chaley aanaa

by husain52 on April 18, 2005, 12:59:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1147 times)
husain52
Guest
Mein tum ko buhat aane lagoon jab yaad, chale Aana
Bhool jaana apni kahi har baat, chaley aanaa

Judaai ka woh lamha aur woh manzar dhaltey sooraj ka
Yaad tum ko jab aaney lagey woh shaam, chaley aanaa

Bhool jaao tum agar manzil kabhi apni
Uthana apney qadam phir meri taraf , chaley aanaa

Had sey guzar jaaye jub mera zabt-e-ghum
Aur mein pukaaroon tum ko baar baar, chaley aanaa


Us kay bin jeene ka ab tasawwur nahee
Meri mot ka gar tum ko miley payaam, chaley aanaa   (NM)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2005, 01:07:32 PM »
Wah husain sahab...........bahut acche.....touching yaar!!!
Jab tanha ho tum jeewan mein, koi sath bhi nahi,
Hum tab bhi tumhare hi honge, chaley aana.........
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: April 18, 2005, 01:11:03 PM »
nice one hussian bhai ..........................

Raat ko sotey huey tujhe sochta hooN
gar aaye kabhi tumey mera khayal , chley aana
Logged
husain52
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2005, 02:20:56 PM »
thax humtum and thycreator

Hazaar khushiyan kam hai teri judayee ka gham bhulane ke liye
yeh ek gham kafi hai zindagi bhar rulane ke liye
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: April 18, 2005, 02:25:55 PM »
wah wah husain ji.....gud one,
Teri iss yad ko ab dil se bhulaya nahi jata,
Itna roya hu ki ab ashk bahaya nahi jata,
mitana chahta hu teri har ek bat iss dil se,
par chah kar bhi tera pyar mitaya nahi jata..
Logged
husain52
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2005, 01:22:23 PM »
thax thycreator and nice lines bohot khoob

meri zindagi mujhe yeh kis raah par le aayee,
jo phoolon ki sez samjhe the,
woh katon ka safar nikla,
mujhe usko samajhne mein yeh kaisa dhokha hua,
usko pyar ka masiha samjha,
magar woh bewafa nikla.........
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2005, 02:23:31 PM »
Quote from: "husain52"
thax thycreator and nice lines bohot khoob

meri zindagi mujhe yeh kis raah par le aayee,
jo phoolon ki sez samjhe the,
woh katon ka safar nikla,
mujhe usko samajhne mein yeh kaisa dhokha hua,
usko pyar ka masiha samjha,
magar woh bewafa nikla.........


Thanx Husain ji n well written too......
Mehboob ki yaad hame har ghadi satati hai,
Jitna bhoolna chahu usko, utna yaad aati hai,
Kya karu ab tu hi bata mujhko mere khuda,
Ab toh saans bhi bas uska hi naam lati hai...
Logged
husain52
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2005, 02:51:22 PM »
thax thycreator and again good one

saal beete dil se mere ja na paye tum
Shaam ki tanhayee main phir yaad aaye tum


har subah paya tumhein khayalon main apne paas
raton ko khuwaboon main mere muskoraye tum
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2005, 02:56:06 PM »
Wah Husain ji.............bahut khoob kaha,
Uss bewafa ki tasveer in aakhon mein basaayi hai,
Jitna dur usse karo, utna najdeek aaayi hai,
Tamanna ki thi mita du uska naam iss dil se,
Magar ab toh wo lahoo ke har katre mein samayi hai.
Logged
husain52
Guest
«Reply #9 on: April 21, 2005, 12:17:47 PM »
wah kya baat hai  thycreator ji

aaj bhi meray kadam bahakay say hain
teray intezaar mein nayan jaagay say hain
yeh aur baat hai meri ankhon ki laali mein
teray diye dard chalakay say hain...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: April 22, 2005, 03:46:27 PM »
Quote from: "husain52"
wah kya baat hai  thycreator ji

aaj bhi meray kadam bahakay say hain
teray intezaar mein nayan jaagay say hain
yeh aur baat hai meri ankhon ki laali mein
teray diye dard chalakay say hain...


Thanx husain ji n gud one........
Mere mehboob ke ulfat ki kasak dil mein jagi hai,
Uski yaaden meri neend sukh o chain le bhagi hai,
Koi usko jake batlaye ki hum jinda hai ab tak bhi,
Unke lautne ki aas ab tak bhi dil mein lagi hai....
Logged
husain52
Guest
«Reply #11 on: April 23, 2005, 12:43:31 PM »
thax thycreator

dil main har lamha tere khayal ka musam
teri chahat teri yaadein tere intezar ka musam

mehsoos karta hoon tujhe tanhaai main ais tarha
har ghadi aas paas tere pyaar ka musam

tasweer teri basti hai nazaron mai meri
kholi aankhon main jaise tere khuwaabon ka musam

darta hoon koi jaan na le raaz mere pyaar ka
har ghadi chehre pe chaya hai teri rangat ka musam
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:40:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer