Bikhri hui zindagi..!

by nishita on December 30, 2004, 12:25:13 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3395 times)
Nino
Guest
«Reply #15 on: December 31, 2004, 06:45:07 AM »
Quote from: "nishita"
ek baar to jhaanka hota doli ke andar
ke karliya hai maine bhi pura apne zindagi ka safar
tere saath saath meri bhi manzil khatam hogayi
batane na diya tune bas keh diya tu bewafa hogayi..



Very nice Nishita


Aap ke liye

Takta to takta main kis nazer se, tu ja chuki thi door meri daghar se
ab to chal rah hoon us rah pe mager koi shiqwa nahi is safer se
Teri manziloon ko khuda bacha ke rakhe buri nazer se
Main kaun hoon tumhe bewaafa kehne wala, Bas itna hi gila hai apni Mohabat se
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"TOOT TO GAYI PAR BIKHRI NA ZINDAGI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
rooh bikhri hai bahut by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
bikhri laasho ka(CSET) by MANOJ6568 in Shairi for Manzar -e- Kudrat
YUUN BIKHRI ZINDAGI KI BIKHARTI CHALI GAYEE ........... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3 4 »
nishita
Guest
«Reply #16 on: December 31, 2004, 10:04:10 AM »
thanks justhate love and too gud nino Usual Smile
Logged
nishita
Guest
«Reply #17 on: December 31, 2004, 10:04:46 AM »
Hum tanhaiyo mein aksar unhe pukarte hai
Hum chup chupke aksar unhe neharte hai

Wo jo humein ajnabee se bhule baithe hai
Aaj bhi unhe apni yaadon mein sajaye rehte hai

Dur jane se duriyan gar badhti
To kyon ye bebas dil yu machalta milne ko

Kyon dundta haath na milne wale andhero mein
Kyon silta na bharne wale zakhmo ko

Tum aao na aao.....

In ankho ko intezaar tumhara kal bhi rahega

Tum,

Hum tanhaiyo mein aksar jinhe pukarte hai
Hum chup chupke aksar jinhe niharte hai.

(NM)
Logged
Nino
Guest
«Reply #18 on: December 31, 2004, 01:31:14 PM »
shukria nishita
Logged
nishita
Guest
«Reply #19 on: January 02, 2005, 02:04:13 PM »
Teri ruswai ke daar se
chawkhat se laut aee hum
Tujhe nazar aya nahi
Tere darwaze pe waffa chur aye hum

Tujko Dekha nahi tere
Naam pe umre guzari hai
Laugu ki Ungliya na uthne di
To gustakh nazre humari hai

Teri badnaami mein mera naam ho
Mujko Yeh manzoor nahi
Dil Tere sath hi rahe gha
Tu mujhse door sahi...

nm
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #20 on: January 02, 2005, 04:35:34 PM »
excellent work nishita.........nino............

Mere husn o Jamaal may tere chehre ka noor hai
Meri har ada may be misaal tera hi zahoor hai

Yeh ishqh ka safar hai manzil ki talaash may
Gar Aghaaz tu hi tu, to anjaam bhi zaroor hai

Ab agahi kay aur na jane kitne dar khulenge
Khud say juda ho kar maine paaya shaoor hai

Teri yaad may bade gham kay maze hain loote
Mohabbat ka yeh tohfa sab say mashoor hai

Ek tere tabassum may pinhaan hai khudaai
Khadmon may jhuk raha dil yeh huzoor hai

Rishte saare ab lagte hain kyoon paraaaye
Raha koi nahi shanasa ye kis ka khusoor hai

Yeh veeraniyon may kaun kaliyaan khila gaya hai
Baharon ney un say mera pata poocha zaroor hai

Tujh saa na koi dekha , tujh saa na koi paaya
Chaand ab paas hai tere , zamane say door hai...(nm)
Logged
nishita
Guest
«Reply #21 on: January 02, 2005, 07:26:44 PM »
thx waheed Usual Smile and wow gud one

Teraa Khayaal dil se miTaayaa nahiiN abhii
bedard maiN ne tujh ko bhulaayaa nahiiN abhii..

Kal tuune muskuraa ke jalaayaa thaa Khudd jisse
dil se woh charaaG bujhaayaa nahiiN abhii..

Gardan ko aaj bhii tere baahooN kii yaad hai
chaukhaT se terii sarr ko uThaayaa nahiiN abhii..

Behosh ho ke jald tujhe hosh aa gaayaa
"main" bad-naseeb hosh meiN aaii nahiiN abhii..!!

(nm)
Logged
tanz
Guest
«Reply #22 on: January 09, 2005, 08:02:46 AM »
wow very nice nishita.. i love ur shayari's Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:32:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer