Bikhrii huii Khwaish (Shikha)

by Shikha12 on August 15, 2006, 08:55:12 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Author  (Read 9743 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #45 on: August 22, 2006, 09:38:31 AM »
Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
 
Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna

Ques.....
Logged
natural
Guest
«Reply #46 on: August 22, 2006, 10:59:40 AM »
Quote from: "Shikha12"

Kyon dhoondhtey ho ab humko nazaaron mey,
Hum kho chukey hai ab in anginat sitaron mey....

Bahut roye hum teri muhabbat ki aas mey,
Lo chaley aaye hum phir tuptey anngaron mey....

Ab naam mera le kar rona naa kabhie tum,
Duayen meri tujh ko rakhegi sada bahaaron mey....

Tumsey humko koi bhi shikwa nahin hai ab,
Zindagi kat gayi tamaam meri Intezaaron Izhaaron mey....
[/b]

Wow.... bahut achha likha hai shikha....
I liked especially these lines....

Ab naam mera le kar rona naa kabhie tum,
Duayen meri tujh ko rakhegi sada bahaaron mey....

Tumsey humko koi bhi shikwa nahin hai ab,
Zindagi kat gayi tamaam meri Intezaaron Izhaaron mey....

Logged
natural
Guest
«Reply #47 on: August 22, 2006, 11:13:45 AM »
Quote from: "Shikha12"

Ab koi khwaish nahin hai meri Bikhrii hui sanson ki,
Khatam honey ko hai kahani zindagi ke sath sath…

Is Aakhiri padav ko hum tey kar lengey hastey hastey,
Yeh muskurahat mil jayegi meri dardgi ke sath sath…

Tum sey mulakaat bhi ho jaaye ab to kya karey,
Ponnch li humney har khushi aansuon ke sath sath...

Neend mujhey naa aaye aaj ki raat to gum nahin,
Band ho rahi hai palken, dhadkano ke sath sath....
[/b]

Tooooooooo Goooooooood....
Quote from: "Shikha12"
Neend mujhey naa aaye aaj ki raat to gum nahin,
Band ho rahi hai palken, dhadkano ke sath sath....
Logged
natural
Guest
«Reply #48 on: August 22, 2006, 11:20:28 AM »
Quote from: "ranjana"
shukriya pooja ...bahut khoob  ...

ek khawahish bas dil mein har dam palti hai
aaj dil ki baat yahan mere lafazo mein dhalti hai
nikale jab dam mera toh mooh mein naam khuda ka
per aankho mein chehera bas tera ho ...............

zindagi toh de na saki yeh toafa hamko
dekhe ab mout hamaari dua kaise kabool karti hai!!!

Wow.... Ranju ji bahut khoob likha hai.... Usual Smile
Logged
natural
Guest
«Reply #49 on: August 22, 2006, 11:23:19 AM »
Quote from: "Shikha12"

Chaukhat par jal raha tha diya, intezaar ka
De raha tha housla mujhey unke pyaar ka...

Umeed si lagi thi yeh ki woh aayega ek din,
Guzar gaya magar woh mausam bahaar ka..

Bikhhar gayii khwaishey, Tootey mere sapney,
Rula gaya woh pal jo tha unke khumaar ka...
[/b]

 =D>  =D>  Usual Smile  Usual Smile
Logged
natural
Guest
«Reply #50 on: August 22, 2006, 11:27:10 AM »
Quote from: "Shikha12"

Thanks Pooja di and Qutubbdin ji...
Pooja di... you r really superb....

Koi to mujhey yeh hausla de de,
Zindagi ko meri koi dua de de...

Main thak gayi bewajah jeetey jeetey,
Mujhey jeeney ki koi to wajah de de..

Tum aatey ho rulaney bhar ko mujhey,
Aaj mujhey phir koi naya sadma de de..

Aa gaye hum phir teri panah mey simat kar,
Apni yaadon ka hi mujhey aasraa de de...

Roz chuutey ho nayii uuchhaiiyon ko tum to,
Mere pairon ko bhi thoda saa aasmaa de de....
[/b]

 =D>  Very well written Shikha....
Logged
natural
Guest
«Reply #51 on: August 22, 2006, 11:28:46 AM »
Quote from: "Qutubuddin"
Kisay Pukarein ...

Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
Kay Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
Kay Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Kay Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay
Hum Kay Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain

Ques...

Toooooooo Goooooooood Ques.... Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #52 on: August 22, 2006, 12:17:15 PM »

Jagdish.... Itni tareef....  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !
Wow... Bahut achha laga...  :D  :D  :D
Thanks a lot...  Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #53 on: August 22, 2006, 12:18:50 PM »
Quote from: "Qutubuddin"
Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
 
Ab na hamain rulana tum , ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itne ziyada yaad rakhna

Dil to na dukhao ge mujhay choor to na jao ge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna

Tum jo choor jao ge hum to mar hi jayen ge
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna

Chahaton ki duniya main roshni tumhi se hai
Dil toor kar hamain choor kar kahin na jaana yaad rakhna

Ques.....

Too Good Qutubuddin ji...

=D> =D> =D>
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #54 on: August 22, 2006, 12:26:55 PM »
Aapne likha hi tareef ke kaabil hai....  Usual Smile  Usual Smile  Really too good.... Ab top floor par mat char jaana........:-P
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #55 on: August 22, 2006, 04:18:15 PM »
Quote from: "Shikha12"

Aaya tera khayal jab bhi mujhey,
Main teri meethi yaadon mey kho gayii...

Aisa laga ki kahin pey ruk gaya ho waqt,
Kahin par tham gayii ho meri saansey,
Dhadkan meri jaisey tere tasavuur ko odh ke so gayii...

Main udhti hui pahuch jau apney chand ke paas,
Samet lu aanchal mey uski chandni ki saugaat....
Baras jaye muhabbat aaj teri jaisey barsaat ho gayii....

Magar tu naa hai mera yeh mujhko khabar hai,
Sapna hai yeh ek aisa... jiski kismat mey tootna hi likha hai,
Soch kar phir se Judaii ka aalam... Aankh meri nam ho gayii...
[/b]

Jawab nahi mere paas iske liye.......Mashallaaah...Shikha sach me bahut bahut accha likha hai Usual Smile

Tune kahi yeh baat aur aankhein meri ro gayi.......
Tujh binn jeene ki ab jaise meri Kismat hee ho gayi......

Kar na ab baatein mujhse yoon Khawab dikha ke......
Raat dhalti nahi meri aur aankh kholo toh subha ho gayi......

Chali aa aye Sanam mere Hizr-o-Khayalon me.......
Tujhe paane ki tamanna ab shayad meri Hasti ho gayi........!!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #56 on: August 23, 2006, 08:29:15 AM »
Quote from: badnaam_shayar
Quote from: Shikha12

Bahut khoob Gaurav....

Har khwaish zindagi ki humein bikhrii hui si lage,
Har lamha zindagi mein fakat tumhari kamii si lage...

Dekha humne aks apna aaine mein toh paaya bus yehi,
Apni Palakon ke koron par humein chitki nami si lage...

Kuredna bahut chaha tumhara naam dil ki zameen par se,
Yeh Dil ki sar-zameen magar sakht hoke jamii si lage....

Chuu bhi naa sakeinge kabhi jinn parchaaiyon ko hum,
Wohi parchaaiya zindagi ke gird bus ghoomtii si lage...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #57 on: August 23, 2006, 12:16:44 PM »

Jaane se pehle ki woh, Hamari aakhiri nazar,
Dil mein sada tum apne, Usey Yaad rakhna...

Raah mein milte hai, Bichhudte hai raahi,
Magar kahin na kahin, Gunjaaish-e-mulakaat rakhna...

Zindagi ko hamari yun, Tanha karne waale,
Mushkil ho gaya tere liye, Koi bhi fariyaad rakhna....

Keh daalun ro-ro kar, Sab apne dard ki dastaa,
Mumkin nahin dil mein daba kar, Har baat rakhna...
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #58 on: August 29, 2006, 05:21:45 PM »

Bhojhal sii saanson mein,
Lipti zindagi meri...
Kasmasa rahi hai,
Apney bandhano mein...

De raha hai hausla,
Dhadak ke dil mera...
Keh raha hai ghabra naa,
Yun uljhano se...

Kehte hai ishq se,
Badhkar naa hua koi khuda...
Koi bataaye kya mila kisiko,
Aaisi kahawaton se...

Bahut kari dua,
Bahut roye tanhaai mein hum...
Laut aayi sada bhi meri,
Takra kar pattharon se...

Khamosh rahe hum,
Naa kiya koi gilaa...
Lekin aaj shor uttha hai,
Kahin dhadakano mein...
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #59 on: August 30, 2006, 05:33:55 AM »
Nice Nice.... Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:39:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer