Chiraag Jal Raha Hai......MKV

by mkv on February 09, 2012, 09:56:25 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3243 times)
mkv
Guest
Chiraag jal raha hai roushnee  naheeN dikhtee
Udaas aaNkhe bhala kyuuN namee  naheeN dikhtee

Liye sawaal yahee barsoN se main baitha huN
javaab milne ki  surat koee naheeN dikhtee

thi ek aas ki kismat kabhee ye badlegi
Vo dil ki aas bhi poori huee naheen dikhtee

Hai manmutao dikhe dooriyaN haiN ghar-ghar meiN
kahaN vo pyar bhari zindgee naheeN dikhtee

“Mukesh” chhor de ummeed baadloN  se ab
Khuli ghataayeN haiN  baarish abhee naheeN dikhtee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chiraag ka dil by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq
CHIRAAG..(K_A) by khamosh_aawaaz in Shayri-E-Dard
<>*Ghar ka Chiraag*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shairi - E - Zindagi
chiraag....................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
chiraag...A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: February 09, 2012, 10:04:31 AM »
Chiraag jal raha hai roshnee nahee dikhtee
Udaas aaNkho meiN kyuuN namee  nahee dikhtee

Chipaa sawaal mere dil meiN barsoN se hai
javaab milne ki  surat koee nahee dikhtee

Lakeer  kismat ki soNcha badal jaayegee
Ab badalne ki, ummeed bhee nahee dikhtee

Badhee haiN dooriyaN diloN ke beech ghar-ghar meiN
Jafaa ka daur hai, wafaa kahee nahee dikhtee

“Mukesh” chhod de ummeed baadloN  se ab
Khulaa hai aasmaan, barkhaa kahee nahee dikhtee



waaaaaaaaaaaaaaah mkv ji kya khoob likha hai
Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: February 09, 2012, 10:06:01 AM »
mukesh ji ek shaan daar ghazal ke saath aaye hain aap vqai ye ghazal hai. satish ji ke sher ki line aapke liye bilkul fit hai "khudaa ke fazl se chalne lagaa meraa qalam kuchh kuchh. khush raho.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 09, 2012, 10:11:24 AM »
Chiraag jal raha hai roshnee naheeN dikhtee
Udaas aaNkho meiN kyuuN namee  naheeN dikhtee

Chipaa sawaal mere dil meiN barsoN se hai
javaab milne ki  surat koee naheeN dikhtee

Lakeer  kismat ki sochaa badal jaayegee
Ab badalne ki, ummeed bhee naheeN dikhtee

Badhee haiN dooriyaN diloN ke beech ghar-ghar meiN
Jafaa ka daur hai, wafaa kahee naheeN dikhtee

“Mukesh” chhod de ummeed baadloN  se ab
Khulaa hai aasmaan, baarish kahee naheeN dikhtee



Bahut Bahut Aur Bahut Khooob Mukesh Ji..

Bahut Hi khoobsurat Aur Jazbaaton Se Bharpoor...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Faraaz Saheb ka Ek Sher yaad Aa Gaya..Arz Karta Chaloon..


Aaj Bhi Intezaar Mein Unn LogoN Ke Din Guzar Gaye......"Faraaz"
Mashroof Log Apni Marzi Se Aur Maghroor Log Apne Matlab Se Yaad Kiya Karte Hai
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #4 on: February 09, 2012, 10:21:55 AM »
Chiraag jal raha hai roshnee naheeN dikhtee
Udaas aaNkho meiN kyuuN namee  naheeN dikhtee

Chipaa sawaal mere dil meiN barsoN se hai
javaab milne ki  surat koee naheeN dikhtee

Lakeer  kismat ki sochaa badal jaayegee
Ab badalne ki, ummeed bhee naheeN dikhtee

Badhee haiN dooriyaN diloN ke beech ghar-ghar meiN
Jafaa ka daur hai, wafaa kahee naheeN dikhtee

“Mukesh” chhod de ummeed baadloN  se ab
Khulaa hai aasmaan, baarish kahee naheeN dikhtee

BAHUT HI GAJAB KI PESKASH MKV JI....
.
"tareekh hzaron saal me faqat itni si bdli hai,
tb daur tha patthar ka,ab log hain ptthar k."
.
Sch me na?
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: February 09, 2012, 10:30:55 AM »

mkv ji,

Waah waah bahut khoobsoorat peshkash
kya kahne. Maza aa gaya.

Har she'r men umda khayaal...

Dili mubaarakbaad aur aglee post ke
liye shubkaamnaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: February 09, 2012, 10:34:58 AM »
bahot bahot umdaa kalaam
MKV ji--
ek shadaar post par dili daad kubul karen

khus rahen
muskurate rahen
janaab aise hi likhte rahen
Usual Smile
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: February 09, 2012, 10:57:07 AM »
boht khoob mukesh ji
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: February 09, 2012, 12:09:06 PM »
MKV Jee Aadaab!

Kia baat hai janab, bahut khoob... aapki badti lagan
aur mehnat is kalaam meiN saaf nazar aa rahi hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad khoob aur rawaaN kahe hai... Usual Smile

aik dilkash aur umda kalaam par humari dili daad o
mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

koshish jari rakhiye... mehfil ko aabaad rakhiye... Usual Smile
khush o aabaad rahiye...
khuda hafez...
Logged
vin1984
Guest
«Reply #9 on: February 09, 2012, 03:24:31 PM »
Bohot hi umda khayal hai mukeshji
Dil se daad
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: February 09, 2012, 05:51:09 PM »

waaaaaaaaaaaaaaah mkv ji kya khoob likha hai
Applause Applause Applause
  bahut bahut shukriya adil bhai  bas yu hi saath dete rahiye.
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: February 10, 2012, 02:33:33 AM »
mukesh ji ek shaan daar ghazal ke saath aaye hain aap vqai ye ghazal hai. satish ji ke sher ki line aapke liye bilkul fit hai "khudaa ke fazl se chalne lagaa meraa qalam kuchh kuchh. khush raho.
Kya kahu Sir
aap to sab jaante hai...
Logged
EpicLover
Guest
«Reply #12 on: February 10, 2012, 02:48:17 AM »
wow. this is superb and beautiful. Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: February 10, 2012, 06:19:26 AM »

Bahut Bahut Aur Bahut Khooob Mukesh Ji..

Bahut Hi khoobsurat Aur Jazbaaton Se Bharpoor...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Faraaz Saheb ka Ek Sher yaad Aa Gaya..Arz Karta Chaloon..


Aaj Bhi Intezaar Mein Unn LogoN Ke Din Guzar Gaye......"Faraaz"
Mashroof Log Apni Marzi Se Aur Maghroor Log Apne Matlab Se Yaad Kiya Karte Hai

Bahut Bahut Shukriya Khwaish ji
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: February 10, 2012, 09:27:32 AM »
BAHUT HI GAJAB KI PESKASH MKV JI....
.
"tareekh hzaron saal me faqat itni si bdli hai,
tb daur tha patthar ka,ab log hain ptthar k."
.
Sch me na?

PattharoN ka sach..Bahut khoob.
Allah na karey. Na
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 05:15:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer