chalte chalte

by lost_soul on February 22, 2005, 10:34:23 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1070 times)
lost_soul
Guest
Hum badi door chale aaye the chalte chalte,
hum gayi badi door ab kaise sambhalte.
jab hua ehsaas e mohabbat to yeh paaya humne ,
har ek jazbaat e mohabbat ko deen samajh ke nibahaya humne.
aapke dil ki shama jalaane ke liye , khud ko kai baar bujhaya humne .
yaad mein teri aye humdum mere , aankh hi nahi rooh ko bhi rulaya humne .
aapki yaad mein yeh moti ab bhi hain baraste
hum badi door chale aaye the chalte chalte
....
fir jab hosh aaya to yeh khayaal aaya ,
humne dil ko aur dil ne humko samjhaya .
hum zameen to asmaan tum ho, kahaan hain hum aur kahaan tum ho .
andhera hum hain noor e jahaan tum ho ,
siah raat hum ujli subaah tum ho .
bujh jayenge yeh armaan bhi jalte jalte
hum badi door chale aaye the chalte chalte

yeh farq ab samajh mein aaya hai aur humne ab is dil ko bhi samjhaya hai
humaare saath chal kar tum kya payogay humaari veeraaniyoon mein gum ho jayogay .
apne saath kaise aapko bhi sisakne dete
hum badi door chal;e aaye the chalte chalte

ab rishtaa wafa ka kuch yun nibhayenge hum
ki aapke dost , sirf dost ban jayenge hum
wafa ab bhi karenge har mod par tumhaare saath mein,

yaad tumhaari aayegi ab bhi har ek baat mein
bass tumse umeed e wafa ka khayaal chhor denge
zindigi ka rukh ab hum kuch yun mod lenge
tum kisi aur ko chaho to bhi chup chaap sahenge
tum hamare na sahi hum sada tumhaare rahenge
paraya hone denge ab tumko hanste hanste
hum badi door chale aaye the chalte chalte
Ab rishtaa wafa ka kuch yun nibhayenge hum
ki aapke dost , sirf dost ban jayenge hum .....I miss U...Y did u leve me
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chalte Chalte... by eesha in Shayri-E-Dard
Chalte Chalte..... by angel4u in Shayri-E-Dard
Chalte chalte by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Chalte chalte by rajrishi in Shayri for Dard -e- Judai
chalte chalte by abdulqadeer in Ghazals
tanhaiye
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2005, 06:33:14 PM »
thats briillant but lagtha hai hum donno ki kahaani ek hi hai.... anyway good shairy
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 22, 2005, 06:37:34 PM »
har dard ki kahani ek si lagati kayun hai
her ek dard ki baty, apni si lagati kayun hai
jis bhi dil mai yah dard basta hai,
wo ankhy ek si nam lagati kayun hai!!!!!
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2005, 06:51:09 PM »
good all


dard auro ke bhi kyo apne se lagte hai
wo kahte hai hame gair fir bhi  apne se lagte hai sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2005, 07:22:02 PM »
wo kahty hai khud ko paraya!!!
phir bhi unki muskurahat muje hansati hai
uke ankho ke ansoo, meri nind uraty hai
unki ek ahh, mera din raat bachain banati hai!!!!
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2005, 07:30:50 PM »
Quote from: "Pooja"
wo kahty hai khud ko paraya!!!
phir bhi unki muskurahat muje hansati hai
uke ankho ke ansoo, meri nind uraty hai
unki ek ahh, mera din raat bachain banati hai!!!!


nice words pooja ji
aap to hamesha bahut khoob hi likhti hai
Logged
Princess21
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2005, 08:11:47 PM »
Hmmm...
Tum ne buhat acha likha hai....BUhat nice...!!
Logged
Arifa
Guest
«Reply #7 on: February 22, 2005, 08:44:37 PM »
superbbbbbbbb all


pyaroo ki yaad dilati hain aankhe aansuoo se
dil ko phir roolati hain aankhe aansoo se
yaad karti hoon jaab guzre lamhoo ke pal
mujh ko sabr dilati hain aankhe aansoo se
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 22, 2005, 08:53:04 PM »
Quote from: "main_aisa_hi_hoon"
Quote from: "Pooja"
wo kahty hai khud ko paraya!!!
phir bhi unki muskurahat muje hansati hai
uke ankho ke ansoo, meri nind uraty hai
unki ek ahh, mera din raat bachain banati hai!!!!


nice words pooja ji
aap to hamesha bahut khoob hi likhti hai


Shukariyan MAHH JI....

Jo zindagi ne dikhaya,
bas unhi ko shabdo mai piroti hu
kabhi hansti hu, aor kabhi roti hu!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 22, 2005, 09:06:39 PM »
Nice one Arfia...

uski yaanden ab rulati nahi
ki ansoo bhi mujse door ja chuke hai
bas intzaar ankho mai ek kasak uthata hai
aor dil kahta hai, Sabar, wo ayegy jaroor!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: February 22, 2005, 09:17:34 PM »
Quote from: "Pooja"
Nice one Arfia...

uski yaanden ab rulati nahi
ki ansoo bhi mujse door ja chuke hai
bas intzaar ankho mai ek kasak uthata hai
aor dil kahta hai, Sabar, wo ayegy jaroor!!!!


aareeee...

ik intazaar saa thaa ab nazar mein vo bhii nahiin
safar mein marane kii fursat thii ghar mein vo bhii nahiin


HumTum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 22, 2005, 09:23:04 PM »
marna hai asaan, aor intzaar mushkil!!
marane mai hai sirf, Ek saans aor dum nikla
Intzaar ki her saans mai dard nikala!!!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: February 22, 2005, 11:16:35 PM »
Quote from: "Pooja"
marna hai asaan, aor intzaar mushkil!!
marane mai hai sirf, Ek saans aor dum nikla
Intzaar ki her saans mai dard nikala!!!!


wahi to....

Tere vaadey pe jiye to yeh jaan juth jana..
khushi se mar na jatey , gar uss per aitbaar hota....

HumTum
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: February 23, 2005, 12:20:59 AM »
CHALTE CHALTE ZINDGI MEIN AIK MORR AYA
JAHAN S PHIR ZINDGI KO MEIN WAPIS LOUT AYA
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:10:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.634 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer