::::Chaand Bheeg Jaata Hai::::

by angel4u on July 18, 2008, 02:41:06 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1096 times)
angel4u
Guest



Raat Ka Aanchal Bhig Jaata Hai,
Chaand Bheeg Jaata Hai,
Jab Bhi Teri Yaadon Ke
Badalon Mein Lipatte Se,
AshQ Behne Lagte Hai,
Aur Dil Sulagte Hai,
WaQt Ki Rawani Mein,
Baadalon Ke Paani Mein,
Raat Bheeg Jaati Hai,
Chaand Bheeg Jaata Hai,


Raat Ke Andhere Mein,
Teergi Ke Ghere Mein,
Roshni Bikharti Hai,
Aur Teri Yaadon Ka
Kaarwan Guzarta Hai,
Phool Band Hote Hai,
Aah Si Ubharti Hai,
Ek Ajeeb Si Dil Mein,
Khamoshi Utarti Hai,
Tab Kisiki Aankhon Mein,
Aansuon Ke Paani Mein,
Raat Bheeg Jaati Hai,
Chaand Bheeg Jaata Hai...
* * * * *


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Ankhein Bheeg Jaaye.............. by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
:Bheeg jaati hain..: by sanya310 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~Aankhein Bheeg Jaati Hai~~ by angel4u in Shayri-E-Dard
~Ankhein bheeg gayi~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
Kya Tumhaari Aankhein Bheeg Jaati Hai,.{AS} by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
syednaami
Guest
«Reply #1 on: July 18, 2008, 03:11:40 AM »
Good one angel4u,,, very nice from your collection...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: July 19, 2008, 06:25:05 AM »
Thanks a lot Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: July 19, 2008, 06:25:46 AM »

Wo Baagh Mein Mera Muntazir Tha,
Aur Chaand Taloo Ho Raha Tha,
Zulf-E-Shab-E-Visl Khul Rahi Thi,
Khushbu, Saanson Mein Ghul Rahi Thi,
Ayi Thi Main Apne Piya Se Milne,
Jaise Koi Gul Hawa Se Khilne,
Ek Umr Ke Baad Main Hansi Thi,
Khud Par Kitni Tawajjo Di Thi,
Pehna Tha Gehra Basanti Joda,
Aur Etar-E-Sohaag Mein Basaya,
Aaiyne Mein Khud Ko Kayi Baar,
Uski Nazron Se Maine Dekha,
Sandal Se Chamak Raha Tha Matha,
Chandan Se Badan Damak Raha Tha,
Hothon Mein Bahut Sharir Laali,
Gaalon Pe Galal Khelta Tha,
Baalon Mein Piroye Itne Moti,
Taaron Ka Guman Ho Raha Tha,
Afshan Ki Lakeer Mang Mein Thi,
Kaajal Aankhon Mein Hans Raha Tha,
Kaanon Mein Machal Rahi Thi Baali,
Baahon Mein Lipat Raha Tha Gajra,
Aur Saare Badan Se Phootta Tha,
Uske Liye Jo Geet Likha Tha,
Haahton Mein Le Diye Ki Thaali,
Uske Kadmon Mein Jaake Baithi,
Aayi Thi Keh Aarti Utaroon,
Saare Jeewan Ko Daan Kar Dun,
Dekha Mere Devta Ne Mujhko,
Baad Uske Zara Sa Muskuraya,
Phir Mere Sunehre Thaal Par Haath
Rakha Bhi To Ek Diya Uthaya,
Aur Meri Tamam Zindagi Se,
Maangi Bhi To Ek Shaam Maangi...
* * * * *

NM
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: July 19, 2008, 01:09:08 PM »
Wah je wah,,, kya khoobsurat paishkash hai... Shukriya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: July 20, 2008, 05:16:53 AM »
Shukriya pasand karne ke liye Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2008, 12:34:59 AM »
Bohat khoob Angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: July 23, 2008, 02:35:03 AM »
Thanks a lot Aryaan Usual Smile


Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi,
Amjad Magar Wo Shakhs Mujhe Bhulta Nahi,

Darta Hoon Aankh Kholun To Manzar Badal Na Jaye,
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jagta Nahi,

Aashuftagi Se Uski Use Bewafa Na Jaan,
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi,

Tanha Udaas Chaandko Samjho Na Bekhabar,
Har Baat Sun Raha Hai Magar Bolta Nahi,

Khamosh Ratjagon Ka Dhuaan Tha Chahaar Su,
Nikla Kab Aaftab Mujhe To Pata Nahi...
* * * * *



NM
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #8 on: July 23, 2008, 04:36:55 AM »
Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi,
Amjad Magar Wo Shakhs Mujhe Bhulta Nahi,

Aashuftagi Se Uski Use Bewafa Na Jaan,
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi,

 
Bahot khoob hai ye ash'aar jo aapne share kiya hai..




Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: July 24, 2008, 02:20:40 PM »
Thanks a lot Muhammad ji Usual Smile


Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chaand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usiki Hai Talash,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai To Nagma Bankar,

Raat Bhi Aayi To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Aake Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chhuda Kar,
Ghar Se Jo Sath Chala Tha Mera Saaya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar...
* * * * * (NM)
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #10 on: July 25, 2008, 03:37:02 AM »
Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Aake Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chhuda Kar,
Ghar Se Jo Sath Chala Tha Mera Saaya Bankar,


angle sahiba...Ye Jo ash'aar hai kya hi khoob hai..aajkal bahot hi achchhe kalaam aap share karte ho..



Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: July 25, 2008, 01:42:22 PM »
Thanks Muhammed ji,
bas aap taarif kar dete hai, to share karne ka mann kuch zyada hi ho jaata hai,
thanks a lot.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 25, 2008, 07:43:03 PM »
Thanks a lot Muhammad ji Usual Smile


Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chaand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usiki Hai Talash,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai To Nagma Bankar,

Raat Bhi Aayi To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Aake Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chhuda Kar,
Ghar Se Jo Sath Chala Tha Mera Saaya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar...
* * * * * (NM)


Bahut Bahut Khoob!! bahut hi khoobsurat aur jazbaati post hai...bahut ache.. Applause Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: July 26, 2008, 05:09:17 AM »
Thanks a lot khwaish ji

pasand karne ke liye shukriya...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:24:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer