chand tanha hay

by Pooja on November 23, 2005, 04:21:10 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 30
Print
Author  (Read 23618 times)
Pooja
Guest
«Reply #90 on: March 24, 2006, 06:32:27 PM »
Thanks waheed!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chand Tanha Hay ... by RamSagar in Ghazals
tanha chand by chitralsony in Shayri for Khumar -e- Ishq
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #91 on: March 25, 2006, 05:01:49 PM »
Quote from: "Pooja"
Apki jitani tarif karu kam hai!!! bahoot hi acha likhty hai app!!

hawa ban kar, muje saanse diye ja rahe ho
Wafa ban kar, yah kon si raah muje dikha rahe ho
kayun akar meri tanhaai mai, bahar la rahe ho
kayun is pathar ke boot mai, jaan app la rahe ho!!!


aapko saans de raha hu ki wo mere jeene ka saaha hai.
wafa kerta hu kyn ki kisi ne bewfaa ke naam se pukara hai.
bahaar laane ki kosis kerta hu kyn ki baharoon mein muskaan hai.
aur... tumhe pathar ka boot bana ker chor du, tum mein to humari jaan hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #92 on: March 30, 2006, 06:04:54 AM »
wah kaya baat hai.... app bahoot acha likhty hai Bhondu ji!!! aor yah nik shayad issi liye rakha ki kisi ki najar na lag jaaye!!! bahoot khoob!!

apne jeene ke sahare ko, kayun kamjor banaty ho
kis liye ek toote dil se, apni wafa ajmaaty ho
yah bahar kab ki patjhar mai badal chuki
kayun ek mayus lash ko, apni jaan bataty ho!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #93 on: March 30, 2006, 03:38:26 PM »
Nice All !!

Chand tanhaa hai Aaj chandni ke bina
Jaisey mein zinda hoon zindgi ke bina
Suna suna sa aaj woh lag rha hai aseey
Jaisey rind ho maikade mein tisnagi ke bina !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #94 on: March 30, 2006, 03:45:02 PM »
wah kaya baat hai HumTum ji!!! bahoot khoob!!

Chandini ka wajood hi chand se hota hai
na jaane din bhar kaha, wo hota hai
kabhi badal to kabhi barsaat ka mosam hai
chandini hai chand mai hi, kayun is baat se chand bekhbr hai!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #95 on: March 30, 2006, 03:48:43 PM »
Bahot achcey Pooja ji !!


Chand Dund rha hai chandni ko har pal
Machi hai uske dil mein ajab si halchal
Rehta hai din bhar woh chandni ki talash mein
Raat ko tak ke Jata hai woh Pigaal !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #96 on: March 30, 2006, 03:56:43 PM »
wah kaya baat hai!!!

Chandini ko dhondne mai, chandini ko judai de di
ya rub yah  kaise saza, chand aor chandini ko de di
chand jo niklae to, sari duniyan per raj karati hai chandini
jaise hi chupa wo badlo mai, mit jaati hai chandini!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #97 on: March 30, 2006, 04:01:57 PM »
Bahut acche Pooja ji !!


Chand ko jab se chandni se judai milli hai
Uski roshni ko bhi har pal tanhaaii milli hai
Mera hal bhi yaar ke bina chand sa ho gya
Na qaid hoon gesuyon mein na rihaaii mili hai !!  
Logged
Pooja
Guest
«Reply #98 on: March 30, 2006, 04:08:13 PM »
wah!! good one!!!

Payaar ka pinjra, bahoot bari bhulbuliyan hai
nahi jiska koi darwaza, zazbato ke sariyan hai
khud ko kar ke band, hum khud hi roty hai
apne hi janoon mai kaise, deewane hoty hai!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #99 on: March 30, 2006, 04:12:11 PM »
Waah waah !!

Soz mein har shab dhal gyii hai meri
Zindgi kis kadar badal gyi hai meri
Muskurata tha kabhi mein bhi e dost
lekin ab meri muskurahat kho gyi hai !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #100 on: March 30, 2006, 04:14:19 PM »
muskurati hu main ab bhi
magar wo muskaan nahi
khilkhila jaati thi duniyan sari
aor ab hansi mai, koi juban nahi!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #101 on: March 30, 2006, 04:15:20 PM »
Quote from: "Pooja"

apne jeene ke sahare ko, kayun kamjor banaty ho
kis liye ek toote dil se, apni wafa ajmaaty ho
yah bahar kab ki patjhar mai badal chuki
kayun ek mayus lash ko, apni jaan bataty ho!!!


Ab jaan laash mein rakhi hai to kya karenge.
pathar mein kabhi naa aayi bahar to gila karenge.
aakhri saasn tak aapni wafa ko aajmate rahenge.
warna us laash ke saath hum bhi jala karenge.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #102 on: March 30, 2006, 04:18:26 PM »
nice bhondu ji!!!

Lash mai kabhi, kisi ki jaan ho nahi sakti
pathar mai kabhi koi bahar ho nahi sakti
Lash ki sanso ka kaya, rahe na rahe wo
kisi bhi agg ki tapish, pathar ko jala nahi sakti!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #103 on: March 30, 2006, 04:26:37 PM »
Quote from: "Pooja"
muskurati hu main ab bhi
magar wo muskaan nahi
khilkhila jaati thi duniyan sari
aor ab hansi mai, koi juban nahi!!


waah waah

jab se woh chod gyii mein muskurana bhull gya
Jo gungunata tha kabhi woh tarana bhull gya
bhull gya mein befwaii tak bhi uski yaroon
ja baitha maikde mein lekin aana bhuul gya !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #104 on: March 30, 2006, 04:29:55 PM »
Quote from: "Pooja"
nice bhondu ji!!
Lash mai kabhi, kisi ki jaan ho nahi sakti
pathar mai kabhi koi bahar ho nahi sakti
Lash ki sanso ka kaya, rahe na rahe wo
kisi bhi agg ki tapish, pathar ko jala nahi sakti!!!


bahut khoob pooja ji

bahar kabhi patjhar se anjaan nhi hoti.
kya ?? laash mein uske chahney wale ki jaan nhi hoti.
pyaar ki dariya bahar bhi bahati hai.
judai ki jalan pathar bhi jalati hai.
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:49:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer