Char Pal Kushi key

by Sonu on September 30, 2006, 11:43:50 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2259 times)
Sonu
Guest
kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
 
ab tu lagta hai matlab hi na raha zindagi ka
waqt hum se kah gaya tha ke koi nahi hota kisi ka
 
jo mere zakhmo pe aya tha muskorane aaj
hai sabeb wahi meri es badnasibi ka
 
sonate thy jise bhi gum ka fasana apna samjhke
wo udata tha mazaak logo main meri her nami ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
 
loot gaye hum tu tere waste aur tujhe pata bhi na chla
teri aarzo ne ayesa lota ke hame na rakha kahi ka
 
layi thi lafzo ki haqeet kawal apni gazal main
padh ke esko bhi sunata tha koi haal meri zindagi ka
 
kis se maange bhla hum chaar pal khoshi ka
jo bhi milta tha dikhta tha chaira bebasi ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
==$== Aaj Na lootna lafz Char mere ==$== by nirbhay in Shayri-E-Dard
Char Pahiyey Car Key by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
zindagi char pal ki by sammu1984 in Shairi - E - Zindagi
khud-kushi (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
na kushi (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sonu
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2006, 06:12:34 AM »
Na Tujhe Chorr Saktey Hein ,Teray Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh Keisee Bebasi Hai Ajj Hum Ro Bhi Nahi Sakte,
         
Yeh Keisa Dard Hai Pal Pal Humein Terpaey Rakhta Hai
Tumhari Yad Ati Hai Toh Phir So Bhi Nahi Sakte,
 
Chuppa Sakte Hein Aur Na Dikha Sakte Hein Logon Ko
Kuch Aeisey Dagh Hein Dil Per Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte,
       
Kaha Toh Tha Chor Dein Gaey Tum Ko,Phir Ruk Gaey Lakin
Tumhein Pa Toh Nahi Sakte Mager Chor Bhi Nahi Sakte,
   
Humara Aik Hona Bhi,Nahi Mumkin Raha Ab Toh
Jeeyein Keise K Tum Sey Dooor Ho K Reh Bhi Nahi Sakte.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: October 01, 2006, 06:01:40 PM »

Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Khizan Ko Bahar Likh De,
Bahar Ko Intezar Likh De,
Safar Ki Khwahish Ko WehMon Ke Azaab Se HaMkinaar Likh De,
Wafa Ke Raaston Par Chalne Walon Ki KisMatonMe Gubaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Hawa Ki Marzi Ke Wasal MausaM Me Hijr Ko Hissedaar Likh De,
Mohabbaton Ke Guzarne Wali Raaton Ko Na-Paidaar Likh De,
Shajar Ko KaM Sayadaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo HaMare Diye Bujha Kar,
Shabon Ko Ba-Ikhtiyaar Kar Ke Seher Ko Be-Aitbaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai...
* * * * *
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: October 02, 2006, 02:17:44 AM »
Angle ji bahut khoob... wonderful...

Quote from: "angel4u"

Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Khizan Ko Bahar Likh De,
Bahar Ko Intezar Likh De,
Safar Ki Khwahish Ko WehMon Ke Azaab Se HaMkinaar Likh De,
Wafa Ke Raaston Par Chalne Walon Ki KisMatonMe Gubaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Hawa Ki Marzi Ke Wasal MausaM Me Hijr Ko Hissedaar Likh De,
Mohabbaton Ke Guzarne Wali Raaton Ko Na-Paidaar Likh De,
Shajar Ko KaM Sayadaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo HaMare Diye Bujha Kar,
Shabon Ko Ba-Ikhtiyaar Kar Ke Seher Ko Be-Aitbaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai...
* * * * *
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: October 02, 2006, 02:18:29 AM »
Angle ji bahut khoob... wonderful...

Quote from: "angel4u"

Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Khizan Ko Bahar Likh De,
Bahar Ko Intezar Likh De,
Safar Ki Khwahish Ko WehMon Ke Azaab Se HaMkinaar Likh De,
Wafa Ke Raaston Par Chalne Walon Ki KisMatonMe Gubaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Hawa Ki Marzi Ke Wasal MausaM Me Hijr Ko Hissedaar Likh De,
Mohabbaton Ke Guzarne Wali Raaton Ko Na-Paidaar Likh De,
Shajar Ko KaM Sayadaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo HaMare Diye Bujha Kar,
Shabon Ko Ba-Ikhtiyaar Kar Ke Seher Ko Be-Aitbaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai...
* * * * *
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: October 02, 2006, 02:23:34 AM »
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujhse To Sharma Na Sakegi

Main Baat Karungi To Ye Khamosh Rahegi
Seene Se Laga Loongi To Ye Kuchh Na Kahegi

Araam Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi
In Hoton Ko Main Kuchh De Na Sakungi

Is Zulf Ko Main Haath Men Bhi Le Na Sakungi
Uljhi Hui Raaton Ko Ye Suljha Na Sakegi
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi...... ...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: October 02, 2006, 05:45:44 PM »
Thanks Sonu ji...

Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Saath Hai,
Ek Teri Yaad Hai,
Jo Din Raat Mujhe Tadpaati Hai,
Ek UMMid Hai Tere Aane Ki,
Apna Tujhe Bananeki,
Na Chain Hai Na Sukoon Hai,
Ye Kaisa Mera Haal Hai.....
Raatein Hogayi Hai Itni LaMbi,
Jo Kaate Nahi Katti,
Na Bhookh Hai Na Pyaas Hai,
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai,
Bas Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Saath Hai...
* * * * *[/B]
Logged
Sonu
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2006, 03:20:36 AM »
Angle ji your most welcome.. bahut khoob likhtey hu yeo hi likhtey rahow... wonderful...

Quote from: "angel4u"
Thanks Sonu ji...

Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Saath Hai,
Ek Teri Yaad Hai,
Jo Din Raat Mujhe Tadpaati Hai,
Ek UMMid Hai Tere Aane Ki,
Apna Tujhe Bananeki,
Na Chain Hai Na Sukoon Hai,
Ye Kaisa Mera Haal Hai.....
Raatein Hogayi Hai Itni LaMbi,
Jo Kaate Nahi Katti,
Na Bhookh Hai Na Pyaas Hai,
Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai,
Bas Ek Tera Ehsaas Hai,
Jo Har Wakt Mere Saath Hai...
* * * * *[/B]
Logged
Sonu
Guest
«Reply #8 on: October 03, 2006, 03:23:09 AM »
Utri hai dil mein seedhi tirchi nazar tumhaari
Dil aarzoo karega ab umer-bhar tumhari

Kahte hai pyaar kisko? hum kya kahenge isko?
Tumko pata hai mera ,Mujhko khabar tumhari

Dil ke hazaar tukre kar ke bichaungi mein
Yun bhi sajaungi mey ab rahguzar tumhari,

Is baat pe kyo aamin afsos kar rahi ho
Duniya me ho rahi hai baatein agar tumhari
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: October 03, 2006, 05:03:11 PM »
Thank you sonu ji... Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: October 03, 2006, 06:33:52 PM »
very  nice  sharing  Sonu...........angle..........  good job......
Itne dino ke baad na khile mere aangan mein ek phool  na khile
kis se kahoon ki  main saari umar  tarsha hoon ek pal ki  mohabbat ke liye......
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: October 04, 2006, 05:26:44 PM »
thanks waheed...


Main Saahil Pe Likhi Hui Kahani Nahi,
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Barish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar ThaM Jaati Hai,
Main Khwab Nahi
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main ShaMa Nahi
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Hawa Ka Jhonka Nahi,
Jo Aaya Aur Guzar Gaya,
Main Chand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon,
Jo Tujh Me Lahoo Ban Kar Gardish Kare
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dil Pe Chade To Kabhi Na Mite,
Main Wo Geet Hoon,
Jo Tere Labon Se Juda Na Hoga,
Khwab, Kahani, Hawa Ki Tarah,
Chand, Boond, ShaMa Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawal Nahi,
Kyonki Main To MOHABBAT Hoon,
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: October 04, 2006, 05:29:49 PM »

Aye Khuda HaMari Tarah Unko Tanhayi Na De,
HuM Jee Lenge Tanha Magar Unko Judai Na De,
HaMari Nigahon Mein Basi Rahe Unki Surat,
Unko Bhale Hi HuM Dikhayi Na Den...
* * * * *
Logged
Sonu
Guest
«Reply #13 on: October 07, 2006, 07:11:08 AM »
thanks sheytan... acha likhahai tumney...

angel bahut acha likha hai wonderful yeo hi likhti raho...
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: October 07, 2006, 07:41:22 AM »
hansti ahkhain... hastaa chehra... ek mujboor bahana hai ..
chaand me such mouch.. noor khana hai chand to ek viraana hai..
mujhko tanhaa chor ney waley tu na tanha rah jaye..
jis pey tujh ko naaz hai itna uska naam zamana hai!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:26:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer