nishabd
Guest
|
Bhoolna Chahta Hoon,
Jab hota hoon tanha main, Din beete yaad aate hain, Kuch hansate hain, gudgudate hain, kuch rula jate han, Un beeti hui baton ko bhoolna chahta hoon.
Wo doston ke sath baithna, gappein ladana, Har samay hansna, majak karma, shartein karna; Wo karna hamesha ladkiyon ki baatein, patane ke plan banana, Jab hota hoon tanha main, sochta hoon ki kitna akela hoon ab main, Sochta hoon ki ye yaadein chahe khushi ki hon ya gham ki, Par ho jata hoon udaas muskurane ke baad bhi, Isliye un yaadon ko un dino ko bhoolna chahta hoon.
Un yaadon me shaamil hai pyar bhi apna, pehla pyar Jiski sirf ek jhalak ke liye subah-2 uth jate the Uske peeche-2 phir hum mandir tak bhi jate the Khade rahte the gali me uske aane ka intezar karke Bahane dhoondhte the ki kaise uske ghar ke samne se gujrein, Jab bhi ye yaadein aati hain, hanste hain apne aap par, Muskurata hoon apni un nasamjhi bhari harkaton par, Phir uthta hai dukh ka bawandar ke hum apni mohabbat ka izhar na kar paye, Jo koshishein use pane ke liye na ki, un koshishon ko bhoolna chahta hoon.
Ji rahe hain ab hum hothon par nakli muskurahat ke sath, Sabse milte hain khushi se par sochte hain ye hansi kitni khokhli hai, Mahsoos hota hai jo din humne bita diye unka koi tod nahi, Sochta hoon ki ab aise din kab wapas aayenge, Jab na fikar ho, na kamane ki chinta, na jimmedariyon ka bojh, Paison ki andhi daud me bhool gaya hoon ki jeena kya hota hai, Karta hai har insaan galti, main bhi ek insaan hoon, Aaj tak ki hain job hi bhoolein un bhoolon ko bhoolna chahta hoon.
Bhoolna chahta hoon
|