chand tanha hay

by Pooja on November 23, 2005, 04:21:10 PM
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30
Print
Author  (Read 23611 times)
Tosha
Guest
«Reply #420 on: September 19, 2006, 06:44:39 AM »
Quote from: "ashribad4bam"
Do pyaar karne walo se log jalte hain,
tarah-tarah ki batein karte hain,
jab Chaand aur Suraj ka hota hai khulkar milan
toh use bhi log Grahan kahete hai....


kya baat hai Shocked
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chand Tanha Hay ... by RamSagar in Ghazals
tanha chand by chitralsony in Shayri for Khumar -e- Ishq
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #421 on: September 24, 2006, 10:11:26 AM »
Jard patte hi jab hawa dene lage,
Dushman bhi jeene ki dua dene lage,
Had se guzar kar gum hi apne,
Mujhko meri manzil ka pata dene lage,
Raahjan hi rahbar ban gaye ' Simon'
Ashq hi zakhm ki dawa dene lage ...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #422 on: September 24, 2006, 01:00:20 PM »
Quote from: "ashribad4bam"

Do pyaar karne walo se log jalte hain,
tarah-tarah ki batein karte hain,
jab Chaand aur Suraj ka hota hai khulkar milan
toh use bhi log Grahan kahete hai....


bahut aache ji.....

do pyaar kerne walo se zamana humesha jalta hai.
isisliye to chand aur.. suraj ko bhi salon juda rehna padhta hai.
duniya ki nazar na lag jaaye dono ke milan ko
isiliye to grahan mein andhera ho jaata hai.
kam se dono ka milan to ho jaata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #423 on: September 25, 2006, 09:42:49 AM »
tanha raato ki tanha soch
kayun payaar ban gaya ek bojh
kaha manjil ka rasta badal gaya
kayun badal gai waqat ke sath wo soch....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #424 on: September 25, 2006, 10:30:48 AM »

Safar-e-zindagi bada tanha sa lagey,
Raat ka yeh manzar bhi tanha tanha lagey,
Baat karti hoon main aainey sey,
Aainey mey tanha sa ek aks miley.....

Shaam gumsum sii ho jaati hai us pal,
Suraj jaa kar jab parvat ke paar dhaley,
Rotii hai tab raat shabnam ke aansu,
Jab Jab aakash mey tanha chand miley....
[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #425 on: September 25, 2006, 10:49:56 AM »
good one Shikha...

tanha raat main, ansuo ka sath
yaad us lamhe ki, jab juda hua sath
yaad nahi kis baat se hui thi shuruwaat
juda ho gai rahein, na rahi hum main wo baat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #426 on: October 11, 2006, 05:34:55 AM »

Suno.....
Naaraz Ho HuMse???

Magar HuM Wo Hain Jin Ko To Manana Bhi Nahi Aata,
Kisine Aaj Tak HuMse Mohabbat Jo Nahi Ki Hai,

Mohabbat Kis Tarah Hoti Hai?

HaMare Shaher Ki Galiyon Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka,
Aur Is Sheher-Pareshan Ke Gulshan
Sukhe Gulabon Se Bhari Thi,
Aur Un Mein Na Khushbu Thi Na Kio Phool TuM Jaisa,
Mehak Uthti HaMari Dil Ki Dhadkan Jiski Qurbat Se,
HuM Aise Sheher Ki Sunsaan Galiyon Mein,
Kisi Sukhe Hue Veeran Patte Ki Tarah Se The,
Ke Jab ZaliM Hawa HuM Par QadaM Rakhti,
To Uske Paanv Ke Niche HaMara DaM Nikal Jaata,
Magar Patjhad Ka Wo MausaM,
Suna Hai Tal Chuka Ab To,
Magar Jo Haar Honi Thi
So Wo To Ho Chuki HaMari,

Suno......
Haare Hue Logon Se To Rootha Nahi Karte...
* * * * *
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #427 on: October 12, 2006, 12:31:34 PM »
Quote from: "angel4u"

Suno.....
Naaraz Ho HuMse???

Magar HuM Wo Hain Jin Ko To Manana Bhi Nahi Aata,
Kisine Aaj Tak HuMse Mohabbat Jo Nahi Ki Hai,

Mohabbat Kis Tarah Hoti Hai?

HaMare Shaher Ki Galiyon Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka,
Aur Is Sheher-Pareshan Ke Gulshan
Sukhe Gulabon Se Bhari Thi,
Aur Un Mein Na Khushbu Thi Na Kio Phool TuM Jaisa,
Mehak Uthti HaMari Dil Ki Dhadkan Jiski Qurbat Se,
HuM Aise Sheher Ki Sunsaan Galiyon Mein,
Kisi Sukhe Hue Veeran Patte Ki Tarah Se The,
Ke Jab ZaliM Hawa HuM Par QadaM Rakhti,
To Uske Paanv Ke Niche HaMara DaM Nikal Jaata,
Magar Patjhad Ka Wo MausaM,
Suna Hai Tal Chuka Ab To,
Magar Jo Haar Honi Thi
So Wo To Ho Chuki HaMari,

Suno......
Haare Hue Logon Se To Rootha Nahi Karte...
* * * * *


bahut aache angel ji......

alam dekhne chale thay hum ishq ki raah ka.
bas alm hi milta hai ab to humein chaah ka.
ishq mein dard sehte hue logo se ye fariyaad hai.
dard ki chaah mein ishq karo kyn ki humse hi ishq aabad hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #428 on: October 13, 2006, 03:53:23 AM »
good one Angle and bahoot khoob dost kavi ji....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #429 on: October 13, 2006, 08:42:32 PM »
              bahut khoob

 chahaten itani hai tujhse jaana tere jaane ke baad
hans sake na ro sake ham bas tere jane ke baad

dam b khud se rah gae yun jaan jaise ho gai
dil kabhi dhadka nahi apna tere jaane ke baad

roshani se nafraten hain ham ko kuchh na dekhna
baqi kya hai dekhna ab bas tere jaane ke baad

tujh se ladte the hamesha jab yahaan tha janeja
pyar itna tujh se hai jaana tere jaane ke baad
             
Logged
Pooja
Guest
«Reply #430 on: October 20, 2006, 05:26:02 AM »
Chahat apni ka hi aitbaar nahi
Kaise kah de ajj bhi tujse payaar nahi

Her hansi mai, teri hi muskaan hai
Her dard per, tera hi naam hai

Yaandon teri main, gusse ki agg hai
Wo baton teri main, sirf jhooth ka saaz hai

Chand ki chandini bhi sirf ab dhoka hai
Jakhmo ki daldal ne, ajj phir dard roka hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #431 on: August 27, 2007, 06:19:54 PM »
Ajeeb kash-m-kash hai
Jeena bhi mushkil aor marna bhi

Ajeeb dil-e-halat
Tujh sung rahna mushkil aor tujh bin bhi

Ajeeb muqdar ka kheil
Tu nahi mera aor mere dil main mera bhi

Ajeeb yah Teri Pooja
Sirf teri he aor teri he
Logged
Pooja
Guest
«Reply #432 on: March 19, 2008, 04:49:13 PM »
Tanhaai dasti hai ek naag ki tarah
Chandini barsi hai, ek agg ki tarah
Chand chup ja kahin jakar tu bhi ajj
Armano ki chita jali hai, ek zinda lash ki tarah!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #433 on: April 04, 2008, 07:27:51 AM »
Bahut achha laga itni purani post waapas dekhke ...
It was good reading you all ...
Keep it up ...
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #434 on: April 04, 2008, 12:33:42 PM »
Taaron ke Beech tanha chand
Bheed mein khada insaan
kyon akela ho jaata hai
apno ke he beech mein...
Logged
Pages: 1 ... 25 26 27 28 [29] 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:27:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer