bhulaa nahi sakte....

by isha_verma7 on July 10, 2005, 10:00:05 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2242 times)
isha_verma7
Guest
Ansu umadkar aaye lekin roo nahi sakte
Aise daag dil main hai jise dhoo nahi sakte
Kaise kashmakash main hai meri zindigi
Tujhe pa nai sakte aur bhulaa nahi sakte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ro bhi nahi sakte by nishita in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
dawa de nahi sakte by bhartendu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Manjil pa nahi sakte by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Manjil pa nahi sakte by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Na tujhe chor sakte hain,tere ho bhi nahin sakte by hameed.rose in Ghazals
Yoindian Ghunda
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2005, 06:34:37 AM »
un ko bhulane ki baaa krti ho ,bhula skoo gi kia
pas aye ga jo woh tu ,durr reh sko  gi   kia
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2005, 02:20:41 PM »
Nice Ones Isha & Yoindian Ghunda......
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2005, 02:45:52 PM »
aansu ja umarkar aate hain to rona hi parta hai,
dil me jab lag jaye dag to use dhona hi parta hai.
zindagi jab fasi ho kasmakas me,
aur kisi ko pa na saken,to use bhulana hi parta hai.
Logged
pandit
Guest
«Reply #4 on: July 11, 2005, 02:57:06 PM »
gud one ghayal........................
kabhi tha darr maut se aur pyaar tha zindagi se,
ab mohabbat hai maut se nafrat hai zindagi se.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: July 11, 2005, 03:29:54 PM »
Good one isha..............

Unse milan mumkin nahi,judai mein mar jayenge,
Socha hai toh uski yad mein hi jeewan bitayenge,
Unko pana nahi mumkin,unhe khone nahi denge,
Uski har bat ko bade naz se dil mein basayenge...
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: July 11, 2005, 03:31:10 PM »
nice isha............................................. .....................
Logged
pandit
Guest
«Reply #7 on: July 11, 2005, 03:44:45 PM »
Quote from: "ghayal_shayar"
aansu ja umarkar aate hain to rona hi parta hai,
dil me jab lag jaye dag to use dhona hi parta hai.
zindagi jab fasi ho kasmakas me,
aur kisi ko pa na saken,to use bhulana hi parta hai.


bahut sahi ghayal ji............................................... ................................ :lol:
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: July 11, 2005, 03:48:03 PM »
guddddd ishu...baki sab ne bhi acha likha!!

mitane ke liye nahin tera nam dil pe likha tha,
yeh pagla man to sirf tere liye hi jeeta tha,
dukh is baat ka hai ke aaj humne jana ke,
ke pyar ke bazar me mera bhi dil kabhi bikha tha!
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: July 11, 2005, 03:54:40 PM »
bahut accha meena ji............................................... ........
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #10 on: July 12, 2005, 06:04:46 AM »
Thanks u all!!!!!!

kya khoob likha hai sab na......very nice reply ghayal....

and Meena ji very GOOD as usual and these lines just touch heart......"dukh is baat ka hai ke aaj humne jana ke, ke pyar ke bazar me mera bhi dil kabhi bikha tha!"
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: July 12, 2005, 06:23:02 AM »
Har dard hum sehte rahe jiske liye
aaj ho gaya vo bhi harjai hai
kaise bhulun main aaj usko
ki maine tuh ushe na bhul pane ki kasam khai hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: July 12, 2005, 06:31:52 AM »
Sandhaya ji,

Dard ka iss dil se bhi barson ka nata hai,
Ye bin bulaye mehman sa chala aata hai,
Rehta hai dil mein aise ki ghar ho iska apna,
Lakh bhejna chahu phir bhi nahi ye jata hai...
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: July 12, 2005, 06:42:32 AM »
Creator ji gur farmaiye............


Ye dard ka hi tuh saath hai jo khushi ko bhadata hai
judai ke baad hi tuh milne ka asali maza aat hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #14 on: July 12, 2005, 06:44:47 AM »
Wah wah...........sahi kaha....

Milne ka maja aaye jab milan ho waqt par,
Waqt nikal gaya toh phir jajjba kho jata hai......;-)
what do u say??
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:06:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer