Kawaish ji . Aap mubarakbaad ke mustaheq hain ki apni poems mein aksar bahut aham muddon ko uthhate hain aur readers ko food for thought dete hain . Dahej samaj ki eik badi laanat hai jiska khatma jitni jaldi ho jaaye achha hai . Lekin iske liye na sirf aam raai bulki kuchh sakht samaaji paabandiyaan bhi zaroori hain .Isska eik pahloo bahut aham hai jo main share karna chaahoonga . Mujhe yaad padta hai mere eik dost eik ladki ke ishq mein giraftaar ho gaye thhe jo doosri zaat ki thhi aur jiske parents ke paas jahez mein dene ke liye kuchh khaas na thha . Mere dost darmiyaani haisyat lekin oonche khaandan ke thhe . Isliye unke parents rishte ke liye raazi nahi thhe . Mere dost ne hum kuchh doston ko apne parents ko convince karne ki zimmedari sounpi . Hum ne dost ke parents ko zaat mein farq per to convince kar liya lekin unki mother ki eik baat ka hamaare paas koi convincing jawaab na thha . Unki mother ne kaha thha : ' Mera eik ladka hai 3 ladkiyaan hain . Meri itni haisyat nahi ki in ladkiyon ka jahez de sakoon . Jo is ladke ke jahez mein loongi use baaqi ko niptaane mein madad milegi . Agar main jahez na loon to is baat ki kya guarantee hai ki mujhe mere jaise hi jahez na maangnewaale ladke mil jaayeinge aur meri ladkiyaan ghar mein baithi na rah jaayeingi' . Yeh samaaj ki eik kadvi haqeeqat hai . Satyamev Jayate mein eik achha hal bhi eik organization ki koshishon se mila hai jo society ki kuchh sanctions (e.g. unka decision ki aisi koi shaadi na attend kareinge jismein jahez liya jaata ho ) ki wajah se mumkin hua hai. ... Khuda kare aapki poem dahez ki laanat par sanjeeda soch paida kare . HASAN
Saheb Sabse Pehle Aapka Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne
Apna Waqt Diya Aur Apne Dil Ki Baatein Share Ki..Saheb Aapne Bilkul Sahee Farmaaya..Jo Kissa Aapne Bataaya Woh padhkar Yeh Zaroor Mehsoos Hota Hai Ke Jo baatein Aapke Dost Ki Ammi Ne Kaheen Hai, Woh Unki Nazariye Se Bilkul Sahee Hai..Dahej\Jahez lena Ab iss Samaaj ka Hissa Bankar reh Gaya Hai, Aur Jab Koi Buri Cheezein Samaaj Mein Aati Hai Uska Khaatma Karna Bahut Mushkil Ho Jaata Hai..Baat To Waheen Rukh Jaati Hai Ke Haan Humne Apne bete Ke Liye Dahej Nahi Liya Par kya Har Koi Apne Bete Ke Liye Bhi yeh Karega??
Par Agar Sab Haath Badhaye Aur Yeh baatein Apni Zindagi Mein Utaarle Ke "Haan Hum Dehaj Ke Khilaaf hai, Naa Lete Hai Naa Dete Hai To zaroor Kuch Sudhaar Aayenge..Yehi Aaasha Aur yehi Umeed Ke Saath Hi Chalna Hoga..