Chhod de mujhko satana

by klaskar on April 06, 2010, 04:49:02 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4112 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
mitana to hai par asaan na hoga mohabbat mitana,
samjhega ye dil nahi aur na aasaan hoga tujhe bhulana,

is ghadi tujhe yaad karke aa raha hai humko to rona,
aaj teri yaad me hai ho raha ye dil deewana,

kaash tu ne ek baar mujhse kaha hota rukne ko,
aa main jaata paas tere hota na koi bahana,

tab tujhe ehsaas na tha, pyaar kya hai na ye pata tha,
aaj jab meri hai nahi tu, gunaah hai tera yaad aana,

dard leke dil diya tha, pyaar bas tujhi se kiya tha,
chhod k tu gayi hai jabse, sunsaan lagta hai zamana,

isliye to kehta hoon aaj, baahon me mere tu aaja,
rok na khud ko tu yun, main hoon tera ashiq purana,

dil hai mera, dard mera, ghum hain mere, hum hain tere,
laut aa mere paas tu, chhod de mujhko satana...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
satana by desikuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Khuda Ko Satana Chod diya! by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Khuda Ko Satana Chod Diya by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
APKO SATANA..... by roshni246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
*****UN KA YE SATANA***** by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
neelgold
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2010, 09:48:53 PM »
Bhott hi Khoob Kapil ji .....

Yaad uski aana , Yhe koi naya afsana nahi...
DOst jo chod ke chale gaye , kissa yeh agar Naya nahi to purana bi nahi...
Maat batain kaaro abhi Dilzalo jaise,
Deewana hai tu , Ya Keh do ki DEE-W-A-Na Nahi.......
mitana to hai par asaan na hoga mohabbat mitana,
samjhega ye dil nahi aur na aasaan hoga tujhe bhulana,

is ghadi tujhe yaad karke aa raha hai humko to rona,
aaj teri yaad me hai ho raha ye dil deewana,

kaash tu ne ek baar mujhse kaha hota rukne ko,
aa main jaata paas tere hota na koi bahana,

tab tujhe ehsaas na tha, pyaar kya hai na ye pata tha,
aaj jab meri hai nahi tu, gunaah hai tera yaad aana,

dard leke dil diya tha, pyaar bas tujhi se kiya tha,
chhod k tu gayi hai jabse, sunsaan lagta hai zamana,

isliye to kehta hoon aaj, baahon me mere tu aaja,
rok na khud ko tu yun, main hoon tera ashiq purana,

dil hai mera, dard mera, ghum hain mere, hum hain tere,
laut aa mere paas tu, chhod de mujhko satana...
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: April 07, 2010, 03:18:44 AM »
Wah kya baat hai          klaskar ji.......



kash mohabbat ham apni bhool pate
phir toh kabka ham aapko bhool jaate
itna aasan nahi hai mohabbat ko dil se mitana
hosakhe toh lout aao ab "CHHOD DE MUJHKO SATANA"
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: April 07, 2010, 05:18:02 AM »
Wah Kapil ji great creation.bahut khoob.beautiful lines by Cara ji. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: April 07, 2010, 05:40:53 AM »
mitana to hai par asaan na hoga mohabbat mitana,
samjhega ye dil nahi aur na aasaan hoga tujhe bhulana,

is ghadi tujhe yaad karke aa raha hai humko to rona,
aaj teri yaad me hai ho raha ye dil deewana,

kaash tu ne ek baar mujhse kaha hota rukne ko,
aa main jaata paas tere hota na koi bahana,

tab tujhe ehsaas na tha, pyaar kya hai na ye pata tha,
aaj jab meri hai nahi tu, gunaah hai tera yaad aana,

dard leke dil diya tha, pyaar bas tujhi se kiya tha,
chhod k tu gayi hai jabse, sunsaan lagta hai zamana,

isliye to kehta hoon aaj, baahon me mere tu aaja,
rok na khud ko tu yun, main hoon tera ashiq purana,

dil hai mera, dard mera, ghum hain mere, hum hain tere,
laut aa mere paas tu, chhod de mujhko satana...

Bahut khoob Kapil Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: April 07, 2010, 07:15:29 AM »
Wah wah Kapil ji bahut achha likha. Nice creation.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: April 07, 2010, 01:23:44 PM »
Bahut bahut shukriya Neel hamari kavita pasand karne k liye aur hamara hausla badhane k liye....

sach kaha hai dost aapne ki wo laut k aa sakte nahin,
par sach hai ye bhi ki unki yaadon ko  rok hum sakte nahi,
ek hawa k jhaunke ki tarah wo roz aati hai mere khwaabon me,
yaadon ko to rok le hum par khwaabon ko rok sakte nahi....


Aur aapne bhi bahut khoob likha hai Neel... bahut hi khoobsurat lines likhe hain aapne... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bhott hi Khoob Kapil ji .....

Yaad uski aana , Yhe koi naya afsana nahi...
DOst jo chod ke chale gaye , kissa yeh agar Naya nahi to purana bi nahi...
Maat batain kaaro abhi Dilzalo jaise,
Deewana hai tu , Ya Keh do ki DEE-W-A-Na Nahi.......

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 07, 2010, 01:34:43 PM »
Bahut bahut shukriya Cara ji... aur aapne bhi bahut khoob likha hai...

zulm hai yaadon ka ki wo bhoolne deta nahi,
har ghadi main chahun fir bhi dur wo jaata nahi,
har ghadi mere paas aake shor wo karta hai roz,
ishq ko mere pyaar ko bhool main paata nahi...


Wah kya baat hai          klaskar ji.......



kash mohabbat ham apni bhool pate
phir toh kabka ham aapko bhool jaate
itna aasan nahi hai mohabbat ko dil se mitana
hosakhe toh lout aao ab "CHHOD DE MUJHKO SATANA"
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 07, 2010, 01:38:03 PM »
Bahut bahut shukriya Madhu ji..... thanx a lot...!!!

Wah Kapil ji great creation.bahut khoob.beautiful lines by Cara ji. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 07, 2010, 01:39:43 PM »
Bahut bahut shukriya Riyaaz Ji... Thanx a lot...!!!

Wah wah Kapil ji bahut achha likha. Nice creation.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: April 08, 2010, 08:27:13 AM »
awesome klaskar.

Har choti choti baat pe tera satana acha lagta tha,
tera roothna aur mera wo manaana acha lagta tha,
aaj sab kuch adhura hai,tu nahi to kuch nahi hai,
saanse chal rahin par rooh me jaan baaki nahi hai,
aa jao laut ke ye dil pal pal fariyaad karta hai,
haan ye sirf aur sirf tujhse hi pyaar karta hai.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: April 08, 2010, 08:41:21 AM »
wah bahut hi khoob, klaskar ji, cara ji and nidhi ji...

jasbir singh
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: April 08, 2010, 01:51:57 PM »
Bahut bahut shukriya Jasbir ji...!!!

wah bahut hi khoob, klaskar ji, cara ji and nidhi ji...

jasbir singh
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: April 08, 2010, 02:05:01 PM »
Shukriya ...  n aapne bhi bahut khoob likha hai Nidhi ji...

tere aane se jaise mere jeene ki wajah mil gayi,
pyaar tera paake saare jahaan ki khushi mil gayi,
tere jaane se ye jahaan shamshaan sa tha,
tere aane se jaise mere maut ko zindagi mil gayi,

ab to bas intezaar hai jab tera deedar hoga,
na koi bandishen hongi bas hamara pyaar hoga,
barso se tadap rahen the jis pyaar k liye,
tere milne se hamara wo sapna sakaar hoga...


awesome klaskar.

Har choti choti baat pe tera satana acha lagta tha,
tera roothna aur mera wo manaana acha lagta tha,
aaj sab kuch adhura hai,tu nahi to kuch nahi hai,
saanse chal rahin par rooh me jaan baaki nahi hai,
aa jao laut ke ye dil pal pal fariyaad karta hai,
haan ye sirf aur sirf tujhse hi pyaar karta hai.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: April 08, 2010, 06:12:54 PM »
Shukriya ...  n aapne bhi bahut khoob likha hai Nidhi ji...

tere aane se jaise mere jeene ki wajah mil gayi,
pyaar tera paake saare jahaan ki khushi mil gayi,
tere jaane se ye jahaan shamshaan sa tha,
tere aane se jaise mere maut ko zindagi mil gayi,

ab to bas intezaar hai jab tera deedar hoga,
na koi bandishen hongi bas hamara pyaar hoga,
barso se tadap rahen the jis pyaar k liye,
tere milne se hamara wo sapna sakaar hoga...



WAH WAH WAH KLASKAR JI.. WAH

JASBIR SINGH
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:13:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer