Dar se uth to gaye hum kisi aur dar ke liye

by khumaar on August 19, 2011, 08:36:32 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1658 times)
khumaar
Guest
Dar se uth to gaye hum kisi aur dar ke liye
ghar kisne yahan paaya rukne bhar ke liye




thodi uljhan thodi suljhan thodi yaaden baaten
kya kuch na mila zindagi tujhe safar ke liye




maut se nijaat aadmi hargiz paa nahi sakta
hasraton ka baagh hai bas shajar ke liye



umr bhar ka gham jaadugar ne kis tarah dia
mila to tha mujhse faqat wo do pehar ke liye




aarayish-e-dard aasayish-e-shaam ki mohtaaj kab?
barsaat kum hi padti hai samundar ke liye





mere dil teri massomiyat pe itrate the hum
haay rakh dala humne tujhe kahar ke liye





katra katra chasm se gir phir sama gaya
jaise katra katra qarz ho nazar ke liye




doobe hue kinaaron ka dard padhna mushkil
pukarte rahte tufaano ko jo asar ke liye





liye phirta hai suraj jis raushni ki bahaar 'Khumaar'
sochta hun aakhir kab hogi wo sahar ke liye

Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2011, 08:47:54 AM »
behad behad umda ghazal Khumaar sahab--
i love ur poetries.

baht bht asardaar aur jandar peshkash.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 19, 2011, 09:09:19 AM »
Dar se uth to gaye hum kisi aur dar ke liye
ghar kisne yahan paaya rukne bhar ke liye




thodi uljhan thodi suljhan thodi yaaden baaten
kya kuch na mila zindagi tujhe safar ke liye




maut se nijaat aadmi hargiz paa nahi sakta
hasraton ka baagh hai bas shajar ke liye



umr bhar ka gham jaadugar ne kis tarah dia
mila to tha mujhse faqat wo do pehar ke liye




aarayish-e-dard aasayish-e-shaam ki mohtaaj kab?
barsaat kum hi padti hai samundar ke liye





mere dil teri massomiyat pe itrate the hum
haay rakh dala humne tujhe kahar ke liye





katra katra chasm se gir phir sama gaya
jaise katra katra qarz ho nazar ke liye




doobe hue kinaaron ka dard padhna mushkil
pukarte rahte tufaano ko jo asar ke liye





liye phirta hai suraj jis raushni ki bahaar 'Khumaar'
sochta hun aakhir kab hogi wo sahar ke liye




Thodi Uljhan Thodi Suljhan Thodi yaadein baatein
Kya Kuch Na Mila Zindagi Tujhe Safar Ke Liye


Maut Se Nijaat Aadmi Hargiz Paa nahi sakta
hasraton Ka baagh Hai bas Shajar Ke Liye


Dubte Hue kinaaro ka dard Padhna Mushkil
Pukarte Rahe Kinaaro Ko Jo Asar Ke liye..

Waah Waah Waah......Kya Kalaam pesh Kiya hai Aapne kaashji...

Definetely One Of Your Best Work...Har Ek A'shaar Sachai Aur gehrai ka Milaap hai..

Bahut Hi Gehre Jazbaat Mere Bhai..Lajawab

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: August 19, 2011, 05:31:11 PM »
achhi peshkah,khumar ji.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:58:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer