Very good one......... really wonderful.............
Ankhon ke Bhigne se yaadein jaate nahi,
Aur unhe yaad karne se bhi woh aate nahi.
samandar main utarta hun to ankhein bheg jati hain
teri ankhon ko parta hun to ankhein bheg jati hain
tumhara naam likne ki ijazat chin gae jab se
koi bhi lafz likta hun to ankhein bheg jati hain
teri yadon ki khushbo khrkiyon mein raqs karti hai
tere ghum main sulgta hun to ankhein bheg jati hain
main hans k jhail laita hun judai ki sabhi rasmen
gale jab us k lagta hun to ankhein bheg jati hain
na jane ho gaya hun is qadar hasas main kab se
kisi se bat karta hun to ankhein bheg jati hain
Vo sab guzre hue lamhat mujko yad aate hain
tumhare khat jo parta hun to ankhein bheg jati hain
mein sara din bohot masrof rehta hun magar junhi
qadam chokat par rakta hun to ankhein bheg jati hain
har ik muflis k mathe par alam ki dastanain hain
koi chehra bhi parta hun to ankhein bheg jati hain
bare logon k unche badnuma or sard mehlon ko
ghareb ankhon se takta hun to ankhein bheg jati hain
hazron musamon ki hukmrani hai mere dil par
WA I'main jab bhi hasta hun to ankhain bheg jati hain .. NM
wonderful Sanya............ Tushu...............
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai ...
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai
Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai
Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai
Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai
Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai
Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai..............nm