guest
Beygunaahoun kaa khoon, fir bahaa hai Bharat mein!
Fir sey, insaaniyat cheekhee hai, marey hain bachchey!
Dahshat-o-qatl rawaan hain fazaa-e-duniyaa mein!
Dushman-e-amn yeh, bandey naheen Rub key sachchey!!

                                 - abd bundeli
Logged
jassworld
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2008, 12:31:01 PM »
Abdbundeli khata ke liye maufi chahta hoon par deshat ka shikar hone wale "Beygaane" nahin apne hi thei..!!

Apno ko beygaano mein na khada karo ghalib,
Ik to pehle ki waqt nein unpar gaaz gira rakhi hai,
Kuch haunsle ke lafz suna ghalib...!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2008, 12:36:15 PM »
Jass

Shayad aap ne theek se nahi padha Abd ji ne kya likha hai !

Aap ne shayad Beygunaahoun ko Beygaane padha hai !
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2008, 12:36:55 PM »
Beygunaahoun kaa khoon, fir bahaa hai Bharat mein!
Fir sey, insaaniyat cheekhee hai, marey hain bachchey!
Dahshat-o-qatl rawaan hain fazaa-e-duniyaa mein!
Dushman-e-amn yeh, bandey naheen Rub key sachchey!!

                                 - abd bundeli

Bahut khoob... Aur bahut sach!!! Applause

Jaane inn aman ke dushmano ke seene mein dil bhi hota hai ya nahin...  sad7


Abdbundeli khata ke liye maufi chahta hoon par deshat ka shikar hone wale "Beygaane" nahin apne hi thei..!!

Apno ko beygaano mein na khada karo ghalib,
Ik to pehle ki waqt nein unpar gaaz gira rakhi hai,
Kuch haunsle ke lafz suna ghalib...!!

Jass ji, aapne shayad "begunaahon" ko "begaano" padh liya.. Usual Smile
Waise, achha likha hai aapne bhi...  Thumbs UP
Logged
jassworld
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2008, 12:41:51 PM »
Waise khata bahut badi ho gayi mujhse par fir bhi mujhe pata hai aapke dil maufi ke liye jagah jaroor hogi...

Maine sahi mein padne mein galti kar di..!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2008, 12:48:14 PM »
Waise khata bahut badi ho gayi mujhse par fir bhi mujhe pata hai aapke dil maufi ke liye jagah jaroor hogi...

Maine sahi mein padne mein galti kar di..!!

Lolzzz... Hota hai, hota hai...  Usual Smile

Yahan maufi milne ka ek hi tareeka hai, Koi achha sa sheir likhiye.. Giggle

Logged
jassworld
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2008, 12:56:14 PM »
Lolzzz... Hota hai, hota hai...  Usual Smile

Yahan maufi milne ka ek hi tareeka hai, Koi achha sa sheir likhiye.. Giggle


Mera yeh sher un bhai behno ke liye jo is dukhad ghtna ke shikar hue..!!

Aek hi hai aasmaan...
Aek hi hai zameen...
Bananein wale nein to aek sa hi banaya tha khoon ka rang
Na jaane kyun fir bhi sabke dilon hai muhabbat ki kamiin..!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2008, 01:02:14 PM »
jassworld ji,
Koyee beygaanah naheen hai yahaan, wahaan yaa kaheen!
Mein to insaanee khaandaan kaa hoon ik waarish!
Koyee shikwaa naheen hai; mein bhi chook jaataa hoon!
Aap kaa kahnaa bahut theek hai, meyrey bhaayee!
                            - abd bundeli
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: September 16, 2008, 01:05:34 PM »
Mera yeh sher un bhai behno ke liye jo is dukhad ghtna ke shikar hue..!!

Aek hi hai aasmaan...
Aek hi hai zameen...
Bananein wale nein to aek sa hi banaya tha khoon ka rang
Na jaane kyun fir bhi sabke dilon hai muhabbat ki kamiin..!!

Waah... Applause
Really very nice.. Usual Smile

jassworld ji,
Koyee beygaanah naheen hai yahaan, wahaan yaa kaheen!
Mein to insaanee khaandaan kaa hoon ik waarish!
Koyee shikwaa naheen hai; mein bhi chook jaataa hoon!
Aap kaa kahnaa bahut theek hai, meyrey bhaayee!
                            - abd bundeli

Sahi kaha aapne Abd ji..



Aasmaan bhi wohi hai, Aur zameen bhi wohi,
Phir Muhabbat ki unke dil mein kami kyon rahi..
Sholon mein yun jhonk diya khud apno ko hi,
Insaan ho ke bhi unki aankh mein nami kyon nahi... ??
Logged
jassworld
Guest
«Reply #9 on: September 16, 2008, 01:13:42 PM »
kya baat kahi hai aapne..!!

Na jaane kaun si mitti ke bane hai deshtgardi,
kyun inke dilon mein sharafat nahin..!!

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: September 16, 2008, 01:18:50 PM »
very nice Abd ji

Nice lines Jass...and Mahiya..



Wahi hawa hai wahi raaste
Par aaj kyun hone lage
Logon ke aankhon mein shole
Badal gaye hai duniya wale
Badal gaye hai insaniyat
Aaj bhi khoon bhare hai charon ore
Khoon mein bheeg rahe hai beheno ki choli sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: September 16, 2008, 02:44:32 PM »
Bahut khoobsurat likha hia sabne,

Ek hi khuda hia ek hi gharonda hai sabka,
sabke ghar mein bachhe sab ke ghar mein Waalid,
phir kyon nafraton ke shole bhadke har jagah,
khatam kab hogi jaane ye khatam karne ki khalish...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2008, 06:07:07 AM »

Abd babu....
Kya baat hai   !!!

aaj kal jo Hare-Laal Dikh Rahe ho
Ya Fir Kahoon Surkhiyon Mein Rahe ho
Kahin Kalum ki KARI (rang-o-sazi)
Kahin Kalum ki KALUM (hukumat/haq)
Jauhar Jo Dikha Rahe Ho
Watan Parasti va Amn-o-amaan
Allah K bandon Ko Padha Rahe ho
Dono Haath Mil K bhi Kar Na Paaye
Usi Taqdeer Ko Tehreer Kar Rahe Ho
"Abd" Ki Yeh Diwaangi
Bedaar Karegi Har Hasti ko
"RAZA-e-Khasta" ki Kalum
Bas Kassir Rahi Har Dum
Usi Wajaahat k Roshan Diye Jala Rahe ho...!!!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: September 17, 2008, 07:33:01 AM »
Muhammed sa'b,
Jab mein eik sarkaaree 'afsar' thaa, tab meyree 'table' par eik barhey kaanch key neechey kisee bahut barhey shaayar (Un sey muaafee chaahoongaa, ki, un kaa 'shubhnaam' ab mujhey yaad naheen hai.) kaa yeh sheir, barhey-barhey haroofoun mein eik motey kaagaj par, Hindi mein likhaa huaa rakhaa rahtaa thaa:
 "Har rahguzar pai sham'a jalaana hai meyraa kaam:
  Teibar hawaa key kyaa hain, mein yeh deykhtaa naheen!"
Pakkaa watan parast hoon. Watan parastee kee meyree shaayaree Hindi mein hai!
Aap key 'sunder' alfaazoun key liye shukriyaa adaa kartaa hoon! 
                                       - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: September 17, 2008, 07:52:14 AM »
angel4u ji,
Eik baar meiney likhaa thaa:
"HAM EIK THEY! HAM EIK HAIN! HAM EIK RAHEYNGEY!!"
Insaanoun ki shakl mein rawaan SHAITAAN ko pahichaanney mein deir to lagtee hai, par, khudaa ki rahmat sey, jeeteygaa insaan hee!
               -abd bundeli
                                       
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:48:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer