Dar Lagta Hai

by thycreator on June 11, 2007, 06:06:44 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3408 times)
syednaami
Guest
«Reply #30 on: April 28, 2008, 10:49:34 PM »
Jo Dhoonde na mile woh ishq ka maqaam aaya, -
Teri nagri men puhanch kar bhi tujhe la-maqaa'n paya, -
Woh baang-e-darah thi ya teri ulfat ki sada
Teri awaaz ka seher bhi har ufaq se uthha


(Syed Naami)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DAR LAGTA HA by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
DAR LAGTA HAI by meetbikram in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Dar Lagta Hai..... by angel4u in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #31 on: April 28, 2008, 11:28:42 PM »
Dard ka ye aalam hum sahe bhi toh kaise,
Uss dilbar se juda hum rahe bhi toh kaise,
Ye sach hai ki wo mera ho nahi sakega phir bhi,
Usko iss dil se juda hum kare bhi toh kaise...

Waqat her zakham ko sehan sikha jayega
Ansoo her dard ko pina sikha jayega
Wo nikal bhi jayega najaro ke samne se
Aor dard lubo silna sikha jayega...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #32 on: April 28, 2008, 11:47:05 PM »
Waqat her zakham ko sehan sikha jayega
Ansoo her dard ko pina sikha jayega
Wo nikal bhi jayega najaro ke samne se
Aor dard lubo silna sikha jayega...

Waqt ko na do dosh tum, -
Dilse dava ka prabandh kar, -
Disha par chalte raho prem ki, -
honton se prashansa dayak ban. -

(S Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: April 29, 2008, 02:45:37 PM »
nice one syed ji!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #34 on: April 29, 2008, 07:18:00 PM »
Thanks ji, hosla afzai ka shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: April 29, 2008, 08:45:39 PM »
Zindagi chalne ka naam hai
chalte zindagi ke sung jayege
dard mile ya mile khushia
dono ko anchal mai samet.te jayege
Logged
syednaami
Guest
«Reply #36 on: April 29, 2008, 10:08:30 PM »
Zindagi to ek gaadi hai
Rah par to usse chalna hai

Kaante, pathar ya darya, samandar
Kathhin iska har muqabila hai

Gham ho ya khushi ki manzil
Har manzil par khona aur pana hai


(syed Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: April 29, 2008, 10:15:04 PM »
Very true....

Milane ki khushi bhool jaati hai
Bichardne ka dard kabhi kam nahi hota

Chalati rahti hai zindagi ki halchal
magar kahin ander yaadon ka zakham hai rota
Logged
syednaami
Guest
«Reply #38 on: April 29, 2008, 10:28:03 PM »
Tum milne bichadne ki maya se,
Hargiz na nikal paaogi.

Hum tera ilaaj karen bhi to
kya tu parhez kar paayegi,

Tum khwabon men palne waali ho,
haqeeqat ko kya jhel paaogi.

(Syed Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: April 29, 2008, 10:32:35 PM »
haqeeqat jitani bhi najar aii hai
yah sab dard ussi ki to parchaai hai

her koi hai yaha pathar dil insaan
her ek ne thokar hi lagai hai

herat main hu ki main bhi atti hu in insaano main
kaya maine bhi aise insaani fidrat paai hai

Jitna socha utni uljhati chali gai main
haqiqat main, her roj Pooja, sirf ansuo se nahai hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #40 on: April 29, 2008, 10:45:36 PM »
Well done, aap har baar aisa likho aur hum na likh payen kuchh.
Abhi thoda rest karun dard ki tees ko kam karun.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #41 on: April 29, 2008, 10:54:44 PM »
jawab mai jab kavita se jawab nahi atta
dil mai kahin ek udaasi ka anchal hai bich jaata
chahe do line mai hi aa jaaye jawab, to lage acha
bin jawab, dobara likhne ko nahi kuch mil paata!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #42 on: April 30, 2008, 04:21:09 AM »
Kya baat hai......pooja ji aur syednaami ji...........bahut acche...acchi jugalbandi chal rahi hai....bahut dino ke bad maza aaya.....

Wo mujhse ladkhate kadmon ka sabab poochte hain,
Dil todte hai aur phir haal-e-sab poochte hain,
Koi pooche bhala unse ki unka iraada kya hai..
Dil ka diya bujha kar, savera hoga kab poochte hain...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: April 30, 2008, 12:39:29 PM »
shukaria Amit ji!!

Bahoot sahi kaha apne >> Dil ka diya bujha kar, savera hoga kab poochte hain...

Good one!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #44 on: May 01, 2008, 12:51:02 AM »
Quote from: pooja
jawab mai jab kavita se jawab nahi atta
dil mai kahin ek udaasi ka anchal hai bich jaata
chahe do line mai hi aa jaaye jawab, to lage acha
bin jawab, dobara likhne ko nahi kuch mil paata!!!

Na ro apne hunar ke bhool jaane par, -
duniya hai buhat badi aaj woh nahin to koi aur sahi, -
Jo na mila uske liye malaal ka aalam kyun, -
uska tareeq ho teri nazar men aur tu likha kar. -


(Syed Naami)
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:05:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer