Bhula kyun nahin dete.............!!

by Talat on December 12, 2007, 12:03:11 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3745 times)
Talat
Guest
Kyun raah takte ho,
Naam mera parhte ho,
Jaante ho na khatm hoga
Par intezar karte ho...
Zindagi se wo panna hata kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete

Yaadon ke sheeshmahal,
Apne hath se tode hain,
Phir tukde woh dil ke
Daaman main samete hain
Naasur hain yaadain, mita kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete

Aasmaan bhi ye gehra,
Kahin chup ke roya tha,
Askhon main jab tumne,
Dil ko duboya tha,
Gunehgaar hoon, mujhko saza kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete

Ab wo roshni nahin,
Dhuaan sa uthtaa hai,
Chahat ki lau thi, ab wo
Chiragh kahan jalta hai
Maangta hai khoon-e-ashk, bujha kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete!!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: December 12, 2007, 12:05:08 PM »
Mindblowing Talat aapa.. Its realy superb...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: December 12, 2007, 12:25:25 PM »
Its tooooo good... Bahut hi achha likha hai Talat..
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: December 12, 2007, 01:52:32 PM »
Quote
Aasmaan bhi ye gehra,
Kahin chup ke roya tha,
Askhon main jab tumne,
Dil ko duboya tha,
Gunehgaar hoon, mujhko saza kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete

Ab wo roshni nahin,
Dhuaan sa uthtaa hai,
Chahat ki lau thi, ab wo
Chiragh kahan jalta hai
Maangta hai khoon-e-ashk, bujha kyun nahin dete
Kyun karte ho yaad, bhula kyun nahin dete!!

Wow Talat sis... superb...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: December 12, 2007, 06:18:04 PM »
Really nice talat touch my heart...
Logged
Bharat
Guest
«Reply #5 on: December 13, 2007, 02:57:01 AM »
Hello Talat,

Bohot hi achcha likha hai !!!
Logged
mask
Guest
«Reply #6 on: December 13, 2007, 04:25:42 AM »
socha ke kah dun bahut khoob, bahut khoob
  mere yaar ne likhi jo gazal-e-pyaar hai
yeh jo dard-bhari awaz hai
  kaise dun mubarak, jo rota mera yaar hai. 

tareef-e-yaar ho, sajda-e-pyaar ho
   dard-e-dil ka khuleam ezhaar ho
Na aaj khali ye jaam ho,
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho
 
HaiN Gam zamane main bahut, par gam-e-yaar na ho
 gila iss dard ka nahi, par yaad usse to kuch ho
Na bichada aaj kisi ka yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho

Jhakhm bhool bhi jayen, gar iss dil main ho
  Kya kijiye jab nasoor kambakht yeh dil hi ho
Hai zindagi khushnuma, jo wafa-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke  na tu udaas ho

pyas lage zami ho, dil ambar ka bhar aya ho
  tute patta, roothe daali, Udr chali bahar ho
 bahana kuch bhi ho aur deedar-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke na tu udaas ho.

tareef-e-yaar ho, sajda-e-pyaar ho
   dard-e-dil ka khuleam ezhaar ho
Na aaj khali ye jaam ho,
Kaise kahun ai mere yaar,  na tu udaas ho
 
«Reply #7 on: December 13, 2007, 04:31:55 AM »
I guess I goofed up!!
once again..

socha ke kah dun bahut khoob, bahut khoob
 mere yaar ne likhi jo gazal-e-pyaar hai
yeh jo dard-bhari awaz hai
 kaise dun mubarak, jo rota mera yaar hai.

tareef-e-yaar ho, sajda-e-pyaar ho
  dard-e-dil ka khuleam ezhaar ho
Na aaj khali ye jaam ho,
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho

HaiN Gam zamane main bahut, par gam-e-yaar na ho
 gila iss dard ka nahi, par yaad usse to kuch ho
Na bichada aaj kisi ka yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho

Jhakhm bhool bhi jayen, gar iss dil main ho
 Kya kijiye jab nasoor kambakht yeh dil hi ho
Hai zindagi khushnuma, jo wafa-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke  na tu udaas ho

pyas lage zami ho, dil ambar ka bhar aya ho
 tute patta, roothe daali, Udr chali bahar ho
 bahana kuch bhi ho aur deedar-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke na tu udaas ho.

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: December 13, 2007, 06:24:12 AM »
What a Good Reply Mask..   :o
Very Very Nice and Comforting   glasses2

Very Good Work...  Usual Smile
Logged
mask
Guest
«Reply #9 on: December 13, 2007, 07:39:21 AM »
shukria, shikha ji.

Logged
hashmat
Guest
«Reply #10 on: December 13, 2007, 10:58:53 AM »
bahut khoob
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2007, 04:11:49 PM »
Thanks a ton Divs, Shikha, Roja, Honeyrose and Bharat, Majid and Hashmat !! Thank you for reading this and appreciating Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: December 13, 2007, 04:12:25 PM »
I guess I goofed up!!
once again..

socha ke kah dun bahut khoob, bahut khoob
 mere yaar ne likhi jo gazal-e-pyaar hai
yeh jo dard-bhari awaz hai
 kaise dun mubarak, jo rota mera yaar hai.

tareef-e-yaar ho, sajda-e-pyaar ho
  dard-e-dil ka khuleam ezhaar ho
Na aaj khali ye jaam ho,
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho

HaiN Gam zamane main bahut, par gam-e-yaar na ho
 gila iss dard ka nahi, par yaad usse to kuch ho
Na bichada aaj kisi ka yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar, ke na tu udaas ho

Jhakhm bhool bhi jayen, gar iss dil main ho
 Kya kijiye jab nasoor kambakht yeh dil hi ho
Hai zindagi khushnuma, jo wafa-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke  na tu udaas ho

pyas lage zami ho, dil ambar ka bhar aya ho
 tute patta, roothe daali, Udr chali bahar ho
 bahana kuch bhi ho aur deedar-e-yaar ho
Kaise kahun ai mere yaar ke na tu udaas ho.

Mask...what shall I say...you have left me speechless !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: December 13, 2007, 04:12:53 PM »
Good Job Talat Ji And Mask Ji Lage Raho...

aa aa ke yaad mujhe tum tadpaya na karo
dil mein sulagte sholon ko bhadkaya na karo

chadne lagta hai khumar kaise tumko ham batyein
baaton baaton mein mujh ko tum pilaya na karo

ham to samajh baithe the dil apna ek pathar hai
hans hans ke teer nazaron se tum chalaya na karo

log is shehar ke dil churane mein maahir hai
apna samjh ke gairon ko gale tum lagaya na karo

din to guzar jata hai sirf aap ke khayal mein
raaton mein jaga ke mujh ko tum rulaya na karo

kaise kahen kitni mohabbat hai aapse...
ban ke shamma parwane ko jalaya na karo

aisa na ho shayar ban jaye kahin "majid"
itna bhi tum mujh ko yaad aaya na karo.

Thanks Majid ...aapne bhi bohot achcha likha hai...shukriya
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #14 on: December 13, 2007, 04:37:04 PM »
Talat, Mask, Majid

Behtareen likha hai aap sab ne !

Talat maine is thread ko kayi baar padha...is liye reply karne mein thodi der ho gayi Winking
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:42:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer