{{{***.....bura laga....***}}}

by diya786 on April 21, 2009, 09:36:50 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3138 times)
diya786
Guest
Mere khwab mein tera deedar haseen tha
jis mein tu mere kareeb tha
phir meri neend ka tootna bura laga ...

Teri baatein hi in labon ki muskurahat hain
par aaj kyun tu khamosh hai
phir tera yun chup baithna bura laga ...

Tera paas hona mera naseeb tha
kya pata tha ki mera humdum hi mera raqeeb tha
phir apni mohabbat ka yun bikharna bura laga ...

Har aahat pe faqat tumhe hi sochti thi
subah ki gungunaati dhoop ke ehsaas mein dhoondhti thi
phir yun baarish ka aana bura laga ...

Teri mohabbat se khud ko sajaate rahe
teri "kashish" se dil behlaate rahe
phir mere aaine ka tukde tukde hona bura laga ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bura wo nahi hai by karan q in Shayri for Dard -e- Judai
.....Bura Haal..... by sweet_raabii in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
~*~Bura Lagta Hai~*~ by Aryaan in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Kyun Tujhe Bura Laga,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Bura Lagta hai by imtiaz096 in Shayri for Khumar -e- Ishq
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: April 21, 2009, 09:47:58 AM »

  AAP KAA KALAM PADH KAR ....ACHCHAA LAGAA...! D786



   K_A
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: April 21, 2009, 10:04:17 AM »
Bhai hume to bilkul bura nahin laga, balki bohot achchi lagi aapki ye peshlash Usual Smile

Bohot Khoob Kashish
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #3 on: April 21, 2009, 10:09:45 AM »
Nice creation Dear Diya Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2009, 10:16:27 AM »
waah ! bahoot khood kashish! Well done!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2009, 10:51:06 AM »
Mere khwab mein tera deedar haseen tha
jis mein tu mere kareeb tha
phir meri neend ka tootna bura laga ...

Teri baatein hi in labon ki muskurahat hain
par aaj kyun tu khamosh hai
phir tera yun chup baithna bura laga ...

Tera paas hona mera naseeb tha
kya pata tha ki mera humdum hi mera raqeeb tha
phir apni mohabbat ka yun bikharna bura laga ...

Har aahat pe faqat tumhe hi sochti thi
subah ki gungunaati dhoop ke ehsaas mein dhoondhti thi
phir yun baarish ka aana bura laga ...

Teri mohabbat se khud ko sajaate rahe
teri "kashish" se dil behlaate rahe
phir mere aaine ka tukde tukde hona bura laga ...

der se padne k liye maafi maangta hoon...... bahut hi ummda peshkash hai........sach mein masoomiyat aur shikwa karne ka yeh andaaz mujhe bilkul bura nahin laga

tere saath beithe taaron k tale
aur phir chand bhi baadlon main kaahin kho jaaye
oos andhri raat main tum mere paas hi rehna
jab har taraf sannaate k siwa kucch na najar aaye
tera saath raha toh paar kar lenge zindgi k andhere sanam
jo tu hi na ho sang mere toh kis liye , zindgi ji jaaye
Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2009, 11:21:51 AM »
Bahoot khoob Diya ji n salil Thumbs UP
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: April 21, 2009, 12:35:56 PM »
Bhai hume to bilkul bura nahin laga, balki bohot achchi lagi aapki ye peshlash Usual Smile

Bohot Khoob Kashish

Bahut bahut shukriya Talat ji
jo aapne saraha
notworthy
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 21, 2009, 12:47:31 PM »
Bahaut khoob Kashish di... Applause
Salil bhaijan apne bhi kamal ka likha hai...
Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: April 21, 2009, 12:48:38 PM »
  AAP KAA KALAM PADH KAR ....ACHCHAA LAGAA...! D786



   K_A

Shukriya K_A notworthy
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: April 21, 2009, 12:49:37 PM »
Nice creation Dear Diya Applause Applause

Shukriya Jannat dear notworthy
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: April 21, 2009, 12:54:28 PM »
waah ! bahoot khood kashish! Well done!

thanks a ton Sophi dear notworthy
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: April 21, 2009, 12:56:19 PM »
der se padne k liye maafi maangta hoon...... bahut hi ummda peshkash hai........sach mein masoomiyat aur shikwa karne ka yeh andaaz mujhe bilkul bura nahin laga

tere saath beithe taaron k tale
aur phir chand bhi baadlon main kaahin kho jaaye
oos andhri raat main tum mere paas hi rehna
jab har taraf sannaate k siwa kucch na najar aaye
tera saath raha toh paar kar lenge zindgi k andhere sanam
jo tu hi na ho sang mere toh kis liye , zindgi ji jaaye
Aji maafi kis baat ki aap aaye aur apna waqt diya yehi bahut hai...
shukriya waise aapne bhi kamaal likha hai... too good!!!
Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2009, 12:57:40 PM »
Bahoot khoob Diya ji n salil Thumbs UP

Shukriya Salma ji notworthy
accha lagta agar aap bhi kuch likh deti...
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2009, 12:58:48 PM »
Bahaut khoob Kashish di... Applause
Salil bhaijan apne bhi kamal ka likha hai...

Bahut bahut shukriya Rahim Bhai notworthy
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 18, 2024, 03:24:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer