Bohot tanha hoon main!!!!

by Talat on February 10, 2005, 05:07:07 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Author  (Read 5903 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: April 12, 2005, 02:20:27 PM »
Nice! Pandit

Janti hoon ke mushkil hai tum ko nahi main pa sakti
Lekin yahi baat to main apne dil ko nahi samjha sakti

Janti hoon tum to chand ho, mere ban sako ge kaise
Itne sitaron main to tum ko nazar main aa nahi sakti

Janti hoon yeh bhi ke mera naseeb nahi ho sakte tum
Aur kisi ka naseeb bhi main kabhi chura nahi sakti

Janti hoon tum se kabhi kuch nahi keh paoongi main
Lekin ab har baat main apne dil main chupa nahi sakti

Janti hoon agar jaan bhi jaoge tum meri chahat ko
Tu aesi hoon pagal tumhe phir bhi kuch bata nahi sakti

Janti hoon yeh bhi ke zindagi main sab kuch nahi milta
Lekin phir bhi jane kyun tumhe main bhula nahi sakti !!!!

(nm)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab ke Baras Main Tanha Hoon.,.. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
main tanha hoon by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha hoon main by anupam saxena in Shayri-E-Dard
Aaj tanha hoon main (by vb) by vb in Ghazals
Main Khud Ko Tanha Maar Raha Hoon,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
suave
Guest
«Reply #46 on: April 12, 2005, 02:55:21 PM »
isii chaman meIn hii hamaaraa bhii ik zamaanaa thaa
yahiin kahiin koii saadaa saa aashiyaanaa thaa
nasiib ab to nahiin shaaKh bhii nasheman kii
ladaa huaa kabhii phuulon se aashiyaanaa thaa

not mine
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: April 12, 2005, 02:59:29 PM »
Thanks suave n Nice one!!

Ashiaaane toot jaate hain waqt ki aandhiyon me
reh jaati hain yaadain umr bhar rulaane ke liye !!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #48 on: April 12, 2005, 02:59:35 PM »
wah bahut hi accha talat ji.................
zindagi k har moud par samjhauta hai karna,
par kabhi apni wafa ko kam tum na karna,
ki ye jo hai zindagi leti hai imtihaan,
har jaljalo se tum bach kar nikalna.
Logged
suave
Guest
«Reply #49 on: April 12, 2005, 03:03:42 PM »
yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do
mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do ham-dam
raat taare nahii.n a.ngaare liye aatii hai
in barasate huye sholo.n ko bujhaa do ham-dam

 NOT MINE
Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: April 12, 2005, 03:04:19 PM »
Thanks Pandit..Gud one!!!

toofano se bhi guzarne ka huasla rakhte hain hum
bas agar saath ek sachche dost ka is safar me ho!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #51 on: April 12, 2005, 03:14:26 PM »
talat ji.....................
tanhaaiyeo se gar na hota dostana hamara,
to kab ka ujadd gaya hota aashiyana hamara.
Logged
Talat
Guest
«Reply #52 on: April 12, 2005, 03:21:36 PM »
Nice...

tanhaiyaan hi shayad sachchi saathi hoti hain
sab saath chorh dete hain ye har pal rehti hain!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #53 on: April 12, 2005, 03:32:39 PM »
gud talat................................
bahut hi accha........................................
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: April 12, 2005, 04:29:40 PM »
thanks Pandit !!

Jaane kyun veeraniyan hain itni
Bheed main tanhaiyaan hain itni
Dil pe udaasiayon ke badal hain
Taqdeer kyun sabse juda hai apni !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #55 on: April 12, 2005, 05:26:49 PM »
very  nice  talat........pandit.......................bahot  khoob..........
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: April 13, 2005, 10:40:48 AM »
Thanks Waheed

Pyaar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hote hain
Apni jaan se jaane wale kuch kuch pagal hote hain
 
Jaan se pyare logon se kuch kuch parda laazim hai
Saari baat batane wale kuch kuch pagal hote hain
 
Pyaar jin ko ho jaye un ko chain kahan pe milta hai
Phir ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hain

kisi ke ishq main kho kar hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat main aane wale kuch kuch pagal hote hain !!!!


(nm)
Logged
nishita
Guest
«Reply #57 on: April 14, 2005, 09:28:53 AM »
waaaaaah all  Usual Smile

rehta nahin insaan to hota nahin gham bhi
ik roz kafan oodh ke so jaayenge hum bhi

nm
Logged
HumTum
Guest
«Reply #58 on: April 14, 2005, 09:33:57 AM »
Quote from: "nishita"
waaaaaah all  Usual Smile

rehta nahin insaan to hota nahin gham bhi
ik roz kafan oodh ke so jaayenge hum bhi

nm


mein kis-se khu ki shab-e-gum kya hai , buri bla hai
mujhey kya bura tha marna gar ik bar hota !!!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: April 14, 2005, 11:24:15 AM »
Thanks Nishi!! n Good one both !!!

Ek din jab hum bhi chale jaayenge
Tab humari wafain yaad karenge
Jitna pukarenge awaaz denge wo
Par hum tab na laut kar aayenge !!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:14:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer