chot na pahunchaoge

by salil2002 on January 23, 2009, 11:58:34 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1791 times)
salil2002
Guest
sometimes in a relation we make sacrifices for the one we love
but it hurts a lot when tht person don't respect ur sacrifices ,,,,,,,


koi tumhe chahe aur itna pyaar de
kii tum bhi mohabbat seekh jao
kii ho uski chahton ka asar tum par
na tum uski mohabbat ko thukrao

raho tum saath uske har pal
aur tum har pal uske saath ko chaho
woh de tumhe hazaar khushiyaan
tum bhi uske ishq mein doob jao

phir ek waqt aisa aaye
kii woh tumhare dil ko tod de
kii tum ho beech samandar mein
woh patwar ko hi tod de

oos pal tumhe shayad mere dard ka ehsaas ho
shayad woh dard is dard k jitna behisaab ho
tab tum shayad mohabbat ka matlab samajh jaoge
phir nahin todoge kisii k dil ko na chot pahunchaoge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chot by hifrnd20 in Miscellaneous Shayri
JAB CHOT TUMHE LAGI........ by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dard-- sheeshe par chot~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
CHOT AAI HOGI by fakhar sheikh in Shayri for Dard -e- Judai
khai hai chot (nam) by poonamA in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 23, 2009, 12:26:18 PM »
Waah Bhai,.
waah Kya Baat Hai,.
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 23, 2009, 12:30:05 PM »
Samajh Na Saka, Ke Nadaan Tha Wo,.
Khud Apne Aap Se Pareshaan Tha Wo,.

Khurbaani Ko Teri Main Salaam Karta Hoon,.
Sab Ko Pataa Tha, Tune Kya Kiya Mere "Dost,.
Teri Har Khurbaani Se Anjaan Tha Wo,.

_______________________-Jaanasheen-
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2009, 05:50:10 PM »
Wah! Bahut khoob Salil Ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 23, 2009, 06:42:26 PM »
Wah salil ek baat man me aa rahi hain likhu ya na likhu chal yaar nashe me hu likh deta hu sun........waise inspiration mere kehne ki Badr saheb ki 2 line hain

kuch to majbooriyan rahi hogi
Yuhi koi bevafa nahi hota

                      -Bashir Badr-

Ab is nacheeze ne jo kaha......baat samaj aa jaye to is gareeb ko dad zarur dena apna likha muje khood yaad nahi rehta mere bhai.

Tujhe mohabbat mili, tujhe mehboob ki sohbat mili
Ab wafa bhi mile, koi itna bhi lalchi nahi hota

Tujhe intezar mile, tujhe haseen  khwab mile
Ab haqeeqat bhi mile, insan hain hum GHAYEL koi khuda nahi hota

                        -Sajid Ghayel-



Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 23, 2009, 06:45:20 PM »
wah kaya baat hai....

Ab haqeeqat bhi mile, insan hain hum GHAYEL koi khuda nahi hota
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: January 23, 2009, 06:46:02 PM »
sometimes in a relation we make sacrifices for the one we love
but it hurts a lot when tht person don't respect ur sacrifices ,,,,,,,


koi tumhe chahe aur itna pyaar de
kii tum bhi mohabbat seekh jao
kii ho uski chahton ka asar tum par
na tum uski mohabbat ko thukrao

raho tum saath uske har pal
aur tum har pal uske saath ko chaho
woh de tumhe hazaar khushiyaan
tum bhi uske ishq mein doob jao

phir ek waqt aisa aaye
kii woh tumhare dil ko tod de
kii tum ho beech samandar mein
woh patwar ko hi tod de

oos pal tumhe shayad mere dard ka ehsaas ho
shayad woh dard is dard k jitna behisaab ho
tab tum shayad mohabbat ka matlab samajh jaoge
phir nahin todoge kisii k dil ko na chot pahunchaoge



wah wah wah kaya baat hai... bahoot he sadharan shabdo main apne dil ke is behisaab dard ko samjhaya hai.... bahoot khoob!! Good Creation!!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: January 24, 2009, 07:31:12 AM »
Samajh Na Saka, Ke Nadaan Tha Wo,.
Khud Apne Aap Se Pareshaan Tha Wo,.

Khurbaani Ko Teri Main Salaam Karta Hoon,.
Sab Ko Pataa Tha, Tune Kya Kiya Mere "Dost,.
Teri Har Khurbaani Se Anjaan Tha Wo,.

_______________________-Jaanasheen-

shukriya azeem

main kya kehta logon se teri bewafaai ko
main toh sabki nazar main badnaam tha
haan shohrat mili toh mili is tarah
har ek se mila bewafa ka ilzaam tha
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: January 24, 2009, 07:35:31 AM »
Wah salil ek baat man me aa rahi hain likhu ya na likhu chal yaar nashe me hu likh deta hu sun........waise inspiration mere kehne ki Badr saheb ki 2 line hain

kuch to majbooriyan rahi hogi
Yuhi koi bevafa nahi hota

                      -Bashir Badr-

Ab is nacheeze ne jo kaha......baat samaj aa jaye to is gareeb ko dad zarur dena apna likha muje khood yaad nahi rehta mere bhai.

Tujhe mohabbat mili, tujhe mehboob ki sohbat mili
Ab wafa bhi mile, koi itna bhi lalchi nahi hota

Tujhe intezar mile, tujhe haseen  khwab mile
Ab haqeeqat bhi mile, insan hain hum GHAYEL koi khuda nahi hota

                        -Sajid Ghayel-




bhai jaan aapki shayari k hum waise hi qayal hai
ab toh aapne apna mureed bana liya hai

tere saath beithe aur raat bhar dard kii baat kii
haan tere andaaz-e-bayaa. ne deewana kar diya
humne toh socha tha kii zakhm bhar chuka hai
tere lafzon ne 'Ghayal' humein 'Ghayal' kar diya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: January 24, 2009, 07:37:24 AM »

wah wah wah kaya baat hai... bahoot he sadharan shabdo main apne dil ke is behisaab dard ko samjhaya hai.... bahoot khoob!! Good Creation!!!
thank u pooja di
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: January 24, 2009, 07:51:14 AM »
Wah salil ek baat man me aa rahi hain likhu ya na likhu chal yaar nashe me hu likh deta hu sun........waise inspiration mere kehne ki Badr saheb ki 2 line hain

kuch to majbooriyan rahi hogi
Yuhi koi bevafa nahi hota

                      -Bashir Badr-

Ab is nacheeze ne jo kaha......baat samaj aa jaye to is gareeb ko dad zarur dena apna likha muje khood yaad nahi rehta mere bhai.

Tujhe mohabbat mili, tujhe mehboob ki sohbat mili
Ab wafa bhi mile, koi itna bhi lalchi nahi hota

Tujhe intezar mile, tujhe haseen  khwab mile
Ab haqeeqat bhi mile, insan hain hum GHAYEL koi khuda nahi hota

                        -Sajid Ghayel-





Wah Wah Ghayal Kya Likha hai mere dost "Ab mujhe likhna Padega khuch zaroor agar ashar se mil ja-o-to nawaz dena !!

Ab Gamoon ko jhalne ka saliqa sikh le "Ghayel"
ye wo samandar hai jiska ka kinara nahi hota !!


Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #11 on: January 24, 2009, 07:52:05 AM »
sometimes in a relation we make sacrifices for the one we love
but it hurts a lot when tht person don't respect ur sacrifices ,,,,,,,


koi tumhe chahe aur itna pyaar de
kii tum bhi mohabbat seekh jao
kii ho uski chahton ka asar tum par
na tum uski mohabbat ko thukrao

raho tum saath uske har pal
aur tum har pal uske saath ko chaho
woh de tumhe hazaar khushiyaan
tum bhi uske ishq mein doob jao

phir ek waqt aisa aaye
kii woh tumhare dil ko tod de
kii tum ho beech samandar mein
woh patwar ko hi tod de

oos pal tumhe shayad mere dard ka ehsaas ho
shayad woh dard is dard k jitna behisaab ho
tab tum shayad mohabbat ka matlab samajh jaoge
phir nahin todoge kisii k dil ko na chot pahunchaoge


Bahoth Qoob Salil Hamesha ki tarah !!

Qadeer toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #12 on: January 24, 2009, 07:53:25 AM »
Samajh Na Saka, Ke Nadaan Tha Wo,.
Khud Apne Aap Se Pareshaan Tha Wo,.

Khurbaani Ko Teri Main Salaam Karta Hoon,.
Sab Ko Pataa Tha, Tune Kya Kiya Mere "Dost,.
Teri Har Khurbaani Se Anjaan Tha Wo,.

_______________________-Jaanasheen-


Wah Wah Subhan Allah Azeem kya kahene is ashar ke "

         Khud Apne App se hi pareshan Tha wo "wah wah

Allah tumhe khush rakhe azeem !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 24, 2009, 08:00:03 AM »
Wah Wah Subhan Allah Azeem kya kahene is ashar ke "

         Khud Apne App se hi pareshan Tha wo "wah wah

Allah tumhe khush rakhe azeem !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Bhaijaan,.
Allah Sab Ko Khush Rakhe,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: January 24, 2009, 08:03:31 AM »
thnks abdul bhai
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:26:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer