Bikhrii huii Khwaish (Shikha)

by Shikha12 on August 15, 2006, 08:55:12 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
Print
Author  (Read 9647 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #90 on: September 14, 2006, 06:24:09 PM »
Hume nahi Dard ab koi bhi......
Kyunki Seene me Dil hee kahan bacha hai......

Jo jal chuka kuch hee Dino pehle....
Ab uss haadse se bhi kya Gila hai.....

Yoon toh hum dikha nahi sakte Chehra bhi tumhe.....
Kyunki banaya khuda kuch iss Kadar ki bas ab Jalte Armaano ke Kaafila hai......

Hume nahi Dard ab koi bhi......
Kyunki Seene me Dil hee kahan bacha hai........!!!!!!!!


Superb Reply Shikha...and thnx Gum bhai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #91 on: September 14, 2006, 07:03:40 PM »

Thanks Kulbhushan and Rajbir...

Again a very nice post Gaurav....
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #92 on: September 14, 2006, 07:04:49 PM »
Raund daali hai dil ki zameen khud apno ne,
Kyon kisi ajnabii mehmaan ka intezaar karun..

Tauba karte hai hum to dil ke lagaane se,
Zindagi ki shart pe bhi naa ab pyaar karun..

Ek baar dekh liya muhabbat ko aazmaa kar,
Kyon dobaara se dil ko apne beqaraar karun..

Koi nahin hai yahan rone aur manaane wala,
Waqt rehte khud kafan apna taiyyar karun..

Ranjish nahin hai koi humko is zamaane se,
Kiska hua hai yeh jo is par aitbaar karun..

Lekin kuch yaadein teri jaati nahin dil se,
Is sachhaai se bhi bhala kaise inkaar karun..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #93 on: September 14, 2006, 07:41:06 PM »
Shikha

Aaj to tum bahut achcha likh rahi ho !

Kis mood mein baithi ho !

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #94 on: September 15, 2006, 04:28:29 AM »
Quote from: "Shikha12"

Zikr tere naam ka jab hota hai zamaney mey,
Saans rok kar apni hum chaley aate hai veeraaney mey…

Ab ranjish apney dil sey hum koi rakhtey nahin,
Maza aaney laga humey bhi apna dil dukhaney mey…

Jaaney kaisey chala aata hai ashkon ka yeh sailaab,
Thak gayi aankhein meri baar baar isey baahaney mey…

Chodh jaatey hai kuch log dil mey aisey nishaan,
Zindagi guzar jaati hai dil sey jinhey Mitaaney mey…

Gumsum sii hai yeh aaj ki shaam zindagi kii,
Gumsum ho koi bachha jaisey patang kat jaaney sey..

Aur naa kuch umeed ab dijiye mere dil ko aap,
Bahut dard hota hai umeedon ke toot jaaney pey…
[/b][/i]


its wonderful shikha ..... =D>  kai lines bahut hi acchi likhi hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #95 on: September 16, 2006, 09:21:29 PM »
Bhuji Kismat.....
Aur woh tere band Darwaaje......

Lo ab Jhukk gaye hum Asmaan ke sirr tale.....
Ab hume thoda aur jhuka de......

Bann gaye bebas aur Halaat nasoor hai......
Karde bedakhal hume Zindagi se apni......Khushion ke sang hume bhi Thukra de......!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #96 on: September 18, 2006, 07:53:15 AM »
Gam Ke Badal Agar Jo Nikhal Jaye
Zindagi Phir Se Apni Sambal Jaye..
 
Dil Ye Bachain Hai Bastiyon Dekh Kar
Sochthi Hu Ki Dasht Main Nikal Jaye..
(dasht = jungle)
 
Kisii Ke Wade Pe Itna Yakee Na Karo
Kya Pata Kaun Ki Gadi Badal Jaye..
 
Yu Bi Sajdaj Ke Ghar Se Na Nikhla Karo
Mujhsa Diwani Koyee Na Machal Jaye..
 
Jabth Ka Meri Yu Bi Na Imtehaan Lo
Kya Barosa Ye Dil Kahii Fisal Jaye..
(Jabth = Sehensheelta)
 
Kahii Lagta Nahi Ab "Yaara" Ye Dil
Jagah Aisa Bata Ki Ye Behal Jaye..

N/M

Ques...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #97 on: September 21, 2006, 04:26:58 AM »
Yeh Veraan Safar or yeh Dhoondli parchayiaan.....
WaQt ke saath choote tum aur mili hume Veerasat me Tanhayiaan.....

Lo Bikhar gaye hum aur ab Zakhm rone lage hai......
Zakhm khoon ke Ansuon se na jaane kya pirone lage hai......

Khawab de rahe Shakl Nasoor Ayiene ko.....
Aur hum hai ki khud ko Tabdeel karne me lage hai.....!!!!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #98 on: September 21, 2006, 11:51:15 AM »
bgot  khoob  Sikha.  ques bhai..........Ranjana sis...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #99 on: September 25, 2006, 09:26:39 AM »
bewafaa'oN se pyaar raKhate haiN,
phir bhee dil meiN qaraar raKhate haiN..

Haal-e-dil se hou koii kiyuN waaqif,
lab pe ham eKhtiyaar raKhate haiN..

zeyb-o-ziinat se chehre haiN roShan,
par jigar meiN Ghubaar raKhate haiN..

iNtehaa-e-junuun-e-iShq hai yeh,
waade par aitbaar raKhate haiN.

nafrateN hee naheeN faqat dil meiN,
hasrat-e-deed-e-yaar raKhate haiN..

ham ko un se nahiiN gilah koii,
dil meiN wo kiyuN Ghubaar raKhate haiN..

haasil-e-ziNdagii naheeN kuchh par,
KhwaahiSheN be-Shumaar raKhate haiN..

soch kar, phir na ho khata-e-iShq,
daaman ab daaG-daar raKhaTe haiN..

falsafa yeh hei zindagii ka Mayank,
Hasrat-e-dil ko maar raKhate haiN..

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #100 on: September 25, 2006, 10:20:57 AM »
Quote from: "Shikha12"


Jaaney kyon na samjhey tum mere zazbaaton ko,
Humney to rakh di har khwaish be-libaas kar ke....

[/b]


wah kaya baat hai shikha... kamal ki lines likhi hai apne...

dikhao dil ko ya zazbaat bata do tum
dil per uske asar nahi, jeevan sara beeta do tum
pal mai chorr kar wo apna naya jahan basa lega
muskura kar her tumhara zazbaat, ek majak bana dega
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #101 on: October 16, 2006, 03:28:19 PM »

Bahut Khoob Gaurav, Qutubuddin ji, Pooja di.... =D>
Thanks a lot Waheed....
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #102 on: October 16, 2006, 03:30:11 PM »
Vidaai le kar subah se, shaam dhalti hi rahi,
Aur bahut royi andheron se lag lag kar gale..

Chunte rahe hum khwaabon ko band palkon par,
Phir Toot.te dekha unhe jab jab aankh khule..

Sunaai deti rahi siskiyaan dil ke bheeter kahin,
Aah nikal naa paaye, baithe hai labon ko sile..

Kamkampaaye hue haanthon ko thaam lijiyega,
Kat jaaye safar shayad 'gar kisi ka saath mile..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #103 on: October 16, 2006, 03:37:09 PM »
Quote from: "Shikha12"

Ho kar subah sey vidaa shaam dhalti rahi,
aur Bahut royii andheron sey mil kar galey…

Chuntey hai khwab hum band palkon par,
Aur toot jaatey hai jaisey he yeh aankh khuley….

Kahin andar sey siskii sunaii deti hai dil mey,
Aah nikalney naa paaye, baithey hai labon ko siley…

Rakh do mere dhadaktey hue dil par haath tum,
Chain aa jaaye mujhko jo ek tera saath miley…
[/b]


Waaah Superb...!!!!

Sanam teri Yaad hum bhi bahut Tilmilaye......
Jal rahe Angaar ki jaise......
Aur Aansuon ke Sang humne bhi armaan apne the bahaye.....


Kya dein tavajju khud ko ab.....
Aur kya aag iss Ashiane me laga de......

Fuhaaar bhar rahi hai Kismat khadi mere Darwaaje pe.....
Tum kaho toh aaj Galion me unki Chilman saja de..........!!!!!!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #104 on: October 16, 2006, 05:17:45 PM »

Qurbaton Mein Judai Ke ZaMane Maange,
Dil Wo Bhi Bhula Ke Rone Ke Bahane Maange,

HuM Na Hote To Kisi Aur Ke Charche Hote,
Ye Duniya To Bas Kehne Ko Fasane Maange,

Yehi Dil Tha To Taraste The MarasiM Ke Liye,
Ab Yehi Tarq-E-Talluq Ke Bahane Maange,

Apna Ye Haal Ke Haar Chuke, Lut Bhi Chuke,
Aur Mohabbat Wahi Andaaz Purane Maange,

Zindagi HuM Tere Daagon Se Rahe SharMinda,
Aur Tu Hai Ke Sada Aaina Khana Maange,

Dil Kisi Hal Par Qaanay Hi Nahi Jaan-E-Faraz,
Mil Gaye TuM Bhi To Kya Aur Na Jane Kya Maange...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:36:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer