¸,ø¤º°`°º¤ø,¸¸.•.¸ek chiraag dhonte hain.¸.•.¸¸,ø¤º°`°º¤ø,¸

by roshni246 on January 01, 2006, 02:10:21 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4309 times)
roshni246
Guest
«Reply #15 on: January 06, 2006, 05:37:25 PM »
Log har manzil ko mushkil samajhte hai, ham har mushkil ko manzil samajhte hai.

Bada fark hai log aur hamare nazarie me, log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Har raat raahoo mein chiraag jlaate hain hum by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
jal jal kaar chiraag by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHIRAAG..(K_A) by khamosh_aawaaz in Shayri-E-Dard
Bhujte Chiraag by Shayaries_King in Shairi - E - Zindagi
-----/// Jalaa chiraag lete hain ///----- Hriday by ~Hriday~ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
nirbhay
Guest
«Reply #16 on: January 06, 2006, 06:59:30 PM »
Wah wah wah wah

Aap muhabaat ko nahi mein anjaaam detein hai, hum ismein roz  ek naya aasiqi ka paigam detein hai

Kiu doorian hai hamare bich jabki, log aapse dilaagi aaur hum aapse dil ki lagi mein har shaam likhtey hain…
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #17 on: January 07, 2006, 05:06:43 AM »
wah bahoot khoob neer.......roshni ji and waheed bhai...............

Apnay yaqeen per yeh beyaqeeni see kaisi hai
Soch ki mojon mein yeh bekali se kaisi hai
Yeh kaisi talaash hai kay sab kuch hai saamnay magar,
Zindagi mein phir bhi kuch kami see kaisi hai
Jee chaata hai kay chaahaton per aitbaar karen
Laikin khud mein yeh "khudi" see kaisi hai
Yun tou aa jaati hai cheray per hansi..
Magar tanhaayi mein aankhon mein yeh nami see kaisi hai
Teri bewafai k baad jindagi maut se kam nahi mere liye,
Par na jaane kyun aaj bhi is Dil mein tere liye ye beintihaan mahobbat kaisi hai.....................
Logged
roshni246
Guest
«Reply #18 on: January 09, 2006, 05:58:29 AM »
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam woh kath
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai


ROSHNI..........!!!!!
[/i]
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #19 on: January 09, 2006, 06:44:13 AM »
Quote from: "roshni246"
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam woh kath
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai



Humne dil ko dillagi se bacha rakha hai
Aapne dil ki chah ko bhujha rakha hai
Jisse Kartein hai jee todd muhabaat
Ussne to hamein gair bana rakha hai
Aye dil nahi teri koi kabiliyat kahin
Kiu thokarein khane ko rujha rakhna hai
Hai Udassi si har lamhon fizaon mein
kisse kahein ki tere ask.on ne hamein rula rakha hai
Har khawab ek andhre.on ki roshni mein saja rakha hai
Teri Yaadon-o-mulakaton ko ask.on se baha rakha hai
Nahi hai koi roshni aaur na hi koi deep jala rakha hai
Meri dastan tanha hai..aapni tanhai ko samjhe rakha hai


Nirbhay................!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #20 on: January 10, 2006, 03:16:02 AM »
bahooot khoob very nice reply neer................and bahoot acche roshni.................
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #21 on: January 10, 2006, 10:39:48 AM »
bahut khoob roshni ji & nirbhay ji!!!!!!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #22 on: January 10, 2006, 04:20:52 PM »
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata
Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata
Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata
tatbeer aur tawakul se badal jaati hai TaQdeerein
De kar ilzaam naseeb ko, chahatoon ko behlaya nahi jata


Roshni.......................!!!!!!!!!!
Logged
Princess21
Guest
«Reply #23 on: January 10, 2006, 04:41:28 PM »
Buhat ache ROshni!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #24 on: January 11, 2006, 01:27:15 PM »
thaank ku sis...........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #25 on: January 12, 2006, 08:14:43 PM »
Quote from: "roshni246"
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata
Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata
Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata
tatbeer aur tawakul se badal jaati hai TaQdeerein
De kar ilzaam naseeb ko, chahatoon ko behlaya nahi jata


Roshni.......................!!!!!!!!!!


Tum  kya jano kya hoti hai tanhai,
is tute hue patte se puch kya hoti hai judai.
Yun  bewafa ka ilzaam na de zalim,
is waqt se puch ke kis waqt teri yaad na aayi.


Nirbhay......!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #26 on: January 13, 2006, 07:02:55 PM »
Mere sapnon ki khwahish hai,
teri aankh ka har aansoon meri aankhon se gire,
meri muskurahat ki kali tere labon pe khile,
meri raaton ki neend teri aankhon mein mile,
hum zindagi mein khush rahen na rahen,
aapko duniya ki har khushi mile.


roshni...........!![/i][/b]
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #27 on: January 14, 2006, 09:38:43 AM »
Nikal Jate.in Hain Gile-o-Shikve....
Khabhi Aankhon Se Aansoo bankar...
Kahien to Kissey Kahein..??
Yunn Tanhai.yan kabb takk sahein pather bankar
Kaise Dagaa de jaatein hai logg Woh Bhi Kabhi
Jo Saath Chaalte hain Parchaai bankar.


Nirbhay.........!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #28 on: January 14, 2006, 09:50:04 AM »
Teri Raahon Mein Kabse Aankhen Beechaye Baithay hain
Is Dil ke tufan Mai Mohabbat Ki shama Jalaye Baithe hain
Aey Zaalim kis Morr Pe Laa kar Chora Hain Tunnay Mujhko
Aaj bhi Milne ki Hasrat se teri yaad ko dil se lagaye Baithe hain


roshni..........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #29 on: January 15, 2006, 07:08:17 AM »
Ye dil dhadakta hai sirf tere liye,
Ye dil tarapta hai sirf tere liye,
Jaane kyun Lagta hai darr roshni.on se,
Abb na kehna Lout kar Ujalon mein aane ke liya..

Hamare lafz aapko katilana lagey,
Bhool Jana Hamein, Chahe dostana kitna bhi purana lagey
Karib aana aapke aab ek fasana lagey,
Par aapko bhulane mein shayad hame.in ek zamana lage


Nirbhay..........!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:19:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer