chand tanha hay

by Pooja on November 23, 2005, 04:21:10 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 30
Print
Author  (Read 23464 times)
Pooja
Guest
«Reply #180 on: April 11, 2006, 03:01:35 PM »
hum hai yahin, hum kahan jayegy
kuch aa gay hai kaam, poora karty hi chale ayegy
app likhty rahe ki hum roj parne atty hai
jaise hi milta hai waqat jaladi mai likh kar bhag jaaty hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chand Tanha Hay ... by RamSagar in Ghazals
tanha chand by chitralsony in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #181 on: April 11, 2006, 03:13:13 PM »
Bahoot hai post yahan aor akeli yah jaan
her koi chahe padu mai, aor du kuch jawab
her ek ki baat to pooja rakh nahi sakti
phir bhi karati hai koshish, ki pichy to wo hat nahi sakti

jab bhi atti hu, hamesha likhti hu, isse to inkar na kar
app likhty jao ajj, mai bhi likhti hu bar bar wapis akar!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #182 on: April 11, 2006, 03:27:38 PM »
app to lagta hai naraj ho gaye
dost samjh kar kari dil ki baat
aor lagta hai ki apke gunhgaar ho gaye!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #183 on: April 11, 2006, 04:22:27 PM »
Quote from: "majid"

bohat charche hai aajkal tere.
isiliye tu pad nahi sakti post mere.
wada raha pooja tumse
ek deen tum khud dhundhti reh jaogi post mere


hum tere post padna chahenge.
taaki aapko khushi mil jaaye.
swagat hai dost tera dosti ke liye
teri post ke dher saare jawab aaye.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #184 on: April 11, 2006, 04:27:46 PM »
Tanha chand ko bhi shikayat hogi
Tanhaai ki bhi ek riwayat hogi
Her dard ko samjhaty rahe hum
Issi tarah se zindagi bitaty rahe hum!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #185 on: April 11, 2006, 04:39:48 PM »
Quote from: "Pooja"
Tanha chand ko bhi shikayat hogi
Tanhaai ki bhi ek riwayat hogi
Her dard ko samjhaty rahe hum
Issi tarah se zindagi bitaty rahe hum!!!


chand tanha ab nhi ki taare uske saath hai.
dard hum sahte hai kyn ki dard mein jasbaat hai.
zindgi ko ab to hum chor bhi nhi sakte yaroon
kya batau ki kaise ye bewafaa haalat hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #186 on: April 11, 2006, 04:58:24 PM »
wah kaya baat hai…

kabhi halat to kabhi wo bewafa ho gaye
aor hamesha ki tarah, humse juda ho gaye
shikayat kare bhi kaise karty doston
wo apne rahe kaha, wo to paraye ho gaye!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #187 on: April 12, 2006, 10:30:05 AM »
Quote from: "Pooja"

kabhi halat to kabhi wo bewafa ho gaye
aor hamesha ki tarah, humse juda ho gaye
shikayat kare bhi kaise karty doston
wo apne rahe kaha, wo to paraye ho gaye!!!


Simatte jaa rahe saagar yu
ab to wo saray wo gaye.
gila nhi raha mahboob s koi bhi,
gila aapno se karte hai aur.. wo paray ho gaye.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #188 on: April 12, 2006, 02:49:50 PM »
Apno mai paraye ho gaye, parayo mai ajnabi ho gaye
Kismat ka khel dekh rahe hai, kaise tamashaai ho gaye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #189 on: April 12, 2006, 02:59:55 PM »
wah kaya baat hai majid, bahoot khoob likha apne!!!

Na mang kuch bhi ki bari inaayat hogi
Is dard mai bhi hai Muhobaat,
Yah baat tumko bhi kisi ne to samjhai hogi
Mera dard hi meri muhobaat ban chukka hai
Ab isse bhi hui judai, to kayamat hogi!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #190 on: April 12, 2006, 03:31:25 PM »
wah kaya baat hai....

Talab ek dard ki hai nagari,
her duger iski hai jahrillii
kab uatr jaaye yah nas nas mai
yah na main jaanu na wo jaane

samjhaya bhi na jayega
samjha bhi na jayega
bahta rahega ashqo mai
mai to sirf itna hi jaanu!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #191 on: April 13, 2006, 06:17:22 AM »
Teri bewafa hone ka shack subaah tha mujhe,
Par behaya bhi hai iss-se iska itlah na tha mujhe,
Teri bholi surat aaur baaton pe har baar Qurbaan huein hum,
Shayad dil masoom tha aaue bahut Naadan they hum!!

Tanhai mein baithe hue jab sochta hoon kuchh likhun,
Tab gamon ki dhaara samne se GuZar Gah ho Jaati hain..
Khushi ke do labz bhi zuban tak nahin aatey
Harr Shayari meri Gum ke shabdon se bhar jati hain!!!

Teri tanhai ki kashish khinch layee hai mujhe tere paas,
kaheen pyar ko pane ki hai mujhko bhi abhei aas
Kaash ke tumne mujhe dil mein basa liya hota
Kabhi Tootne nahi deta gar kartey mere Vishwass!!

Chaltey janaa hi bas ek zindagi ka MaQsad hai !
Aaj Jo door dikhta hai kal wahan mera painaam hoga
Meree rooh se judaa teri bhi ye zindagi ka safar hai
Aaj Jo tere saath hai kal wo bhi tujhse door hoga !!

Kabhi ek bund ko bhi tarashta hai insaan
aur kabhi bundon mein garajta bhi hai insaan
Harr na-mumkin, mumkin hain iss Jeevan ke safar mein
Kabhie Kabhie binn bundon ke bhi Jhulasta hai insaan.

Ai Khuda tu loggon ko aaisi Khudai na dey
Magroor ho jayein itne ke apne siva koi aaur dikhayee na dein
Kuda mujhe to tu aaisii khudi dena
Sadaa harr kashtiyon kee sunaii de mujhe harr raina
fhir khudai to ek ehsaas ka naam hai Jo pass rehkar bhi dikhayi na dein!!

Paraye hain logg yahan, mera ghar jala kar, sajaa rahien hai sapne..
Inn sapno mein mujhko abb aitbaar na raha
Kahne ko to sapne sabkey aapne aapne hotein hain
Magar mujhko abb sapno waali duniya se pyar na raha!!

Gum-e-dil sunatein hain kabse alankar-o-chandon ke sahare
ye dil to harr shayari ke baad tanha hai
Sitaron se ghira hai aasmaan jahan takk
wahan takk chand fhir bhi Tanha hai !!!!!!!


{A bit Excrepts from sumone else's work too}
Logged
Pooja
Guest
«Reply #192 on: April 13, 2006, 03:12:49 PM »
wah neer kaya baat hai!!! bahoot khoob!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #193 on: April 13, 2006, 03:58:27 PM »
hmmmmm.   Goog  gioun Pooja sisa.  nirbhya..  Majid........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #194 on: April 14, 2006, 04:22:00 AM »
Dil se jab bhi awaz koi aai
tanhaai hi di mujko sunai
chalo ajj phir tumko yaad dilaty hai
app ajj bhi yah dil dharkaty hai
ansoo ajj bhi galo per bikhar jaaty hai
apke naam se ajj bhi hum sharmaty hai
mana bahoot andhera hai meri rahon mai
phir bhi umind ki jayot jalaye jaaty hai
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:56:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer