Bikhrii huii Khwaish (Shikha)

by Shikha12 on August 15, 2006, 08:55:12 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9
Print
Author  (Read 9744 times)
Shikha12
Guest
«Reply #75 on: August 30, 2006, 06:11:31 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
shukriya  Shikha  jee......  :lol:  

agar  poochega mujhe koi  to  tum sirf  itna kahna
woh musafir  tha,  apni  bas yaadein yahan chord gaya....




Bahut khoob Waheed ji....
=D> =D> =D>
[/b]
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #76 on: August 30, 2006, 06:27:54 PM »
thanxxxxxx alot  Shikha  :lol:
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #77 on: August 31, 2006, 05:54:13 AM »
Quote from: Qutubuddin
Bas kuchh palon ki baat thi
Ek chhoti si mulakat thi....
  
Koi jeevan mein aaya tha
Tab dhadkanon ne kuchh bataya tha....
    
Tanhaiyon ko kisi ne churaya tha
Ek nasha sa ham pe chhaya tha..
    
khwabo mein hamein sataya tha
jaduyi dino ka saaya tha....
    
pyaar ne hamein bulaya tha
kyunki usne dil ko churaya tha.


Ques....



Dil ko kabhi aise usne churaaya tha,
Muhabbat ko mere ghar ka pata bataya tha…

Andhere tanha dil ke kamre mein aa kar,
Chahaton ka chiraag kabhi jalaaya tha…

Tham si gayii thi dhadkan bhi is dil ki,
Haathon se usne jo chehra mera utthaya tha…

Kaano mein aaj bhi goonjti hai wohi dhun,
Pyaar ka pehla falsafa jo gungunaaya tha…

Dhoondhti hai nazar duur talak uske nishaan,
Woh gharonda jo muhabbaton se sajaaya tha…

Magar..
Jaane dil tha uska ya patthar ka tukda koi,
Jaane kaise usne har vaade ko bhoolaaya tha….
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #78 on: August 31, 2006, 05:55:27 AM »
Quote from: Style_guru
The Style Guru Says.....


My Pleasure Shikha Ji!!!
& Gud work again Qutub bhai


Arz Hai,

Dil mera jab rone ko taiyar hua,
Aaj phir fiza me thehraav hua,

Phir uthi yaad unki mere zehen me,
Aaj phir ashqon ka ufaan hua.....


Khwaabon mein jiski humne tammanna ki thi,
Aaisa suhaana humein koi manzar naa milaa..

Tumhari palkon par nami jo dekhi thi hamne,
Dil apna us nami se bheega bheega sa milaa…

Kehte hai woh to hai muhabbat ka khuda lekin,
Chand bhi aakaash mein tanha tanha sa milaa…

Yehi hota hai mukaam shayad yehi hona tha,
Kahin pe Heer naa mili kahin raanjha na milaa...

[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #79 on: August 31, 2006, 05:56:16 AM »
Quote from: waheed_rose2004
har jagah har gadhi mere jakhmon ko chot lagti hai
ab to  mujhe  hawaon  se  bhi chot lagti hai
ai  meri  takdeer  likhne  waale mujhe bata
ab kyon mujhe jeene mein bhi darr lagti  hai......


Kaise dil ko tum apne behlaane lage ho..
Bujhe hue diye ko roshni dikhaane lage ho!
Buland tha hosla jeene ka tujhme kabhie..
Ab toh Hawaaon se bhi chot khaane lage ho!!
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #80 on: August 31, 2006, 05:57:03 AM »
Quote from: waheed_rose2004
shukriya  Shikha  jee......  :lol:  

agar  poochega mujhe koi  to  tum sirf  itna kahna
woh musafir  tha,  apni  bas yaadein yahan chord gaya....


Musaafir bann kar meri zindagi mein aane waale,
Yaadein chodh kar tanha mujhe kar jaane waale..
Ek baar mudd ke dekha to hota kabhi muhabbat se,
Milege tujhko kahan phir hum jaise bulaane wale..
[/b]
Logged
natural
Guest
«Reply #81 on: August 31, 2006, 06:12:09 AM »
Nice Reply Shikha.... Usual Smile  Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #82 on: August 31, 2006, 09:37:52 AM »

Thanks a lot Jagdish.... Usual Smile
[/b]
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #83 on: August 31, 2006, 12:56:17 PM »
The Style Guru Says....


Quote from: "Shikha12"
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says.....


My Pleasure Shikha Ji!!!
& Gud work again Qutub bhai


Arz Hai,

Dil mera jab rone ko taiyar hua,
Aaj phir fiza me thehraav hua,

Phir uthi yaad unki mere zehen me,
Aaj phir ashqon ka ufaan hua.....



Khwabon mey jiski humney tammanna ki
Aaj aisa suhaana humey koi manjar na lagey

Teri palkon par nami jo dekhi thi mainey
Dil us nami sey mujhko bheega bheega sa lagey…

Kehtey hai chand ko muhabbat ka khuda lekin,
Chand bhi aakaash mey tanha tanha sa lagey…

Kar deti hai juda muhabbat karney walon ko,
E khuda kiski muhabbat ko zamaney ki nazar naa lagey…

[/b]



Thanx 4 the gesture Shikha ji!!!

Arz Hai,

Wo jo nazar ki baat karte hain,
Wo kis mohabbat ki baat karte hain,

Ye nazar hi to mohabbat ka sarmaaya hai,
Log nazron se hi bayaan ishq-e-andaaz karte hain.....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #84 on: August 31, 2006, 12:56:49 PM »
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "waheed_rose2004"
shukriya  Shikha  jee......  :lol:  

agar  poochega mujhe koi  to  tum sirf  itna kahna
woh musafir  tha,  apni  bas yaadein yahan chord gaya....



Musafir ban kar meri zindagi mey aaney wale
Yaadein chodh kar tanha mujhey kar jaaney wale…
Ek baar mud kar dekha to hota muhabbat se,
Milegey tujhko kahan hum jaisey bulaaney waley….
[/b]


wow  wonderful  reply  Shikha.............

Kaho  kaisa  laga us  shaks ka milna  bichad jaana
mila to  ajnabi  tha  woh,bichad kar  aasna  thahra...........
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #85 on: September 14, 2006, 05:33:58 PM »

Nice one Style_Guru and Waheed....
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #86 on: September 14, 2006, 05:34:41 PM »

Zikr tere naam ka jab hota hai zamaane mein,
Saans rok apni hum chale aate hai veeraane mein..

Ab ranjish apne dil se hum koi rakhte nahin,
Maza aane laga hamein bhi apna dil dukhaane mein..

Jaane kaise chala aata hai ashqon ka yeh sailaab,
Thak gayi aankhein bhi ab to rone aur rulaane mein..

Chodh jaate hai kuch log dil mein aise nishaan,
Zindagi guzar jaati hai dil se jinhe mitaane mein..

Udaas si ho chali hai har shaam aise zindagi ki,
Gumsum ho koi bachcha jaise patang kat jaane se..

Naa jhootha hausla aur naa dijiye jhoothi umeedein,
Hoti hai bahut takleef umeedon ke toot jaane pe..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #87 on: September 14, 2006, 05:44:51 PM »
Waaaah....Shikha...!!

Bikhar gaye ab hum.....
Aur teri Raah Chal nahi sakte......

Tootne lage hai ab Armaan hamare.....
Nadaan Dil ko teri Berukhi ki Wajah bata nahi sakte.......

Agar pooche Zamana toh hume Bewafa thehra dena.....
Kyunki hum ab bhi teri Badnaami Ka Manzar Saja nahi sakte......

Bikhar gaye ab hum......
Aur teri Raah Chal nahi sakte........!!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #88 on: September 14, 2006, 06:08:37 PM »
Quote from: badnaam_shayar
Waaaah....Shikha...!!

Bikhar gaye ab hum.....
Aur teri Raah Chal nahi sakte......

Tootne lage hai ab Armaan hamare.....
Nadaan Dil ko teri Berukhi ki Wajah bata nahi sakte.......

Agar pooche Zamana toh hume Bewafa thehra dena.....
Kyunki hum ab bhi teri Badnaami Ka Manzar Saja nahi sakte......

Bikhar gaye ab hum......
Aur teri Raah Chal nahi sakte........!!!!!!!!!


Bahut khoob Gaurav...


Hamari raah chalogey to bikharoge tum yakeenan,
Barbaadiyon ke siwah is raah mein rakha kya hai...

Kaise sunaaye tumko bhala hum apna haal-e-dil,
Kaise bataaye ki is berukhi ki wajah kya hai...

Tum ko bewafa kaha to nazar jhukk jayegi humari,
Hum bhi toh nahin samajhte ki wafa bala kya hai...

Badnaam tujhe karke humein kya mil jaayega bhala,
Jahan mein aisi shohraton ka bhi faidaa kya hai...

Dost koi tum saa hai yeh kaafi hai humare liye,
Seekh rahe hai tumse hi hum ki dostaana kya hai...

Guzar gaya ek kaafila yaadon ka dil ko jala kar,
Bus Tapish ka dhuaa hai dil mein aur bacha kya hai...
[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #89 on: September 14, 2006, 06:20:56 PM »
Shikha, Gaurav, Waheed

Bahut dard bhara likha hai tum sab ne !

Shikha khaas kar tumne !

Tumhari second last poem bahut achchi lagi !

Rajbir
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:45:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer