- Charon Aur Virani Si Chayi Hai -

by Meena is back on July 17, 2007, 08:57:29 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3333 times)
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #15 on: July 25, 2007, 07:08:06 AM »
Berukhi "manasi" ne nahi waqat ne dihkayi hai
Khuda ne bafa ke saath hi bewafai banayi hai
Ye to karishma hai kudrat ka ye mere dosht
Yaha to haath ki lakeeron main bhi likhi judayi hai
Har rang feeke lage hain ab to is judayi se
Haathon ki heena bhi kaha rang laayi hai
Kal beetaye the do pal saath main jinke
Na kaho aaj wo harzayi hai

Manav ji bahut achcha likha aapne but inshan waqat ke aage bebas ho jaata hai, kuch majburi unki bhi rahi hogi jaisa  ki hum tum ji already kah chuke hai
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #16 on: July 25, 2007, 07:50:11 AM »
bohot ache manav ji...puri kavita apki samajh me to nahin ayi par jo bhi aya woh acha likha hai!!!! keep it up!!!  :D

poem ji: "Khuda ne bafa ke saath hi beafai banayi hai" yeh lines apki bohot hi achi hai aur very true bhi hai. par insaan ki fitrat hai ke woh jab usko sirf ek pehlu zindagi ka dikhta hai to doosre ke liye tarasta.
waqt mazboor zaroor karta hai lekin har galti insaan ki waqt ke mohotaz nahin hoti. well thats what i thinK!
keep it up writing!!!  :D
Logged
paani
Guest
«Reply #17 on: July 27, 2007, 08:36:43 AM »
Meena ji Lajawwab.. Taarif Kubul ho.. humtum, manav nice additions..
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #18 on: July 29, 2007, 12:15:44 PM »
Quote from: "Meena is back"
bohot ache manav ji...puri kavita apki samajh me to nahin ayi par jo bhi aya woh acha likha hai!!!! keep it up!!!  :D


mohtarma.. maf kijiyega... aap jaisi maharat hasil nahi hai abhi iss na-cheez ko... aur bohaat bohaat sukhriya aapne mere likhe alfaz ko pasand kiya..


thanks paani...  aapki id kafi gehri hai !!!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #19 on: July 29, 2007, 12:31:55 PM »
Quote from: "poem143s"
Berukhi "manasi" ne nahi waqat ne dihkayi hai
Khuda ne bafa ke saath hi bewafai banayi hai
Ye to karishma hai kudrat ka ye mere dosht
Yaha to haath ki lakeeron main bhi likhi judayi hai
Har rang feeke lage hain ab to is judayi se
Haathon ki heena bhi kaha rang laayi hai
Kal beetaye the do pal saath main jinke
Na kaho aaj wo harzayi hai

Manav ji bahut achcha likha aapne but inshan waqat ke aage bebas ho jaata hai, kuch majburi unki bhi rahi hogi jaisa  ki hum tum ji already kah chuke hai


woh payar hi kya jisse waqt hara jaye
woh vaffa hi kya jo bewafai sa ehsaas de jaye


---
rakho jab dum, izhar-e-mohaabat ka mere dost
kaanton bhari rah pe chalna phir aana chahiye

mushkilein kaisi bhi waqt paida karde jeevan mein
har mushkil mein apne dilbar ka sath nibhana chahiye

jhonke hawa ke bohaat hai "poem143s" asamaan mein
be-lagam fiza ko payar mein mehkhaana aana chahiye

rone wale aksar dhoonda karte hain,kandha kissi ka "Manav"
burre waqt mein ussi kandhe ka "Manasi", sahara banNa chahiye
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #20 on: July 30, 2007, 03:54:49 AM »
Waah manav bahut khoob you r 101% right
Bahut achcha likhte ho yaar tum keep it up
Lakin yaar mayush hokar zindagi jeene ka bhi to maza nahi na
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #21 on: July 30, 2007, 07:34:23 AM »
Thanks Sameer.Aapko kuch kehna chahunga.here it goes...

har mayusi ke sath ek nayi umeed bhi rakhta hu
judai ke gum ke baad, milaan ki khushi bhi samjhta hu

aaisa nahi sirf dard hi mila mujhse meri "Manasi" se
uski mohaabat ka main ajj bhi dum bharta hu

lekin,har lamha hassi ka naqaab pehanNa mumkin nahi
lafzon se issi liye apne dil ka zehar bhi ulgalta hu

khush-kismat hain jo apne mehboob ko samjh pate hain
"Manav"  main toh bas apni hi nadaanioN se darta hu
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #22 on: July 30, 2007, 12:36:50 PM »
paan ji...shukriya ji shukriya!!!!

manav ji...wonderful reply!!! dono apki poems bohot hi achi hai. really, keep it up, would like to c more of ur poetry!!!

ishq me har ashiq apne gum bhula lete hai,
sapno ki duniya me ghar apna basa lete hai,
par jab toote hai yeh mithi ke mehel "Meena",
hasane wali ki waja se do askh baha lete hai!!!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #23 on: July 30, 2007, 02:28:23 PM »
Quote from: "Meena is back"
paan ji...shukriya ji shukriya!!!!

manav ji...wonderful reply!!! dono apki poems bohot hi achi hai. really, keep it up, would like to c more of ur poetry!!!

ishq me har ashiq apne gum bhula lete hai,
sapno ki duniya me ghar apna basa lete hai,
par jab toote hai yeh mithi ke mehel "Meena",
hasane wali ki waja se do askh baha lete hai!!!



Meena ji bohaat khoob.

do pal ke liye jeena chahta tha
sarri zindagi bhar intezar raha
do pal ke liye phir jee main saka
par mujhko na mera talabGaar mila
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #24 on: August 02, 2007, 09:11:41 AM »
nice manav ji!!

do pal ki kushi ke badle umar bhar ka gum mila,
wafa jo janta na tha, hume to aisa  sanam mila,
Kehte hai Khuda to sirf insaaf karta hai "Meena",
par humare dard ka to hume kabhi na marham mila!
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: August 02, 2007, 09:42:54 AM »
Quote from: "Meena is back"
Hello dosto, phir se ek nayi koshish leke hazir hui hoon Usual Smile i hope u will like it:

Phir baithe hai akhele par man me shanti bhi samayi hai,
Talash ti jis manzil ki, akhirkar wohi humne aaj payi hai,

Phir bhi, ek bechaini si bhi hai dil ke kisi kone me,
Kya kush hoon mai is manzil se, jo zindagi ne hume dikhayi hai,

Kya badla hai akhir? Kuch bhi to nahin anth me,
Pehle bhi te akhele hum, mili aaj bhi to hume tanhai hai,

Ankhon me sapne lekar chal pade the apni manzil ki aur,
Kya jana tha, humne to sirf khwabon me hi zindagi basayi hai,

Ek manzil hi nahin anth zindagi ke raston ka, ke chup chap baith gaye,
Manzil se aage bhi chalna hota hai, yehi zindagi ki karwayi hai.

Chalo “Meena”, agge ke aur bado apni zindagi ki raha me,
Bahare to mili nahin, bas charon aur virani si chayi hai!


Wonderful Meena ...as always......! Usual Smile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #26 on: August 08, 2007, 10:02:26 AM »
thanks Talat kuddiye!!

 :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: August 08, 2007, 02:26:44 PM »
bahoot khoob poem ji, Manav ji and Meena!!!!

bahoot hi acha likha hai sabhi ne!!! Good thread to read one by one all posts Usual Smile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #28 on: August 08, 2007, 03:06:09 PM »
now its ur turn to write :evil: and our turn to read  :evil:
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #29 on: August 09, 2007, 10:56:57 AM »
Thanks Pooja!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:06:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer