#######chale aaye #######

by phoenix on August 10, 2006, 05:44:36 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1808 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: August 21, 2006, 07:51:48 AM »
wah kay abaat hai Phoenix, bahoot khoob likha hai apne....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zindagi ne pukara, chale aaye hum by ajnabee22 in Shairi - E - Zindagi
Khud sawal ho chale aaye by medha_jain3 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chale aaye aazmane....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
khumari liye maikadon se paimane chale aaye hain,,,,sunil by sunildehgawani in Shayri for Khumar -e- Ishq
chale aaye....... by sanjayudas in Shayri for Khumar -e- Ishq
ranjana
Guest
«Reply #16 on: August 21, 2006, 08:16:18 AM »
Quote from: "phoenix"
har lamhe ek ehsaas lekar aata hai
ye paani bhi aajkal ek aag lekar aata hai
hum sun nahi paate jin aawazon ko
ye hawa ka jhoonka bhi kuch aise saaz lekar aata hai

kabhi tham jati hai dhadkane
kabhi behta hai paani aankho se
kuch toh khata thi meri bhi
aati hai ye sada bhi ab toh andhero se

ruk ruk k utth te hain kadam fir rukne k liye
aise hi mood par aaj mein nikal aaya hun
agar ho mumkin to bhula dena mujhe bhi
ek bura sapna hun ek dard ka saaya hun


bahut khoob likha hai Nitesh ...........


kisko apne dil ke dard ab hum sunaaye
yeh dastaan hai woh jo kabhi bhul nahi hum paayae

ek tadap se sulagta raha zindagi ka andhera
aankho mein ghirate rahe bas unki yaado ke saaye

chhip chhip ke rota hai aaj bhi yeh dil tanhaiyon mein
kaun hai ab ji hamaare zakahamo per marham lagaaye

na jaane mann ataka thaa kis moh ke jaal mein
kuhd apne hi haatho se le liye hamne dard paraaye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: August 21, 2006, 08:20:57 AM »
duniy akahti hai ki usko bhool ja
waqat ki khushi mai jhool ja
kis tarah dunia ko yah samjhau
kaya hai is dil mai kaise batlaau

murat wo is dil se kahin nahi jayegi
mout ke sath hi, judai yah ho apyegi
juda mujse wo hai, mai to juda nahi
payaar mera sucha nahi, ya phir koi khuda nahi
Logged
phoenix
Guest
«Reply #18 on: August 21, 2006, 06:37:30 PM »
thnx pooja ji and ranjana ji gr8 replies
Logged
phoenix
Guest
«Reply #19 on: August 21, 2006, 06:47:59 PM »
mukaamal kuch bhi nahi raha ab toh zamane mein
maut bhi nahi aati ab to bulane pe
ji rahe hai hum to ek zise zamane mein
jahan mol lagte hain dil k har maikhane mein

rakh ko milti hai chingari jahan chandi k aane se
ban jaate hai gum bhi phul jahan uske muskurane se
wahin ujda hai karwan mera wahi par hai kabr meri
ho sake toh aa jaana rasta bhatakar us veerane mein

kuch cheezo.n k nishan milenge
kuch sukhe se armaan milenge
kuch shabd milenge adoore se
aur kuch lamhe milenge aanjane se
Logged
phoenix
Guest
«Reply #20 on: September 12, 2006, 06:44:31 PM »
hijr ki raato.n mein aarmaan dafan hote dekha hai
humne bhi galti se khud ko tabah hote dekha hai

rukh ho gaya hawao.n ka mere aashiyane ki taraf
kuch is tarah toofano ka aandaz badalte dekha hai

jo lehre laati thi kabhi chehre par cheente taazgi k
unn lehro k beech khud ki kashti ko dubte hue dekha hai

jahan suraj karta tha istakbal shaam savere
wahin humne aag ko ghar baanate dekha hai

aayi hain duriyan kuch iss kadar takdeer se
ki haaste haaste sehne wale ko aaj rote hue dekha hai
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:16:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer