<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 30, 2010, 05:01:20 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2190 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>


Lakeeron se maine apna hath saja liya
Tu na mila to maine in hathon ko jala diya

Tere naam se sajte rahe the mere din aur raat
Ek teri baat ne mujhe tanhaoyon se mila diya

Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha
Jab tumne hathon se mere kangan hata diya

Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi
Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya

Dekh duaon ka chaan fir se manga tha kal raat tujhe
Lekin khuda ne aaj mujhko dua ka ye sila diya

Ab na koi khwaish na koi umang reh gai jeene ki
Maine khud ko ab chalti firti ek laash bana diya...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya kya bana diya by Bhavesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
tanha bana diya by jh in Shayri for Dard -e- Judai
Pathar bana diya mujhe rone nahin diya ... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
bana diya(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shayar Bana Diya by ~Hriday~ in Share:Love Poetry
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: September 30, 2010, 06:24:40 PM »
bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji.. par dard bahut hai... is tarha maayus nahi huwa karte.. duniya bahut badi hai... bindaas tension free rehne ka... kisi ko hamaare khushi ki parwaah nahi to humein bhi nahi sochna chahiye... haste muskuraate rehne ka naam hi zindagi hai... enjoy life and frastuuu nahi hone ka.. kya...


kisi ke chale jaane se dukh bahut hota hai,
par uske jaane se saanse nahi tham jaati ye sach hai,

haathon ki lakeeron me hi apni kismat hoti hai,
par bina haath waalon k bhi kismat hoti hai ye sach hai,

kisi ke chale jaane se tanha ho jaate hain hum,
par tanhaayiyon me saaya saath hota hai ye sach hai,

zakham ke chhalon pe jalan to bahut hoti hai,
par wo chhalen jald bhar jaate hain ye sach hai,

ashkon se hum apni duniya sajaa lete hain,
un ashkon ko mitaane waale mil jaate hain ye sach hai,

jaruri nahi ki har duwa maaangte hi poori ho jaaye,
duwa qubool hote hain par unke roop badal jaate hain, ye sach hai,

kisi ka saath chhoot jane se jeene ki ummeed nahi chhoda karte,
zindagi me saath nibhaane ke liye koi mil hi jaata hai, ye sach hai...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: September 30, 2010, 07:39:36 PM »
Bahut achha Kasak ji...

jo lut gaya makaam wo khaali nahin tha... ek kone mein teri yaadein sambhalkar rakhi thi... aur ek taraf tera ehsaas... wo bhi tu mujhse chheen le gaya...

na aansu baha na fariyaad kar "kasak"...  sambhaal kar rakh use  khud mein kahin... !

Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: September 30, 2010, 08:30:40 PM »
KaSAK ........... bhut khoob bt

Bhut dard hai
Aur yeh dard
Bhut sard hai ..

Keep smiling Dear !!!!

Cheer up

Logged
Gudiaa
Guest
«Reply #4 on: September 30, 2010, 10:58:29 PM »
<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>


Lakeeron se maine apna hath saja liya
Tu na mila to maine in hathon ko jala diya

Tere naam se sajte rahe the mere din aur raat
Ek teri baat ne mujhe tanhaoyon se mila diya

Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha
Jab tumne hathon se mere kangan hata diya

Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi
Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya

Dekh duaon ka chaan fir se manga tha kal raat tujhe
Lekin khuda ne aaj mujhko dua ka ye sila diya

Ab na koi khwaish na koi umang reh gai jeene ki
Maine khud ko ab chalti firti ek laash bana diya...!!!

Mind Blowing creation Kasak Ji .. har ek sher dil tak pahonch gaya ... Itana Dard ... aur itani maayoosi samet ke bhi  .. kitani khoobi se aap ne usse shabdo mai bayaan kar diya .... very well written .. Ye to hui aap ki rachana ki tareef ..

Ab aate hai is kalaam ke ehsaason par ... Ehsaas dil dukhaa gaye .. Waise hum maante hai ki Likhane waale ke dil ka aaina hota hai unki likhi rachanaa ... hum maante hai ki har baar ye baat sach nahi hoti .. par jyaada tar sach hoti hai ..

Aap ki kalaam mai bahot dard nazar aaya .. hum bas yahi duaa karenge ki .. Bhagwaan Ji gum ke baadal hataa ke jaldi hi khushiyon ki barsaat barsaaye ... pyaar aur ..khushi se aap ka jeevan mahekta rahe ... yahi duaa hai aap ke ehsaason ke liye .. aur aap ke kalaam ke liye ek baar fir se daad humaari taraf se ...

Bhagwaan Ji aap ko har khushi de,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe
Logged
kam15
Guest
«Reply #5 on: October 01, 2010, 02:06:54 AM »
dard ne apke hamko rula diya
har dard kam hai tere  is dard ke samne ,
shabd hi jariya ban jate hai
jo dil ka dard km kar pate hai,
isi tatarah dard cala jayega
phar uske bad hi jeene ka maja ayega;
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: October 01, 2010, 06:41:27 PM »
Kasak Jee Aadaab!

Aapki is instantly creation ke sahi ashaar behad khoob hai Kasak jee.....

Par yeH do ashaar umdaa tareen soch ko behad umdaa tarikhe se bayaaN bhi kiya hai......

Hat's off for First one......           



<>*Chalti firti ek laash bana diya*<>




Gehri nahin thi chot par dard bht hi tha
Jab tumne hathon se mere kangan hata diya

Ashkon k daaman me baithe rahe the hum bhi
Logon ne magar naam se tere chhat pe bula diya

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 01, 2010, 07:17:20 PM »
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Anuji..Dard Se Bhari Yeh Peshkash Naa jaane main kitni baar Padh  Chuka hoon,Bahut khoobsrat Jazbaat pesh kiye hai aapne..abhi to mobile se reply kar raha hoon,kal aapke saath is par kuch likhne ki koshish zaroor karunga..

Tooooooooo goood Anuji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: October 01, 2010, 07:19:40 PM »
i will b waiting eagerly for ur poetic reply on this post khwaish ji......
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: October 02, 2010, 06:07:00 AM »
Anamika Ji.. Pahala Jumla Hi Beintehaan Khubsoorat Hai.. Dard Bhari Yeh Peshkash Dil Ko Chhoo gai.. Lafzon Ka Chunaaw Bhi Behad Lajawab Hai.. Yehi Is Qalaam Ki Khubsoorati hai.. Bahut Bahut Khooob.. Applause Applause

Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 02, 2010, 07:33:42 AM »
bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji.. par dard bahut hai... is tarha maayus nahi huwa karte.. duniya bahut badi hai... bindaas tension free rehne ka... kisi ko hamaare khushi ki parwaah nahi to humein bhi nahi sochna chahiye... haste muskuraate rehne ka naam hi zindagi hai... enjoy life and frastuuu nahi hone ka.. kya...


kisi ke chale jaane se dukh bahut hota hai,
par uske jaane se saanse nahi tham jaati ye sach hai,

haathon ki lakeeron me hi apni kismat hoti hai,
par bina haath waalon k bhi kismat hoti hai ye sach hai,

kisi ke chale jaane se tanha ho jaate hain hum,
par tanhaayiyon me saaya saath hota hai ye sach hai,

zakham ke chhalon pe jalan to bahut hoti hai,
par wo chhalen jald bhar jaate hain ye sach hai,

ashkon se hum apni duniya sajaa lete hain,
un ashkon ko mitaane waale mil jaate hain ye sach hai,

jaruri nahi ki har duwa maaangte hi poori ho jaaye,
duwa qubool hote hain par unke roop badal jaate hain, ye sach hai,

kisi ka saath chhoot jane se jeene ki ummeed nahi chhoda karte,
zindagi me saath nibhaane ke liye koi mil hi jaata hai, ye sach hai...


Bahut Bahut Khoob Kapilji..

Khaas Kar 2nd Last Sher To Bahuttttttttt Pasand Aaya,Bahut Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 02, 2010, 07:38:17 AM »
Bahut achha Kasak ji...

jo lut gaya makaam wo khaali nahin tha... ek kone mein teri yaadein sambhalkar rakhi thi... aur ek taraf tera ehsaas... wo bhi tu mujhse chheen le gaya...

na aansu baha na fariyaad kar "kasak"...  sambhaal kar rakh use  khud mein kahin... !



Bahut Ache Intezaar Ji... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: October 02, 2010, 07:40:03 AM »
dard ne apke hamko rula diya
har dard kam hai tere  is dard ke samne ,
shabd hi jariya ban jate hai
jo dil ka dard km kar pate hai,
isi tatarah dard cala jayega
phar uske bad hi jeene ka maja ayega;


Bahut Khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 02, 2010, 10:11:19 PM »
bahut bahut shukriya Khwaish ji...!!!


Bahut Bahut Khoob Kapilji..

Khaas Kar 2nd Last Sher To Bahuttttttttt Pasand Aaya,Bahut Ache

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 03, 2010, 12:16:01 PM »
i will b waiting eagerly for ur poetic reply on this post khwaish ji......

thankyou sooooooo much for That eagerness Anu ji.. icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:21:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer