Bohot tanha hoon main!!!!

by Talat on February 10, 2005, 05:07:07 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Author  (Read 5920 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #30 on: April 10, 2005, 11:15:03 AM »
wow   sabhi  logon  bahot  accha  likha.......good  going  all....frnds,..........keep it  up.........:lol:

main  aaonga  tum  mera  intizaar karna
aitbaar  to kaanto  per kiya,tumper bhi karenge
dekhenge  tumhari waade  wafa ki baatein "Talat"
sirf  tum  apne  chehre se  nakaab hataye rakhna..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab ke Baras Main Tanha Hoon.,.. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
main tanha hoon by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha hoon main by anupam saxena in Shayri-E-Dard
Aaj tanha hoon main (by vb) by vb in Ghazals
Main Khud Ko Tanha Maar Raha Hoon,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #31 on: April 10, 2005, 11:22:40 AM »
Thanks!! Waheed.....

Yoon meri aankhon main sawan ki jhadi rehti hai
Jaise kashti koi dariya main kinare par khadi rehti hai
Haal ye hai teri yaad mein is tarah gum hoon
Sabko meri aur mujhe teri fikar rehti hai !!!

(NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #32 on: April 10, 2005, 11:42:46 AM »
ur  welcome  talat..........excellent  talat........

Beh Rahi Hain Kashtiyan Dil Ke Kinaaro Par
Dil Ke Beech-O-Beech To Qayaam-E-Toofan Hai

Aik Imtehaan Thi Ibteda-E-Zindagi Meri
Ab Anjaam-E-Zindagi Bhi Aik Imtehaan Hai....nm
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #33 on: April 10, 2005, 11:45:21 AM »
Bahoot Khoob Waheed..

"
Beh Rahi Hain Kashtiyan Dil Ke Kinaaro Par
Dil Ke Beech-O-Beech To Qayaam-E-Toofan Hai

Aik Imtehaan Thi Ibteda-E-Zindagi Meri
Ab Anjaam-E-Zindagi Bhi Aik Imtehaan Hai...

"

Ques...
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: April 10, 2005, 03:17:30 PM »
Thanks Waheed...Gud one!!

Raaste saare kaale naag aur tez hawa
Ek diya hai hathon par aur nange paaon
In ankhon se un ankhon tak lambe raaste
Sadiyon jitna ek safar aur nange paaon!!!

(nm)
Logged
bond
Guest
«Reply #35 on: April 10, 2005, 03:39:23 PM »
good all...
this one is my fav....

raste bhar rok rok ke puchha , mujhse paanv ke chaalo ne...
ghar kitni door basaya hai, iss dil mein basne waaloon ne....

(NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: April 10, 2005, 03:43:18 PM »
Quote from: "bond"
good all...
this one is my fav....

raste bhar rok rok ke puchha , mujhse paanv ke chaalo ne...
ghar kitni door basaya hai, iss dil mein basne waaloon ne....

(NM)


Wow Its very touching!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #37 on: April 10, 2005, 03:44:36 PM »
bahut hi accha talat and quittubuddin..................................... ..............................................
Logged
nishita
Guest
«Reply #38 on: April 11, 2005, 06:37:31 AM »
Quote from: "Talat"
Thanks Waheed...Gud one!!

Raaste saare kaale naag aur tez hawa
Ek diya hai hathon par aur nange paaon
In ankhon se un ankhon tak lambe raaste
Sadiyon jitna ek safar aur nange paaon!!!

(nm)


wow talat Usual Smile
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #39 on: April 11, 2005, 07:06:02 AM »
Quote from: "Talat"
Thanks!! Waheed.....

Yoon meri aankhon main sawan ki jhadi rehti hai
Jaise kashti koi dariya main kinare par khadi rehti hai
Haal ye hai teri yaad mein is tarah gum hoon
Sabko meri aur mujhe teri fikar rehti hai !!!

(NM)


very nice all of u..........aap sab ne bahut acha likha hai....

teri raah main aankhen har gadi rehti hai
kya kahe ye kisi se bhi kuch nahi kehti hai
humari jaan hai tuh issliye hume teri fikar rehti hai
tuh tuh mujhe bhul hi gaya hai kyun
phir bhi meri saansein tera diya dard sehti hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: April 12, 2005, 07:31:18 AM »
Thanks Pandit...Nishi...Sandhaya tongue3

Is dil me rehne waalon ne bohot door basti basai hai
Jab bhi awaaz di unko humne laut ke wapis aayi hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #41 on: April 12, 2005, 08:58:56 AM »
Very Well said Talat..

"
Is dil me rehne waalon ne bohot door basti basai hai
Jab bhi awaaz di unko humne laut ke wapis aayi hai
"

Tayray Dil May Jo Gharayee hai..
Tayree Awaaz May Nazar Aayee hai...

Ques....
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: April 12, 2005, 01:43:45 PM »
Thanks Qutub ji

Na jaane kyun use dil maharbaan samajhta hai
Woh dost hai to bas itna ke ajnabi kam hai !!!

(nm)
Logged
pandit
Guest
«Reply #43 on: April 12, 2005, 02:07:51 PM »
talat ji..............
socho gar dil na hota to kya hota,
kya hume kisi se pyaar na hota,
jab bhi kabhi hum tanhaa hote,
to kabhi hume dard ka aabhaas na hota.
Logged
suave
Guest
«Reply #44 on: April 12, 2005, 02:20:12 PM »
roz kii tarah aaj bhii taare
subah kii gard mein na kho jaaye.N
aa tere Gam mein jaagatii aaNkhein
kam se kam ek raat so jaayeiN

NOT MINE
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:09:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer