Bohot tanha hoon main!!!!

by Talat on February 10, 2005, 05:07:07 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Author  (Read 6000 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: February 12, 2005, 07:24:29 AM »
Quote from: "Talat"
wohi ek baat jo sab se chupai
usi ek baat ka charcha bohot hai
 
meri khwahish kabhi puri na hogi
mujhe is baat ka sadma bohot hai
 
kisi ko bhoolna mumkin nahi hai
warna hum ne to chaaha bohot hai
 
kahan tak aur mera saath dega wo
pehle hi yahan ruswa bohot hai
 
tere jaisa koi milta nahi hai
tere jaisa magar dhoonda bohot hai
 
chalo ab mout ka samaan kar len
ke jeena to yahan mehnga bohot hai
 
wo mere paas kab thehra hai GHALIB
jo mere paas say guzra bohot hai !!!
 

(Mirza Ghalib)


nice  ghazal  talat.............      ghalib  ki baat  hi  alag  hai..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab ke Baras Main Tanha Hoon.,.. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
main tanha hoon by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha hoon main by anupam saxena in Shayri-E-Dard
Aaj tanha hoon main (by vb) by vb in Ghazals
Main Khud Ko Tanha Maar Raha Hoon,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Qutubuddin
Guest
«Reply #16 on: February 12, 2005, 08:33:50 AM »
Such hai.. Waheed Bhai...

Ghalib kee baath he alag hai...

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #17 on: February 12, 2005, 08:39:47 AM »
Bohot tanha thaa main
 Bohot tanha hoon main..

 Mayree Tanhaee kee tu Baath Naa Kar..

 Kal jab tu mayraa paas na thee..
 Jab bhee tanha thaa main..

 Abjab tu mayraa paas hee hai..
 Phribhee Tanhaa he tu hu main...

Ques...
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: February 12, 2005, 11:13:33 AM »
Nice Naveed & waheed &Qutub ji !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: February 13, 2005, 04:22:24 PM »
Chandni bikhri hui aur taaron ki chaanv
Aise me chali aayi yaad teri dabe paanv

Phoolon ke seeno pe shabnam ke chand qatre
Jaise mere ruqsar pe aansu hain dhalke

Apne hi hathon se dafan kiya hai jahan
Dekho ye mera dil meri chahat ka qabrisatan

Ek rooh tadapti hai bhatakti hai aksar
Us rooh me dikhti hai mujhe apni hi jhalak

Kuch is tarah se zindagi hum guzare jaayenge
tadpenge har pal aur yunhi jiye jaayenge!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: February 14, 2005, 03:37:42 AM »
Bohat khoob  Talat....

Jaan di uff tak na ki, dekhein tau parwaano ki baat
Hain jo danaa, woh kahan samjhein ge deewano ki baat
Yaad kar ke ehd-e-maazi aaj ro deta hoon main
Jab kahin hoti hai iss duniya mein insaano ki baat
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #21 on: February 14, 2005, 04:16:54 AM »
HAAN JEEEEEEEEE
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #22 on: February 14, 2005, 05:27:28 AM »
Well said Talat....

"
Kuch is tarah se zindagi hum guzare jaayenge
tadpenge har pal aur yunhi jiye jaayenge!!
"

Well said Aryaan...

"
Yaad kar ke ehd-e-maazi aaj ro deta hoon main
Jab kahin hoti hai iss duniya mein insaano ki baat
"

Bahoot khoob....

Ques...
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: April 09, 2005, 03:13:23 PM »
Thanks Aryaan & Qutub ji!!!

Wo bhi mere jawaab main shayad
Phool rakh de kitaab main shayad

Neend se iss liye hai pyar hume
Tu nazar aaye khawab main shayad

Iss qadar hai kashish gunahon main
Jo nahi hai sawaab main shayad !!!!

(NM)
Logged
bond
Guest
«Reply #24 on: April 09, 2005, 04:05:54 PM »
nice all....




vo zamaanaa terii muhabbat kaa
ek bhuulii huyii kahaanii hai
kis tamannaa se tujh ko chaahaa thaa
kis muhabbat se haar manii hai

(NM)
Logged
nikki
Guest
«Reply #25 on: April 09, 2005, 04:23:03 PM »
toooooooooooooo good Talat, Aryaan n Bond................................very nice................


kehne ko to mohabbat mein zamaane gujzar gaye hain
umr beet rahi hai, lekin waqt abhi bhi dhehra sa hai......
tera intzaar kal bhi tha mujhe .....
aaj bhi mere khayalon pe tera pehra sa hai....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #26 on: April 10, 2005, 06:19:28 AM »
Well said all...

I like this Bond, this is cool...

"
kis tamannaa se tujh ko chaahaa thaa
kis muhabbat se haar manii hai
"

Ques....
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: April 10, 2005, 10:42:34 AM »
Thanks Raj n Nikki!! and good ones both happy9

tum ko hum dil main basa lenge tum aao to sahi
saari dunya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab hum se na bhichdoge kabhi
naaz hum saare uthaa lenge tum aao to sahi

bewafaa bhi ho sitamgar bhi jafapesha bhi
hum Khuda tum ko bana lenge tum aao to sahi

yoon to jis simt nazar uthti hai taariki hai
pyaar ke deep jala lenge tum aao to sahi

ikhtalafaat bhi mit jaayenge rafta rafta
jis tarah hoga nibhaa lenge tum aao to sahi

dil ki veeraani se ghabrake na moonh ko modo
bazm ye phir se saja lenge tum aao to sahi

raah taareek hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamain jala lenge tum aao to sahi!!

(NM)
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #28 on: April 10, 2005, 10:50:16 AM »
Ver Nice Talat..

... tum aao to sahi!!


raah taareek hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamain jala lenge tum aao to sahi!!

Ques....
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: April 10, 2005, 10:56:22 AM »
Thank You Qutub ji!!!

maana khushion pe yaqeen nahin ab raha tera
dunya ka na sahi tu kar to aitebaar aaj mera
tere har dard ko mitaane ka tujhse waada  hai
waada wafa karenge magar tum aao to sahi!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:47:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer