Chala Khuch Yu Zindagi Ka Safar Chala.............

by Nikhaar on August 16, 2010, 04:52:49 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 9496 times)
poppoetry
Guest
«Reply #15 on: August 18, 2010, 05:48:00 PM »
Pooja ji maine koi chane ke jhaad pe nahi chadhaya aapko... jo sach hai bas wahi kahaa... aapne likha hi itna pyaara hai... aur hamaare comment ko pasand karne ke liye bahut bahut shukriya... aur aapka ye naya post bhi bahut hi pyaara hai... too good.... iske jawaab me kuch likha hai maine... ummeed hai aap pasand karenge...

nazar uthaake dekho humein hamesha paas paoge,
hamaari dosti se bachke tum ab kahaan jaoge,

raah pe chalke kisi paththar ko dekh ruk jaoge,
to kahaan is jeewan ke safar me aage badh paoge,

kya hua agar khwaabon ka aaina tumse tut gaya aaj,
kal tanha they, ab in tukdo me hazaaron nazar aaoge,

apni parchhai me khud ko dhund lo tum ek baar,
apne hi ruh se tum kis tarha muh mod paoge,

nahi hai ab lambi ye raat judai ki mere dost,
kab tak yunhi andheron me khud ko chhupaoge,

nafraton ki is duniya me ab bhi mohabbat bachi hai,
in pyaar ke rishton se bachke tum kahaan jaa paoge,

zindagi hai chaar din ki ro ke kyun khatam karna,
muskura ke ji lo aaj, ye mauka fir kahaan tum paoge...
icon_silent........mai chup hu qunki mujhe lafj nahi mil rahe taarif k liye.......
aap khud bhi nahi jaante k aapne kitna khubsurat likha hai.....aur sabse khubsurat wo seekh jo aapne iss kavita k jariye di hai.....jwaab mein khuch likha hai...itna behtrin toh nahi likh paayi...jo dil mein aaya likh diya......


Kabhi kabhi chha hi jaati hai ajab si maayusi yha
Gam k daur mein kaun hai har pal muskurata yha

Zaruraton k hisaab se deta hai Rab khushiyan sabko
Uske aage insaan ki bisaat khuch bhi nahi yha

Apne saaye se na lagta dar mujhe
Gar hota chaand ki roshni ka saath yha

Har pal mein khushi bharne ki koshish rahi hamesha lekin,
Waqt k pher mein bna apni zindagi ka khel yha

Aapki iss seekh ko manjur karte hai dil se dost
Bahut hua mayusi ka daur,
Khushnuma ban kar jeene ki koshish karenge yha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sath Dil ka chala by muneeb in Shayri-E-Dard
chala ja upper at aa,...... by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
woh jo pal bhar mai chala gay;;;; by majid in Shayri-E-Dard
Leh chala... by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
chala jaaunga by @kaash in Shayri-E-Dard
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #16 on: August 19, 2010, 01:59:58 AM »
shukriya hamaare jawaab ko pasand karne ke liye... aur aisa q keh rahe hain ki aapka jawaab behtareen nahi hai.... aapne khud hi kahaa ki jo dil me aaya wo likh diya... aur dil ka likha kabhi kharaab nahi ho sakta... dil se nikli awaaz chaahe dard me ho chaahe mohabbat me ya chaahe dosti ke liye , hamesha shresht hoti hai... dil se nikle awaaz ki koi tod nahi hoti.... bahut hi pyaara jawaab likha hai aapne... aur iske jawaab me humne bhi keyboard pe apni ungliyaan chala di... jaane kya ban pada hai...



ek baar fir tum is jahaan me muskurake to dekho,
kisi apne jaise hamsafar se dosti karke to dekho,

itni bhi badtar nahi hai ye duniya mere dost,
ek baar is jahaan ko firse chaahkar to dekho,

kya hua agar ghum ke ghane baadal chhayen hain har taraf,
ek baar un baadlon se baraste paani me bheegkar to dekho,

kya hua agar rab zaruraton ke hisaab se khushiyaan deta hai,
ek baar sachche dil se usse thodi aur khushi maang kar to dekho,

kehte hain log uske ghar me der hai andher nahi,
ek baar us bhagwaan pe tum aetbaar karke to dekho,

maante ho tum ki bahut ho chuka ab maayusi ka daur,
aao, aake ek bar hamaari dosti azmaa kar to dekho...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:53:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer