DAHEJ---- jalaya hai~~~~ Saahil

by salil2002 on May 01, 2009, 07:10:15 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4101 times)
diya786
Guest
«Reply #15 on: May 06, 2009, 09:53:19 AM »
bahut bahut khoob Salil ji
ek aur umda kalaam hai aapka
too good...
Applause Applause Applause


nice line from ur side too Pop ji Applause Applause Applause
and kamal ji...
Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dahej by sakhi1909 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
abb ke ek cheeraag esa jalaya jaye by eklovaya in Miscellaneous Shayri
dil jalaya humne by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dahej Pratha-Ek Abhishaap by Aakash16 in Hindi Poets
Dahej,. by Azeem Azaad in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #16 on: May 06, 2009, 10:33:47 AM »
doston yeh ek ladki k dard hai.......... jise woh marne se pahle apne pati ko bata rhi hai

kari jab mohabbt tune batlaya nahin
meri daulat par tera dil aya hai

kar k shaadi le aaya apne ghar
nazrein mere ghar par gada kar aya hai

deti rehti hai taane tumhaari maa mujhe maayke k
kehti hai mera beta kisko biyaah laya hai

dene ko beithe thay qayi raayees apni ladkiyaan
iske ghar se toh naam bhar ka dahej aaaya hai

tum bhi kehte ho ki ghr se le kar aaun paise
taaki tum rangeeniyaan yahan saja sako

main kaise bataaun tumhe ghar kii haqeeqat
main janti hoon mera baap apni pagdi girvi rakh aaya hai

aaj dhamki di hai maa ne jaala degi woh mujhko
dukh hu mujhe bas iska, tu bhi hami bhar aaya hai

dekh nahin sakti main tujhko dukh main, na apne babul ko
isliye maine saajan mere, khud ko jalaya hai




Dahej Ki aag main jalti ek beti, ek biwi ke dard ko bohot achchi tarah likha hai Salil..... Khuda se yahi dua ki iss aag ko humesha ke liye samaj se bujha de !!

Bohot Khoob Salil
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: May 06, 2009, 10:34:25 AM »
bahut dard bhara hai, achcha likha hai



++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++===

AANKH NAM HO GAYI SUNKE YE DARD BHARI DASTAAN,
IS BEDARD SAMAAJ NE PHIR KISI BABUL KI BITIYA KO JALAYA HAI,
AISE GHAR PARIVAR KO KHUDA KI REHMAT NA MILE,
JISNE EK DOOSRE KI BETI KO APNE GHAR LAKER MAUT KI SEJ PER LITAYA HAI.

Very nice lines, Kamal Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: May 06, 2009, 10:37:33 AM »
shi farmaya aapne salil ji aur ajeem ji,angel ji aur kamal ji ne b khub farmaya.
lkn aaj ka jmana thoda ulta ho chuka h...aaj ki duniya me aisa b hota h...

  Bina jlaye hi bahu,apni saas ka nam lgati h
  Apni shadishuda nando ko b beech me lati h
 
  Shadi krte hi bete ko mata-pita se dur le jati h
  Paiso ki khatir wo sb pr ilzam lgati h

  Rishtedaron ki to baat hi dur
  Apne pati ko b kachehri me bulati h

  Pti, jisne use beshumar pyar kiya
  dahej ka jutha nam lgakr use hi jail bhijwati h

  Paisa pane ki chah me hr had ye par kr jati h
  Aur masumiyat bhra chehra lekar samne hmare aati h

  Aaj k daur ki ye ladkiyan standard ki kehlati h

Sahi kaha hai aapne Pooja Ji...Jahan ek taraf maasoom ladkiyan dard seh ragi hain, wahin doosri taraf kuch logon ne isi mudde ko apne faaide ke liye istemaal kiya hai..........Chaahe wo dukh Saas ki Taraf se ek bahu ko mile, ya ek Bahu ki taraf se apni nandon aur saas ko mile, afsos ki baat ye hai ki aurat hi aurat ko samajh nahin paati, aurat hi aurat ki dushman ban jaati hai !!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #19 on: May 07, 2009, 06:32:04 AM »
bahut bahut khoob Salil ji
ek aur umda kalaam hai aapka
too good...
Applause Applause Applause


nice line from ur side too Pop ji Applause Applause Applause
and kamal ji...
Applause Applause Applause


shukriya diya...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #20 on: May 07, 2009, 06:32:53 AM »
Dahej Ki aag main jalti ek beti, ek biwi ke dard ko bohot achchi tarah likha hai Salil..... Khuda se yahi dua ki iss aag ko humesha ke liye samaj se bujha de !!

Bohot Khoob Salil

thanks a lot talat di.....
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:09:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer