**Byaah Hua Hai Dard Se Mera Aur Gham Se Meri Hui Sagaii**

by *~*Pakeezah Aanchal*~* on March 27, 2007, 06:23:47 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1341 times)
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
Pesh-e-khidmat hai mera ek aur purana kalaam.umeed hai hai padhke pasand karenge.

Hai yeh kaisi mohabbat jo har lamha bas takleef deti hai....meine toh suna tha ke mohabbat veerane me shehnaayi banke goonjti hai lekin mere naseeb me yeh mohabbat barbaadiyon ko tarane leke aayi...
------------------------------------------------------------------------------------

Mujhko gham nahi kay too kyoo bewafaa nikla
Gham yeh hai kii yeh duniyaa naa mujhko samajh paayii

Logon nay tere khel pay waah waahi machaayii
Magar mere naseeb mei bas sawaalon kii bauchaar aayii

Dil meraa kuch yoon mohabbat say bezaar hua
Zindagi mein aaj mere bahaar aakay bhi hai khiza chaaii

kehta hai zamana ke gairon pe yakiin na karnaa
Magar mujhpe to mere sabhi apnon ne qayaamat dhaaii

Dilkash mehfilon mein ghiraa hai ab yeh jism mera
Magar rooh mein mere bas tanhaaiyon nay basar paayii

Ab kya kahe 'farhana' ke zindagi kis mod pe hai aayi
Byaah hua hai dard se mera aur gham se meri hui sagaii...!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera Gham by Nino in Shayri-E-Dard
Unhen Raahatein Mubarak Mera Gham mughe Gawara by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Mera Gham by Nino in Shayri-E-Dard
mera gham by mk.johri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: March 27, 2007, 07:51:24 AM »
Farhana

Bahut khoob ! =D>

Kalaam ka title bilkul sahi hai !

Yeh 2 sher bahut achche lage !

Keep going  :arrow:

Quote from: "*~*Pakeezah Aanchal*~*"
kehta hai zamana ke gairon pe yakiin na karnaa
Magar mujhpe to mere sabhi apnon ne qayaamat dhaaii

Dilkash mehfilon mein ghiraa hai ab yeh jism mera
Magar rooh mein mere bas tanhaaiyon nay basar paayii
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #2 on: March 27, 2007, 09:20:29 AM »
shukriya aapka dil ki gehraiyon se.. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 27, 2007, 12:25:36 PM »
Bohot hi khoob Farhana ! Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: March 27, 2007, 12:27:05 PM »
Bohat khoob Farhana...
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #5 on: March 28, 2007, 10:15:31 AM »
shukriya dil azeez talat
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #6 on: March 28, 2007, 10:15:52 AM »
shukriya aryaan
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 28, 2007, 11:41:15 AM »
Ghum-e-zindagi ne hume jeene ka naya andaz sikhaya hai
Jab bhi aate hain ashk aankh main, hum muskura dete hain !!!
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #8 on: March 29, 2007, 02:09:25 PM »
waah bahaut badhiya talat saahiba Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 29, 2007, 10:44:01 PM »
Thanks Pakeezah...par please saahiba mat kahiye :oops:
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #10 on: March 30, 2007, 09:44:13 AM »
hehe zaroor ... tongue3
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:23:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer