chand tanha hay

by Pooja on November 23, 2005, 04:21:10 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 30
Print
Author  (Read 23907 times)
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #60 on: March 14, 2006, 02:08:20 PM »
Wow ...
Too good Pooja ...
Very nice ...


Meri chahat ne use khushi de di,
Badle mein usne mujhe sirf khamoshi de di,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi tadapne ke liye zindagi de di ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chand Tanha Hay ... by RamSagar in Ghazals
tanha chand by chitralsony in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #61 on: March 14, 2006, 03:53:43 PM »
WAH KAYA BAAT HAI, KAYA JAWAB DIYA HAI APNE!!!

Tu zindagi mai na sahi, Tere anne ki umind kayam hai
Meri khomshi hi sahin, isme sirf tu hi shamil hai
bol du main tujh se dil ki har baat, magar darati hu
yah bhi na bacha, to phir mera marna lazim hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: March 15, 2006, 03:49:05 PM »
wah kaya baat kah di apne majid, bahoot khoob!!!

zindagi jiye ja rahi hu
lagta hai koi gunah mai kiye ja rahi hu
tu hai pal pal mere sung sung
phir kayun tujhi ko yaad kiye ja rahi hu!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #63 on: March 16, 2006, 05:24:10 PM »
wah didi!!!

na yaad karo tum usko jo chala gaya,
na dekho us suraj ko jo dhala gaya,
bas kush raho aur us waqt ka socho,
us waqt ka jo bith kar nirala gaya!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: March 16, 2006, 06:05:27 PM »
wo beeta pal hi to tarpa jaata hai
jiski sanso mai basai thi sanse
wo hi ajj sanso ko khatam kiye jaata hai
such hi kaha hai kisi ne, gaya waqat kabhi lout kar nahi atta hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: March 17, 2006, 04:09:53 PM »
her beeta din, her beeta lamha
rah gai zindagi ab to tanha tanha
wo bahare, wo milan ki baaty
ab to sirf rah gai teri yaandein!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: March 19, 2006, 12:56:59 AM »
wah good one majid and thanks!!!

Zindagi kuch tere sath to kuch yandon mai cut gai
kabhi ashaq bane sathi to kahbi teri galiyan jine ki rah ban gai
aksar hum un parro ki chah mai ja bathy
kabhi wo parr, hamre payaar aor kabhi judai ki nishani ban gai!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #67 on: March 20, 2006, 07:51:32 AM »
Chand tere sath dekh kitne sitare hai
door hi sahi, kahlaty wo tere sare hai
dekh muje, andhero mai basar karti hu
na hi koi jugnu, na hi koi sahare hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: March 20, 2006, 04:02:34 PM »
nice reply majid!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #69 on: March 20, 2006, 04:16:41 PM »
Bohat khoob Pooja, Nirbhay, Meena & Majid....

Sitaaron ke jhurmat mein bhi
Chaand akela hai
Meri tarha tanha hai
Mujhe tau yun lagta hai
Jaise
Uska muQaddar bhi mere jaisa hi hai
Main logon ke hajoom mein
Khud ko tanha paata hoon
Itne roshan chehron mein
Apne muQaddar ka darkhshan sitaara
Dhoondta hoon
Lekin
Mayoos ho jata hoon
Keh
Jaane kahan kho gaya hai
Asmaan ki bulandiyon mein
Ya zameen ki ghehraiyon mein
Thak gaya hoon usko Ddhoondte dhoondte
Aye kash ke
Meri talaash khatm ho
Justajoo tamaam ho
Meri rooh mukammal ho
Meri zaat ki takmeel ho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: March 20, 2006, 04:19:47 PM »
Wah Aryaan ji bahoot khoob!!!

Chandini ajj kahti hai e chand tujse
mera to hai wajood bas sirf ek tujse
jo tu nahi to, mai bikhar bhi nahi sakti
rah kaya dikhau kisi ko, apna astitve bhi parakh nahi sakati!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #71 on: March 20, 2006, 04:23:03 PM »
Bohat shukriya Pooja & Nice Reply...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: March 21, 2006, 04:08:57 PM »
ab kaya likhu ki likhne ko kuch chora hi nahi
wo hone ko hai mera, jiska khud ka koi apna hi nahi
is dil  mai dard hai itna, ki ab koi sapna hi nahi
aise duger per aa baithy main, jiska ab koi rasta hi nahi!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #73 on: March 22, 2006, 03:24:35 PM »
Quote from: "Pooja"
ab kaya likhu ki likhne ko kuch chora hi nahi
wo hone ko hai mera, jiska khud ka koi apna hi nahi
is dil  mai dard hai itna, ki ab koi sapna hi nahi
aise duger per aa baithy main, jiska ab koi rasta hi nahi!!!


Aaap sabhi logon ne bahut aacha likha hai......

yu to dard humko bhi hai aap se hui bewafaai ka,
"bhondu" sirf kaam nhi hai farz adai kaa,
aap likhna naa choriyega kam se kam dard to nikalta hai.
shayad ye aapka lahu hai jo aksar meri ankh se bahta hai...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #74 on: March 22, 2006, 03:25:01 PM »
Quote from: "Pooja"
ab kaya likhu ki likhne ko kuch chora hi nahi
wo hone ko hai mera, jiska khud ka koi apna hi nahi
is dil  mai dard hai itna, ki ab koi sapna hi nahi
aise duger per aa baithy main, jiska ab koi rasta hi nahi!!!


Aaap sabhi logon ne bahut aacha likha hai......

POOJA ji
yu to dard humko bhi hai aap se hui bewafaai ka,
"bhondu" sirf kaam nhi hai farz adai kaa,
aap likhna naa choriyega kam se kam dard to nikalta hai.
shayad ye aapka lahu hai jo aksar meri ankh se bahta hai...
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:53:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer