- Charon Aur Virani Si Chayi Hai -

by Meena is back on July 17, 2007, 08:57:29 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3311 times)
Meena is back
Guest
Hello dosto, phir se ek nayi koshish leke hazir hui hoon Usual Smile i hope u will like it:

Phir baithe hai akhele par man me shanti bhi samayi hai,
Talash ti jis manzil ki, akhirkar wohi humne aaj payi hai,

Phir bhi, ek bechaini si bhi hai dil ke kisi kone me,
Kya kush hoon mai is manzil se, jo zindagi ne hume dikhayi hai,

Kya badla hai akhir? Kuch bhi to nahin anth me,
Pehle bhi te akhele hum, mili aaj bhi to hume tanhai hai,

Ankhon me sapne lekar chal pade the apni manzil ki aur,
Kya jana tha, humne to sirf khwabon me hi zindagi basayi hai,

Ek manzil hi nahin anth zindagi ke raston ka, ke chup chap baith gaye,
Manzil se aage bhi chalna hota hai, yehi zindagi ki karwayi hai.

Chalo “Meena”, agge ke aur bado apni zindagi ki raha me,
Bahare to mili nahin, bas charon aur virani si chayi hai!
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #1 on: July 17, 2007, 10:56:46 AM »
Thanks Meena ji aap wapas aaye, aur aate hi sixer laga diya, kaya khoob likha hai aapne , bahut khoob

Viraniyun main bhi baharon ka diya jalta hai
Inshan wahi jo thokar khaa ke bhi chalta hai
Gar houshla ho dil main to har manzil hai aashan
Bin houshla yaha kisi ko kuch nahi milta hai
Hai gujaris aap se youn chup na baitho manzil bahut kareeb hai
Fir har khsuhi, tumhare hi naseeb hai

Ab aap kahi mat jaana yoindia se
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: July 17, 2007, 12:11:05 PM »
Meena

Kya baat hai behna ji ! Aate he khush kar diya itna badhiya kalaam likh kar :D

Sameer

Tumne bilkul sahi kaha and also a good reply !
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #3 on: July 18, 2007, 02:20:03 AM »
Rajbir ji thnakyou sir,

Meena ji dekha, aapne kitni achchi kavita likhi hai, compliment dene police inspector sahab khud chale aaye
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: July 18, 2007, 08:18:27 AM »
Rajbir bhaiya ji...shukriya ! Usual Smile

Poem ji:

thanks for liking my poem, apka jawab bhi kuch kam nahin! keep writing!!

Usual Smile
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #5 on: July 19, 2007, 10:08:37 AM »

Baad mud’dat unhe dekh kar yun lga
Jaseey bechain dil ko qarar aa gya !!
[/color]

Kahiye Meena – JI …. Kha the kaseey the aur kaseey ho?  Kahi aap Pfizer ke CEO to nai ban gaye ke aap ke paas waqt hi nai hota ab shayri ka :O  Huh? kahir … aap aaye bahar aayi ….  bahut acche jazbaat pesh kiye hai aap ne … kabil-e-tariif … daad Kabul ho Kabul ho Kabul ho …..  ji kya Huh?  aree nai nai daad hi likha hai nikaah nai likha…..   lijiye kucch hum bhi likhne ki khosish karte hai !!



Aap ki tanhaiyo ko mitta denge aap aao to sahi
Khushiyo ki mehfil sajja denge aap aao to sahi

Chayya hai gar gum ka andera har taraf har jagah
Hum pyaar ki shama jala denge aap aao to sahi

Sajde karenge aap ke, aap ki hai kasam dilbhar
Hum kuhda aap ko bana lenge aap aao to sahi

Karlo sitam jitney bhi na harega yeh ishq kabhi
Hum yeh zamane ko bata denge aap aao to sahi

Door tak verraniyo ka nishaan na rehega sanam
BaharooN se ghar ko sajja denge aap aao to sahi !!



HumTum
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: July 19, 2007, 12:53:04 PM »
hey humtum ji...nice to c u back again! arre busy hoti hoon kyuki meri teamleader pas hoti hai and as u know i dont have net at home anymore na. to jab bhi time milte hai aur koi pas nahin hota mai likh deti hoon yaha pe.
nice reply mundeya...magar...

aksar tanhai ko mittane wale hi tanhai ki mehefil sajate hai,
kushiyan lutane wale hi, bachi kuchi kushi lut jate hai,

zaroori nahin ke pyar ki shamma roshni hi lati hai zindagi me,
akhsar yehi aag ke diye hi, zindagi ko umar par jalate hai,

aaj to kehte hai ke tum meri zindagi ko, meri jaan ho,
kal wohi log teri ankhon ko askhon se sajate hai.

aaj baharon ka wada kar rahe hai, naya naya ishq jo hai,
par kal wohi log nazuk haaton me kanten hi kanten chubate hai,

agar yehi manzil hai ishq ki, to kya paya hai "Meena"
jaha tere apne hi tujhe har pal rulate hai!!!

Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: July 19, 2007, 04:36:11 PM »
bahoot khoob Meena, bahoot hi acha likha hai.. nice reply HumTum ji!!!

bahoot sahi kaha Meena, tanhaai door karne walr hi aise tanhai de jaate hai.. ki... sad5
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #8 on: July 23, 2007, 10:04:58 AM »

wohi tever whi andaaz aur whi adda teri
Badla zamana sara, tum na badle kabhi !!
[/color]
Waah Meena –JI kya baat hai …. Bahut khoob aaj bhi hum aap se jugalbandi mein gabrate hai … aseey aseey sh’er likhte ho ke jinka jawab dena bahut mushkil ho jata hai … lekin khoshish hum bhi nai chodenge … lijiye kucch arz hai  aap ke liye!!

Humko auroon se humdum milaya na kijiye
Kissi aur ke gunaaho ki humko sazza na dijiye
Yaqeenan humse aap ko kabhi dokha na milega
Kabhi dil kare to Meena –Ji humko aazzma lijiye !!

Aur kucch poem ke reply mein…..


Mana ke duniya mein har koi Ba-waffa nahin hota
Sach yeh bhi hai ke har insaan Be-waffa nahin hota

Kabhi halat, kabhi majboriya mar deti hai insaan ko
Tabhi kiya hua har wadda kabhi pura nahin hota

Kyun kar kissi insaan ko bura kahe duniya wale
Bura hota hai waqt uska, insaan bura nahin hota !!



HumTum

PS:  Shukriya Pooja ji
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: July 23, 2007, 11:22:48 AM »
Pooja didi: Shukriya ji shukriya….

Tanhai ka daman tam liye, unki mehefil me ane ke baad,
Zindagi ka matlab samajh liya, unse rishta nibane ke baad!

Humtum ji: Wah wah humtum ji..bohot khoob!! Aji kuch koshi aap kare kuch hum karte hai;) what say mundeya? Aap se guftgu karne ka maza hi kuch aur hai. I still remember those old days with all our friends around here. I really miss them and the time 

Kahbi waqt saath nahin deta to kabhi kismat nahin,
Zindagi isi ka nam hai,  zindagi ka yehi dastoor hai,

Par kyu insaan doshi tehereta hai har waqt apni takdeer ko,
Galti karta hai khud par hurdum kehte hai ke majboor hai?


Gum ji…very nice… keep it up!! 
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #10 on: July 23, 2007, 11:32:22 AM »
Aaj yhi bas humne tumko samjhna hai
Hasna hi jeevan hai haste hi jana hai !!

Meena -Ji ..kabhi kabhi waqt insaan se woh karwa deta hai jo woh insaan nai karna chahta aur baad mein hum usko naam "Galtiyo" ka de dete hai !!

Mana ke hazuur humse koi khata ho gyi
Aur aap ki berukhi sabse badi sazza ho gyi
Chodiye yeh gile shikwe zindgi hai kum
Phir na kehna shikwo mein umr tabaah ho gyi !!


kahiye kassi rhi;)

HumTum

PS:  bahut acche Gum and thanks!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2007, 09:46:02 PM »
good job Meena, Humtum ji and Gum ji!!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #12 on: July 24, 2007, 10:19:46 AM »
afreen... bohaat aachhi jugalbandi karte ho aap meena and humtum ... !!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: July 24, 2007, 12:32:22 PM »
thank kyu pooja ji...apne kuch likha hi nahin. aise kaise?

humtum ji..bohot khoob, aab iske aage kya kahon. jugalbandi band?

manav ji...shukriya!!  :D
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #14 on: July 24, 2007, 05:53:57 PM »
dhoondhle hain raaste,ek ajeeb fiza lehrai hai
tu pass nahi ab mere,charon aur viran si chai hai

poochta rehta hai har lehar sung mujhse sagar
wohi kyun payasa hai,jisne duniya ki payaas mitai hai

sath dene ka jo dum bharte thake nahi kabhi mere samne
ajj payar ki shama,kissi ke darr se phir kayun bhujai hai

khud ko samjhna bhi hai mushkil ab toh "Manav"
berukhi na jaane kayun "Manasi" tumne dikhayi hai


** payar ki shama = judai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:15:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer